Long Lower Shadow Candlestick Pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Long Lower Shadow Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Long Lower Shadow Candle


    Long Lower Shadow Candle ziadda tar bottom trend k baad banti hai, jo ziada tar prices k bullish ya uptrend reversal ki alamat hotti hai. Long lower Candle k baane k pechay psychology ye hoti hai, k jab bhi prices aik session k dowran bearish jati hai lekin baad main buying pressure ki waja ussi session main prices wapis upper a jati hai, is ko bullish trend indication samjha jatta hai. Jab bhi market main sellers bohut ziada active ho jate hen aur market par ghalba pane ki koshash karte hen to qeematen lower movement karti hai, lekin usi duran bulls bhi market main active ho jate hen, jiss se qeematen wapis upper jati hai. Jiss se candle ki aik small real body k sath aik lamba lower saya ban jata hai. Lower Shadow Candle main candle ki wick ki importance aur bottom price par honne ki waja se candle ki real body ki koi ahmeyat nahi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (79).jpeg
Views:	5
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12529169

    Candle Formation


    Long lower shadow candlestick single candle hai, jo high demand ki waja se price chart k bottom par high selling pressure k baad banti hai. Ye candle prices k leye next bullish trend reversal ki prediction deti hai, jo market main buyers k active hone ka aik positive signal hota hai. Candle ka shadow strong rejection dekhata hai, jiss se market main trend k tabdeel ka aik zarya hota hai. Candle ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_191500.jpg
Views:	1
Size:	124.5 کلوبائٹ
ID:	12529170

    Long Lower Shadow Candle: Long Lower Shadow candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Explanation


    Long Lower Shadow Candle aik single bullish trend reversal pattern hai, aur jab bhi market main qeematen low area main jane k baad mustarad ho jati hai to uss waqat ye candle banti hai. Candle ki lower side par lambi wick battati hai k candle k leye lower price par mazeed demand nahi hai, jiss k leye prices ko lower area main push kia jaye. Ziada tar in candles main real body small hoti hai, q k open aur close aik dosre k bohut nizdeek hotte hen. Candle ki real bullish ho ya bearish is se candle ki performance par koi faraq nahi parta hai. Yani ye candle bullish aur beariah dono tarah se ho sakti hai. Long Lower Shadow Candle shap main shooting star candle hi dekhaye deti hai, lekin aik to iss candle k upper side par bhi aik small wick ho sakti hai, dosra ye candle lower side par aik long real shadow rakhti hai. Candle ki bottom price k hone ki waja se bullish trend reversal pattern ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_191658.jpg
Views:	1
Size:	62.8 کلوبائٹ
ID:	12529171

    Trading


    Long Lower Shadow Candle trader k leye buying ki opportunity deti hai. Kuch candles main real body ki nisbat candle ki wick ya shadow ziada strong indication deti hai, jiss tarah se aam tawar par doji candles main dekha jata hai. Is candle k bane se market main qeematon ki wazih nishan-dahi ho jati hai, k prices bearish jane k baad aik khas position par mustarad ho chuki hai, jis se candle ki lower side par aik long wick bani hoti hai. Market me buy ki entry karne se pehel candle ki lower price par position aur trend confirmation lazmi check karen. Candle k baad aik real body wali bullish candle lazmi bani chaheye, jis se market k trend reversal pattern confirmation ka signal melta hai. Stop Loss ki position candle k wick k low par ya uss se ek do point lower side par set karen. Candle se munafa k leye dosre pattern aur indicators ka istemal kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_191715.jpg
Views:	1
Size:	62.5 کلوبائٹ
ID:	12529168
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Long Lower Shadow Candlestick Pattern

    Long Lower Shadow Candlestick Kia Hai?

    Long lower shadow candlestick aik long lower tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Long lower shadow ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick hammer banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Long lower shadow candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.

    Click image for larger version

Name:	download (8).png
Views:	5
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12393034

    Long lower shadow candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Long lower shadow candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

    Long Lower Shadow Candlestick Kaam Kese Karta Hai?


    Long lower shadow candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai, jiss k upper side psr aik small real body hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali hammer candle ki hi tarah lagti hai.

    Click image for larger version

Name:	download (2).jpeg
Views:	16
Size:	8.0 کلوبائٹ
ID:	12393035

    Long Lower Shadow Candlestick Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Long lower shadow candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. Indicator aur oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop loss pattern k sab se lower position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (167).jpeg
Views:	20
Size:	28.4 کلوبائٹ
ID:	12393036
    • #3 Collapse

      Re: Long Lower Shadow Candlestick Pattern

      Long Lower Shadow Pattern


      Long lower shadow candle ki banne ki waja ye hoti hai, k bearish trend k akher me sellers prices ko mazeed nechay ki taraf push karte hen, lekin yahan par assets ki high demand increase ho jati hai, jiss se market main buyers active hona shoro ho jate hen, aur wo prices ko wapis bullish le jate hai, jis ki waja se candle k lower side par aik bara tail, shadow aur wick ban jati hai. Long lower shadow candle main shadow candle k real body k lower side pe bantta hai, jab k real body main open aur close aik dosre k qareeb hote hen.

      Click image for larger version

Name:	IMG_20220516_194105.png
Views:	1
Size:	48.6 کلوبائٹ
ID:	12393038

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Long lower shadow candle aik single candle pattern hai, jo k low qeematon wale zone ya bearish trend me banti hai.
      2. Candle k upper side par aik small real body hoti hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb hote hen.
      3. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
      4. Candle ka shadow ya saya candle ki real body ka taqreeban dugna ya us se zyada ho sakta hai.
      5. Candle white aur black dono pattern me ho sakti hai, lekin sab se zarori point is ka bottom prices par banna hai.


      Click image for larger version

Name:	images (221).png
Views:	83
Size:	5.2 کلوبائٹ
ID:	12393039

      Pattern ki Tafseel


      Long lower shadow candlestick candle do hison par mushtamil aik single candle hoti hai, jis main aik candle ki real body hoti hai, jab dosra hisa downside par candle ki shadow ya wick hoti hai. Long lower shadow candlestick aik single pattern candle hai, jo k prices k downtrend me banne par bullish trend reversal ki hosseyat rakhti hai. Long lower shadow candle aggar prices k top par bannti hai to ye long upper shadow candle ban jati hai, aur pher iss ki hasseyat bearish trend ki hoti hai. Candle k prices k lower side par banne ki waja se ye kisi bhi color ki ho saktti hai, lekin hasseyat bearish wali hoggi.

      Click image for larger version

Name:	IMG_20220516_194124.jpg
Views:	1
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12393040

      Pattern par Trading ka Amal


      Long lower shadow candle bullish trend reversal k leye estemal hota hai. Ye pattern aggar long timeframe main aur lower prices main bantti hai, to candle aik strong bullish signal genrate karta hai. Candle ki shadow prices ko bullish side par rejection to dekhati hai, lekin sath hi sath market main buyers ki dilchaspi bhi batati hai. Long lower shadow candlestick single candle hone ki waja se trend k leye akele kafi nahi hai, jab tak is k baad aik strong bullish candle nahi banti hai. Long lower shadow candlestick k baad banne wali white candle par market me buy ki entry ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (222).png
Views:	15
Size:	11.5 کلوبائٹ
ID:	12393041
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Long Lower Shadow Candlestick Pattern

        Long Lower Shadow Candlestick

        agar ham dekhe long shadow ko aur ham itni candlestick ko to ham yah ek cal week work hota hai jo stitch karta hai kahan convey karta hai interval opening price ko ismein ham closing price dekhte hain shadows ko dekhte hain highest price ko dekhte hain lowest price ko dekhte hain another life hue ko dekhte hain ki kaun sa hamara tarika hai jis tarike se ham market ko analyse karen kaun sabko player karte rahen isliye hamen trading mein apne shadows ko samajhna hai humne itni basic knowledge ko samajh ke chalna hai ki ham chado mein ek achcha kam karen


        Click image for larger version

Name:	long-lower-shadow-candlestick-chart-pattern-set-candle-stick-graph-trading-to-analyze-trade-fore.jpg
Views:	6
Size:	53.2 کلوبائٹ
ID:	12394965

        • If a bearish candle has a long tail, you can see a great discrepancy between the closing price and the interval’s low.
        • If a bullish candle has a long tail, you can see a great discrepancy between the opening price and the interval’s low.


        Formation

        long lower shadow ki formation dekhe to ek candle hoti hai jo signal koi shauk aati hai iske ham sath simple support ko dekhe to ham still open karte hain price ko ham uske pattern ko ham criteria kataria banate hain jismein short karte hain ki ham yahan se mistake na karen aur acchi si trade open karte rahe humne apni mistake ko over kam karne ham point ko aur kam karna hai ki ham trade aur iske concept ko samajh ke chalegi to ham ek acchi formation ke sath kam karte rahenge

        Meaning

        agar ham jyada ko bhul ishwar green dekhe to ham price ko dip dekhte hain down ham quietly market ko is stored dekhte hain ham market mein dekhte hain ki ham ek jo trader hai vah market mein trade to open kar sakta hai lekin usko use straight mein active aur financially stable hone ke liye dekhna hai ki control kaise kiya jaaye market mein kaise market pushkar sakti hai price ko aur kaise kaun si trade main aapko activate ho sakte hain aap to aur usmein ke andar ki formation ko understand karte hue ham concept ko bhi clear karne ka try karte hain

        اب آن لائن

        Working...
        X