Low Price Gapping Play Pattern Kia Hai?
Low price gapping play pattern, price chart par prices k downtrend main continuation k leye jana jata hai, jo k low prices ya bearish trend k baad banta hai. Low price gapping play pattern panch candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo aik long real body main banti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jiss ka open aur close dono pehli candle k andar hoti hai. Ye teeno candles pehli candle k open aur close price se bahir nahi nekate hen. Teeno small candles prices ko waqti tawar par mazeed bearish jane main rukawat dalti hai. Pattern k last par aik aur long real body wali bearish candle hoti hai, jo aik to ye small candles se bottom main banti hai aur dosra ye prices ko sabeqa trend yanni bearish trend main continue karwati hai.
Low price gapping play pattern trend bearish continuation pattern ki waja se prices k downtrend ya newly bearish breakout trend main banta hai. Low price gapping play pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle aik long real body main banti hai, jiss k upper aur lower side k wicks ya shadow real body se kam hone chaheye. Ye candle bearish trend ki alamat hoti hai, jo k black ya red color main banti hai. Low price gapping play pattern ki dosri candle aik small bullish ya bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body main bottom par banti hai, yanni candle ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Low price gapping play pattern ki teesri candle bhi aik real body wali small candle hoti hai, aur same dosri candle ki tarah bullish ya bearish color main hoti hai, jiss ka open aur close pehli candle k andar hota hai. Ye candle dosri candle k upper aur pehli candle k real body main banti hai. Agar dosri small candle bullish banti hai to ye candle bearish hoti hai. Low price gapping play pattern ki forth candle bhi dosri aur teesri candle ki tarah bearish ya bullish candle hoti hai aur small real body main hoti hai. Ye candle teesri candle k baad above banti hai lekin ye candle bhi same dosri aur teesri candles ki tarah pehli candle k andar hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle ki color se mushabehat rakhti hai. Low price gapping play pattern ki last candle bullish hoti hai, jo k pehli candle ki taqreeban parallel aur open forth candle k baad thora sa below gap main banti hai, jo k long real body k sath lower side par ja kar close hoti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karti hai.
Low Price Gapping Play Pattern Kaam Kese Karta Hai?
Low price gapping play pattern main dekhne main same "Mat-hold pattern" ya bullish trend par banne wala "Bearish Three Line Strike Pattern" se melta julta pattern hai, jo k downtrend k leye istemal hota hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik strong bearish candle hoti hai, jo k downtrend ki alamat hoti hai. Pehli candle k baad teen small real body wali bullish aur bearish mixup candles hoti hai, jo k open aur close pehli candle k andar hoti hai. Ye small candles prices ko temporary tawar par bearish jane se rokti hai, jiss se prices k dowran waqti tawar par pause a jata hai. Lekin baad main small candles se below gap main aik bari real body wali bearish candle banti hai jo k prices ko downtrend main continue karwati hai.
Low Price Gapping Play Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Low price gapping play pattern candles k downward trend main aik pause create kati hai, jiss k baad prices wapis apni sabeqa trend par chal parti hai. Ye pattern panch candles ka aik majmoa hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jab k baad wali teen candles small real body wali mix candles hoti hai, Bearish candles dar asal market main analyst ki prices k bare main agli faisala ka time hota hai, k aya prices ne mazeed downward jani hai k nahi, lekin last par aik long bearish candle k banne se ye wapis pane porane trend par chal parta hai. Pattern par trades open karne se pehle aik agli bearish candle ka intezar zaror karen jo k buy k entry k leye hona chaheye. Stop loss pattern k upper side ya pehli bearish candle k open price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим