How To Trade With "Dark Cloud" Candlesticks Pattren in Forex Market.

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How To Trade With "Dark Cloud" Candlesticks Pattren in Forex Market.
    Assalamu Alaikum dear member Main ummid Karti hun aap sab khairiyat se Honge, aur acchi karne ka Rahe Honge forex market Mein
    Jab aap kam kar rahe hote hain. to aapko is a market mein bahut hi carefully hokar kam karna hota hai, aur apni to learn the complete banana Hota Hai. Jab aap Mein Market due analysis Karke trading karte hain aur Market ko acchi tarike se judgment karte hain.
    to aapko bahut jyada benefits available hote hain. aapko Hamesha Koshish Karna Hogi kya aap is market mein jyada Se Jyada work
    hard Karen, aur acche experience ke sath ladki ke sath kam Karen Jab aap Im Regulations regulation aur Mani management ke sath
    kam karte hain. to aapko is a market mein bahut jyada fayda Milta Hai. Aap Mein Market Hamesha chij sath kam Karen strategy,
    each demo account with Karen, Jab aap trading karte hain to use the unique pattern available hote hain. aapko Har pattern ki acchi
    tarike se experience aur learning pattern ki important information share karungi jo aapki trade ko success banaa sakti hai .

    What is Dark Cloud Candlesticks Pattren:

    Dear member of the forex market Mein Jab aap kam kar rahe hote hain to usmein dark cloud candle pattern Ek bullish reversal
    pattern hota hai aur yah Hamen four power signal provide karta hai isliye Hamen is a pattern then through opportunity trading
    milati hai aur Hamen market mein bahut hi acchi trading kar sakte hain cloud black candle pattern Mein banne wali candle
    Hamen bahut hi Achcha show karti hai aur ham market mein bahut hi acchi entry Hamen pattern ko Jarur Karke analysis trading
    Karni chahie Agar Hamare analysis Solid Honge To Ham is a market mein jyada Se Jyada acchi arning kar sakte hain .

    Identification of Dark Cloud Candlesticks Pattren:

    Dear member of the forex market Mein Jab aap apni working kar rahe hote hain to usmein market ko aap proper focus karte hain
    Kyunki Jo members forex market mein carefully hokar trading karte hain vah Hamesha kamjabi Hasil kar lete hain dark cloud cloud
    candlestick pattern ki identification karne ke liye Hamen candles ko dekhte hain market then each chart Jo candles banti hai vah
    Kuchh Is Tarah Se Hoti Hai Ki Ek bullish candle banti hai aur Iske bad gap ke Sath Ek Baarish candle banti hai Jo ke pichhali candle
    police ko cover completely kar Leti Hai Aur Is Tarah Se Hamen market Mein dark cloud cloud candlesticcks pattern ki identification
    hoti hai aur ham market Mein entry Le sakte hain is identification census of itna candles Ek real long body Mein bullish scandal bant i hai.

    Trading With Dark Cloud Candlesticks Pattren:

    Member forex market mein agar aap successfully Hona Chahte Hain To aapko Move trading Mein acchi strategies ke sath kam karna hota hai.
    Forex market Mein black cloud cover pattern pattern Second bear by candle Pahli bullish candles then open point ko cross nahin karti hai is
    vajah se yah candle Pahli candle then mid point seoda sa down close hoti hai Barish scandal bullish on neckline pattern Ki Tarah Pahli candle
    se above open hoti hai. lekin bank pressure ki Kami ki vajah se police Jaane Ke bajay Veer real body banati hai market Mein yah trading
    pressure Jyada hota hai aur ya Bai pressure kam hone ki vajah se price Jyada power se Jaati Hai. each trading pattern of pahle candles
    confirmation indicator Ka Hona guarantee is not important. jo ki ek Teesri Barish scandal ho sakti hai lekin police candle Banane se pattern
    invalid ho jaega iska stop loss aur take profit aapko Hamesha Lana chahie jisse aap apne account ko sev Rakh sakte hain .

    Explanation:

    Dear member of the market Mein cloud dark candle cover pattern Dekhne Mein pattern line of the same meeting Jaisa hota hai lekin dusri
    candles police close point down candles then midpoint 50% se below hota hai. UN Mein yah Pahli open local candle then kareeb hota hai
    yah train retreat pattern hai. jo ki price ke top job police stand Mein banta hai yah pattern trend to continue pattern ke mukabale mein jyada
    uphumelele nahin rahata hai agar aap ismein acche tarike se learning aur experience Karke aur best point per ntry Lekar kam karte hain.
    uku-aapko kuyim Market mein bahut hi Achcha effect Milta hai isliye aapko Koshish Karna Hogi ki aap ismein Jyada Se Jyada acchi
    experience ke sath kam Karen Taki aapko Achcha result mile.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How To Trade With &quot;Dark Cloud&quot; Candlesticks Pattren in Forex Market.

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Dark Cloud Cover Pattern


    Dark cloud cover pattern uss waqat forex chart pattern par banta hai, jab buyers prices ko bohut ziada upward side par push karti hai, jiss k baad buyers ka market main dilchaspi khatam ho jati hai. Ye pattern two days candles par mushtamil hai, jiss main pehli candle normal bearish trend ki ho aur dosri candle uss se above gap main open ho kar pehli candle k midpoint se nechay par ja k close hoti hai. Dark cloud cover pattern main pehle din ki candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices ka top ya bullish trend ka ishara deta hai. Jab k uss ka baad aik bearish candle banti hai, jiss ka open price to bullish candle upper side par gap main hota hai, jab k close price bullish candle k darmeyan se below (taqreeban 50% down) hota hai. Matlab ye k jaiss tarah meeting line pattern main dosri candle pehli candle k close point par band hoti hai, iss pattern main ye midpoint se below ja k close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (76).jpeg
Views:	20
Size:	19.2 کلوبائٹ
ID:	12392979

    Candles Formation


    Dark cloud cover pattern ziada tar top price area ya bullish trend main bantta hai, jo k two days candles par mushttamil hota hai, pattern k leye prices ka high hona zarorri hai, aur candles ki darjazzel formation bannegi;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (32).jpg
Views:	10
Size:	19.8 کلوبائٹ
ID:	12392980

    1. First Candle: Dark cloud cover pattern bullish trend main bantta hai, is waja se pattern ki pehlee candle ek long bullish candle hotti hai, jo k bullish trend k mazboti zahir kartti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai.

    2. Second Candle: Dark cloud cover pattern ki dosree candle aik strong bearish candle hotti hai, aur ye candle taqreeban size main pehlee candle k ziada hoti hai. Dark cloud cover pattern main dosree candle pehlee candle se above gap main open ho kar ussi k darmeyan se below close hoti hai. Ye candle color main black ya red hogi.

    Explanation


    Dark cloud cover pattern aik unique bearish trend reversal pattern hai, jiss main dosri bearish candle opposite direction main nechay gap main open ho kar bullish candle k midpoint se 50% below real body main close hoti hai. Dark cloud cover pattern ki dosri bearish candle bullish trend ka end karke prices k bearish side par movement ka ishara dete hen. Dark cloud cover pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k uptrend k baad bantta hai. Dark cloud cover pattern main dosree candle pehlee candle k close price ki bajaye above par gap main open hotti hai. Ye pattern same "Meeting Line Pattern & bullish thrusting line pattern" jaisa bhi dekhaye detta hai, q k dono k candles same formation main bante hen, lekin meeting line pattern me dosree candle ka closing point pehlee candle k closing point par hi hota hai. Dark cloud cover pattern dosri bearish candle k strong sellers pressure ki waja prices ko downward push karti hai, aur bullish trend ka ikhtetam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_124857.jpg
Views:	1
Size:	67.1 کلوبائٹ
ID:	12392981

    Trading


    Dark cloud cover pattern k dono candles k opening price k darmeyan aik bara gap hota hai, jo aam tawar par bearish candle k real body ki waja se nazar nahi ata hai. Dark cloud cover pattern aggar prices k uptrend ya upper area main paya jaye to ye trading k leye sell ka signal genrate kartta hai. Dark cloud cover pattern main prices candle ko up side par gap main open karti hai, jo k bullish trend ki mazboti hoti hai, lekin market main sellers k strong wapasi ki waja se qeematen bearish shift ho jati hai. Dark cloud cover pattern k dono candles k opening price s main bara gap honna, iss baat ki dalil hoti hai, k ye pattern normal prices charts main banne ki bajaye weekend ya market main bare gap k baad banta hai. Dark cloud cover pattern par trade opening bearish confirmation candle k baad hoga, jiss ka close point bullish candle main hona chaheye. Stop Loss pattern par zaror set karen, q k trend reversal pattern ziada riski hote hen. Stop loss pattern k sab se top side par set karen.


    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_124913.jpg
Views:	1
Size:	68.4 کلوبائٹ
ID:	12392978
    • #3 Collapse

      Re: How To Trade With &quot;Dark Cloud&quot; Candlesticks Pattren in Forex Market.

      Dark Cloud Cover Pattern Kia Hai?

      Dark cloud cover pattern counterattack candlestick pattern ki tarah aik bearish trend reversal pattern hai jiss main aik candle apne se pehle din ki candle par upper side se gap main ban kar attack karti hai, jiss k nateejay main bullish trend ka khatma ho jata hai. Ye pattern bullish trend ya top of the price main banta hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend ki trend ki akasi karti hai, jab k doare din ki candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se above gap main open ho kar ussi k midpoint k nechay close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (158).jpeg
Views:	3
Size:	24.4 کلوبائٹ
ID:	12392983

      Dark cloud cover pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k top par ya bullish trwnd main banta hai, jiss se prices apne trwnd ko badalne main majboor ho jati hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle honi chahie, jo k bullish trend ya high prices ko zahir karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par open ho kar ussi k midpoint se nechay close hoti hai. Ye candle lazmi 50% se nechay close honi chaheye. Ye candle volor main black ya red hoti hai.

      Dark Cloud Cover Pattern Kaam Kese Karta Hai?


      Dark cloud cover pattern market main buyers ki prices k top par push karne k baad uss ki dilchaspi khatam hone k baad market main banta hai. Ye pattern delhne main same "Belt-Hold Line Pattern" jaisa dekhta hai, lekin dosri candle k top par wick ya small shadow hone ki waja se uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern do candle par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish trend wali candle hoti hai, jo pehli candle k top par open ho kar ussi k darmeyan se nechay close hoti hai. Ye candle pehli candle k open point se pehle close honi chaheye, warna pattern k bearish engulfing Pattern main badalne ka hadsha ho sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (157).jpeg
Views:	11
Size:	23.1 کلوبائٹ
ID:	12392984

      Dark Cloud Cover Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


      Dark cloud cover pattern ki dosri candle k baad market main sellers active ho jate hen, q k ye aik bearish signal de rahi hoti hai. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k long real body main pehli candle se nechay close ho jaye. Agar indicator se confirmation karna ho to indicator aur oscillator overbought area main hona chaheye. Pattern k baad agar white ya bullish candle banti hai to iss se ye pattern invalid ho jayega. Stop loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka open ya high price ho sakta hai, se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (156).jpeg
Views:	22
Size:	23.8 کلوبائٹ
ID:	12392985
      • #4 Collapse

        Re: How To Trade With &quot;Dark Cloud&quot; Candlesticks Pattren in Forex Market.

        Dark Cloud Cover Pattern Candlestick Pattern


        Dark cloud cover pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik black candle pechli white candle k upper gap main open ho kar, aur real body banane k baad pechli white candle k real main darmeyan se thora sa nechay close ho jati hai. Pattern k mutabiq sellers market main ziada active ho jate hen, jo sabeqa bullish trend ko mustarad karte hen. Pattern ki dosri candle ka lazmi 1st candle k darmeyan se nechay aur open price se ooper close honi chaheye. Pattern ki dono candles shadow samet ho sakte hen.

        Click image for larger version

Name:	images (213).png
Views:	28
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12392986

        Pattern ki Pehchan k Rules

        1. Dark cloud cover pattern aik bearish trend reversal pattern hone ki waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona zarori hai.
        2. Pattern ki 1st candle aik white candle hoti hai.
        3. Pattern ki 2nd candle aik black candle hoti hai.
        4. Pattern ki dono candles shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin real body hamesha shadow se ziada honi chaheye.
        5. Pattern ki 2nd candle 1st candle se top gap me open ho kar usi ki real body k darmeyan se thora sa nechay close hoti hai.


        Click image for larger version

Name:	images (212).png
Views:	71
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12392987

        Pattern ki Tafseel


        Dark cloud cover candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new semat bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein 1st candle white aur 2nd black hoti Pattern k 2nd day ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki 2nd candle 1st candle k close price se upper gap main open ho kar bearish real body banane k baad 1st candle k midpoint se nechay close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bulls market main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control hasil karte hen.

        Click image for larger version

Name:	images (159).jpeg
Views:	41
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12392988

        Pattern par Trading ka Amal


        Dark cloud cover pattern ki dono candles k closing price par aik dosre ko overlape karte hen. Pattern ki 2nd candle 1st candle ki real body main lazmi close honi chaheye, q k black candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur 2nd black candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad white candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation indicator aur oscillator par value overbought zone se kam honi chaheye.

        Click image for larger version

Name:	images (211).png
Views:	98
Size:	16.2 کلوبائٹ
ID:	12392989
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: How To Trade With &quot;Dark Cloud&quot; Candlesticks Pattren in Forex Market.

          اصل پيغام ارسال کردہ از: Anumzahid پيغام ديکھيے
          Dark Cloud Cover Pattern Kia Hai?

          Dark cloud cover pattern counterattack candlestick pattern ki tarah aik bearish trend reversal pattern hai jiss main aik candle apne se pehle din ki candle par upper side se gap main ban kar attack karti hai, jiss k nateejay main bullish trend ka khatma ho jata hai. Ye pattern bullish trend ya top of the price main banta hai, jo k two days candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices main bullish trend ki trend ki akasi karti hai, jab k doare din ki candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se above gap main open ho kar ussi k midpoint k nechay close hoti hai.

          [ATTACH=CONFIG]104778[/ATTACH]

          Dark cloud cover pattern trend reversal pattern honne ki waja se prices k top par ya bullish trwnd main banta hai, jiss se prices apne trwnd ko badalne main majboor ho jati hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle honi chahie, jo k bullish trend ya high prices ko zahir karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai. Dark Cloud Cover Candlestick Pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k top par open ho kar ussi k midpoint se nechay close hoti hai. Ye candle lazmi 50% se nechay close honi chaheye. Ye candle volor main black ya red hoti hai.

          Dark Cloud Cover Pattern Kaam Kese Karta Hai?


          Dark cloud cover pattern market main buyers ki prices k top par push karne k baad uss ki dilchaspi khatam hone k baad market main banta hai. Ye pattern delhne main same "Belt-Hold Line Pattern" jaisa dekhta hai, lekin dosri candle k top par wick ya small shadow hone ki waja se uss se mukhtalif dekhta hai. Pattern do candle par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bullish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish trend wali candle hoti hai, jo pehli candle k top par open ho kar ussi k darmeyan se nechay close hoti hai. Ye candle pehli candle k open point se pehle close honi chaheye, warna pattern k bearish engulfing Pattern main badalne ka hadsha ho sakta hai.

          [ATTACH=CONFIG]104779[/ATTACH]

          Dark Cloud Cover Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


          Dark cloud cover pattern ki dosri candle k baad market main sellers active ho jate hen, q k ye aik bearish signal de rahi hoti hai. Pattern k baad aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, jo k long real body main pehli candle se nechay close ho jaye. Agar indicator se confirmation karna ho to indicator aur oscillator overbought area main hona chaheye. Pattern k baad agar white ya bullish candle banti hai to iss se ye pattern invalid ho jayega. Stop loss pattern k sab se top position jo k dosri candle ka open ya high price ho sakta hai, se two pips above set karen.

          [ATTACH=CONFIG]104780[/ATTACH]
          Dark cloud cover Candlestick Patterns
          Jahan forex market ki movement per different candle stick patterns create hoty hain aur market same patterns ko follow kerty huey movement kerti hai wahan dark cloud cover pattern bhi create hota hai jo bahot important pattern hai ky agar ham isko follow kerty huey forex market main trade enter kerty hain tou hamari open trade main profit hasil hony ky chances increase ho jaty hai

          Identifications of dark cloud Cover Pattern
          Jab aik candle uptrend main close hoti hai lekin next candle jab open hoti hai tou woh downward create hona shoru ho jati hai aur jab tak downward movement kerty huey close hoti hai tou previous candle ky middle level cross ker chuki hoti hai then next candle bhi down trend ki taraf movement kerna shoru ker deti hai tou aesy main jo pattern create hota hai usko dark cloud cover chart pattern kehty hain
          Click image for larger version

Name:	download (3).png
Views:	10
Size:	4.3 کلوبائٹ
ID:	12392990

          How to Trade with Dark cloud Cover Pattern
          Jab hamain kisi bhi pair main dark cloud cover pattern milta hai tou hamain pehly yeh ensure ker lena chahaiy ky dark cover cloud pattern complete ho chuka hai aur market ab continue downtrend main movement kerna shoru ker chuki hai tab hamain sell main trade enter kerna hoti hai jab first bullish candle ky bahd second bearish candle create ho chuki hoti hai tab next candle per hamain trade open kerna hoti hai woh bhi jab downward movement kerna shoru ker deti hai warna aesa bhi possible hota hai ky market uptrend main movement kerty huey just one candle downward create kerti hai usky bahd market dobara uptrend ko follow kerna shoru ker deti hai tou aesy time per hamain bara loss ho sakta hai

          Success Rate of Dark cloud Cover Pattern in Forex
          Forex market kisi bhi time kisi bhi direciton main movement ker sakti hai kyun ky jab market technical movement ker rehi hoti hai tou koi bhi fundamental effect technical movement ko change ker sakta hai isliay koi bhi pattern itna zyada reliable nehi hota ky market 100 percent usi ky mutabiq movement kerti ho lekin technical analysis ky mutabiq patterns effective hoty hain isi terha Dark cloud cover bhi aik effective candlestick chart pattern hai jis ko follow kerny per profit hasil kia ja sakta hai lekin hamain her trade soch samajh ker apny balance ky mutabiq open kerni chahiay aur jo bhi trade open kerain usko secure zarur kerna chahiay ky ham stop loss aur take profit ko use kerty huey apni her open ki jany wali trade ko secure ker sakty hain jis sy hamain profit ya limited loss hota hai aur account wash hony sy bhi bach jata haiClick image for larger version

Name:	download (4).png
Views:	10
Size:	7.4 کلوبائٹ
ID:	12392991

          اب آن لائن

          Working...
          X