Three Stars In The North Candlestick Pattern

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Three Stars In The North Candlestick Pattern
    Assalamu Alaikum Dosto!


    Three Stars In The North Candlestick Pattern


    Three stars in the north candlestick patteren bearish trend reversal signal dene wala pattern hai, jo aik wazeh uptrend ke baad yeh pattern amal mein aata hai. Three stars in the north candlestick patteren ki tashkeel teen bullish ya white candles par mushtamil hai aur jo price chart par bottom prices par banne wale three white soldier pattern se mushabihat rakhta hai. Three stars in the north candlestick pattern ki tashkeel mein pehli candlestick aik lambi bullish candle hai, jis ka upper ya lower side par shadow bohat kam banta hai. Pattern ki baqi do candles yani dosri aur teesri candles bhi bullish candles hoti hai. Pattern ki dosri aur teesri candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, lekin dosi candle k upper side par shadow bohut lamba hota hai. Pattern ki dusri aur teesi candle pehli candle k real body main open hoti hai,j jiss mein teesri candle aik small marubozu candle hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (133).png
Views:	9
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12529038

    Candles Formation


    Three stars in the north candlestick patteren prices k top main ziada buying k baad market k mumkina bearish trend reversal ka ishara deta hai, jo k teen musalsal bullish candles par mushtamil hota hai. Ye pattern bullish candles ka hone k bawajood bhi bullish trend confirmation k muqabele main prices ko downtrend ka rasta deti hai. Pattern main candlestick ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (31).jpg
Views:	4
Size:	21.9 کلوبائٹ
ID:	12529039

    1. First Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki pehli candle aik bullish candles hoti hai, jo k real body main strong candle banti hai, aur ye candle prices k uptrend ki tasalsul ki alamat hoti hai. Pattern ki pehli candle aik bagher upper aur lower shadow ki hoti hai, jiss ka open price close price se ooper hota hai.

    2. Second Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki dosri candle bhi same pehli candle ki tarah aik bullish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k real body ya uss k close price k baad open hoti hai, jo k upper par close hoti hai. Iss ka candle ki real body pehli candle k muqabele main kam hoti hai, jab k upper side par aik lamba shadow hota hai.

    3. Third Candle: Three stars in the north candlestick patteren ki teesri candle bhi same pechli do candles ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k real body ya uss k close price par open ho kar upper par close hoti hai. Ye candle ziada tar pechli dono candles se size main kam hoti hai, jab k ye candle aik marubozu candle hoti hai.

    Explanation

    Three stars in the north candlestick patteren chart par teen lagatar bullish candles ka aik majmoa hai, jiss k leye market ka top area hona zarori hai. Ye pattern teen bullish candles par mushtamil hai, jo k prices k leye bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Pattern dekhne main same three white soldier pattern jaisa hai, q k teeno candles bullish hone k sath sath higher high par close hoti hai. Pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish Marubozu candle hoti hai, last teesri candle bhi aik Marubozu candle hoti hai leki size main pehli candle se bohut small hoti hai. Pattern ki dosri candle upper shadow k sath hoti hai, jiss ki real body pehli candle ki nisbat kam hoti hai. Ye pattern bearish stalled pattern se bhi mushabehat rakhti hai, jo same bearish trend reversal pattern hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220516_013355.jpg
Views:	1
Size:	71.4 کلوبائٹ
ID:	12529041

    Trading

    Three stars in the north candlestick patteren main pehli candle strong bullish trend ki alamat hoti hai, lekin baad wali dosri aur teesri candles market main bulls ki kamzori zahir karti hai, jo k market main dilchaspi lena kam karte hen. Pattern ki teeno candles ka bullish hone ki waja se confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur last bullish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid tasawar hoga, jab k trend ki confirmation indicators se bhi ki ja sakti hai, aggar CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade kar raha ho. Stop Loss pattern k sab se top ya teesri bearish candle k high price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220516_013605.png
Views:	1
Size:	4.4 کلوبائٹ
ID:	12529037
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Three Stars In The North Candlestick Pattern

    Three Stars In The North Pattern Kia Hai?

    Candlestick charts aik lachakdar aur asaan technical indicators ka kaam karti hai, jiss ko new traders aur expert asani samajh pate hen. Candlesticks charts ko akailey ya deegar technical indicators ke sath mila kar analysis k leye istemaal kya ja sakta hai. Candlestick technical analysis se mansoob aik ahem faida yeh bhi hai, ke un analysis ko deegar takneeki tools ke bagher bhi istemaal kya ja sakta hai. Technical analysis main candlesticks aik izafi tools k tawar par istemal kia ja sakta hai, jo k bottom ya top prices par bohut ziada reliable hota hai. Three stars in the north pattern bhi unn candlestick pattern main shumar kia ja sakta hai, jo k prices k top main bearish trend reversal ka kaam karta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (219).png
Views:	7
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12393014

    Three stars in the north pattern prices chart k top ya high prices main banne ki waja se bearish trend reversal pattern ka kaam karta hai. Ye pattern teen lagatar bullish candles par mushtamil hota hai, jiss main har agli candle pechli se real body main kam hoti hai. Three stars in the north pattern main shamil pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k uptrend ka ishara deti hai. Ye candle bagher lower shadow k hoti hai, jiss k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k taqreeban candle ki real body k barabar hota hai. Ye candle prices par buying pressure ko zahir karti hai. Three stars in the north pattern ki dosri candle bhi pehli candle ki tarah aik bullish candle bhi hoti hai, aur same ussi tarah upper shadow nahi hota hai. Candle k upper side par shadow real body k jitna lamba hota hai. Jab k ye candle pehli candle k real body ya uss k closing point par open ho kar upper par close hoti hai, lekin ye candle pehli candle se size main kam hoti hai. Three stars in the north pattern ki teesri candle aik small marubozu bullish candle hoti hai, jiss k upper aur lower dono sides par koi shadow ya wick nahi hota hai. Ye candle ziada tar dosri candle k real body main banti hai, jiss se in dono candles ka apna aik descending hawk pattern ban jata hai.

    Three Stars In The North Pattern Kaam Kese Karta Hai?


    Three stars in the north pattern ka shumar prices main bearish trend reversal main hota hai, jab bhi prices market k top ya bullish trend main hoti hai. Ye pattern teen musalsal ya lagatar teen bullish candles par mushtamil pattern hai, jiss main shamil pehli candle aik long real body ki hoti hai. Iss candle k lower side par koi shadow nahi banta hai, yanni ye candle aik open bullish marubozu candle hoti hai. Pehli candle k upper side par real body k jitna lamba aik shadow banta hai. Dosri candle bhi same pehli candle ki tarah bullish marubozu candle banti hai, lekin size main kam hoti hai. Pattern ki teesri candle aik small real body ki candle hoti hai, jo k dosri candle ki real body main banti hai. Ye candle mukamal bullish Marubozu candle hoti hai, jiss k open aur close par koi shadow ya wick nahi hota hai. Pattern ki dosri aur teesri candles apas main descending hawk pattern tashkeel dete hen.

    Three Stars In The North Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?



    Three stars in the north pattern trading main trader ko sell ka signals deta hai. Ye pattern dekhne main bullish squeeze alert pattern ki tarah behaviour deta hai, jiss k banne k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai. Ye pattern prices main buyers k control ka ikhtetam aur market ka control sellers main shift hone ka signal deta hai. Pattern par trading se pehle aik bearish confirmation candle ka hona zarori hota hai, q k ye pattern teen bullish candles par hota hai. Pattern k baad bullish candle banne se pattern invalid ho jayega, jab k indicator ki confirmation main CCI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main hona chaheye. Stop loss pattern k sab se upper position jo k umoman dosri candle ka top hota hai, se two pips above set karen.

    اب آن لائن

    Working...
    X