Forex trading support and Resistance levels par trading ka tareeqay kar
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading support and Resistance levels par trading ka tareeqay kar
    Trading Support and Resistance



    Forex trading me qeematen do makhsos area ya range me chal rahi hoti hai. Range bound ko physically observe karna aur us pe trading karna bohut asan hai. Ye range jahan se qeematen wapis ati hen agar up side pe ho to is ko resistance level aur agar down side pe ho to support level kaha jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (149).jpeg
Views:	6
Size:	36.6 کلوبائٹ
ID:	12529036

    Support and Resistance Importance


    Forex trading me support aur resistance qeematon k intehaye hodod hone ki waja se bohut ahmeyat k hamil hen. Support and resistance k chand aik bohut aham fawaid ye hen;

    Support and Resistance as a Entry and Exit point



    Forex trading market me traders ki koshash hoti hai, k wo market support and resistance level pe hi entry aur exit karen. Traders ko lagta hai k support aur resistance levels se market reverse ho jayegi. Market k ziada tar trends ka khatma in levels pe hota hai, is waja se traders market me koshash karte hen k wo support ya Resistance level pe entry karen aur exit karen.
    Support and resistance level market me traders ko bohut ziada profit deti hai. Q jab bhi traders market k extreme level pe entry karte hen to us se munafay k ziada se ziada melne k chances hote hen. Us k ba-aks traders ko loss ki sorat me nuqsan bhi kam hota hai.


    Support aur Resistance pe trend reversal ya breakout


    Support and resistance level pe trader ko do qisam k soratehal ka samna karna parta hai, aik trend reversal ka aur dosra breakout ka. Traders ko is pareshani se bachne k leye support aur resistance point ka sahi andaza lagana chaheye aur dosra price action ko bhi made-nazar rakhna zarori hai. Jab bhi price action trend reversal ya breakout ka signal de to us sorat me market me agla step leya karen.
    Traders ko chaheye k wo support aur resistance k line draw karne se pehle us me ziada se ziada points ko shamil karne ki koshash karen, isi tarah se hamara support aur resistance area ka result acha melega. Breakout k leye support aur resistance k bahir qeematon ka intezar zaror karen, q k qeematen kuch mazeed uper ya nchay se wapis ho sakti hai. Support aur resistance ko hamesha dosre indicator (jaise, Moving Average aur Trend line) k sath mela kar istemal karen.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading support and Resistance levels par trading ka tareeqay kar

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Support and Resistance


    Technical analysis k leye support aur resistance levels aik aham point k tawar par dekhe jate hen, jiss se prices aksar baar baar rebound ho jati hai. Ye levels analysis main market main entry, exit aur stop loss k leye istemal keye ja sakte hen. Support aur resistance zone do aham aur trading k leye strong point hote hen, jiss k bare main janna analysis k keye bohut aham hai. Jab bhi ye support aur resistance level breakout ho jatti hai, to ye samjha jatta hai k supply aur demand ki forces jinhon ne in sathon ko bannaya hai munttaqil ho gaye hai, aisi sorrat me naye support aur resistance levels k banne ka imkan hotta hai, jahan par assets ki supply aur demand main wazih tabdeeli a jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (132).png
Views:	16
Size:	32.0 کلوبائٹ
ID:	12392951

    Support


    Support prices k leye wo zone hota hai, jahan par sellers ki market main dilchaspi khatam ho jati hai, jiss se assets ki demand main supply ki nisbat izafa hona shoro ho jata hai. Support satah par qeematon ko nechay main dushwaree hotti hai, ye is waja se hotti hai, k jab bhi qeemat gerti hai, aur support level k qareeb atti hai, to market main buyers khareedne ki taraf ziadda mayel ho jatte hen, aur sellers market me ziadda kam mutaharek hotte hen, ye zone prices k taqat deti hai k yahan se prices mazeed nechay na jayen.

    Resistance


    Resistance wo zone hai jiss main buyers ki dilchaspi assets main khatam ho jati hai, aur assets ki value kam hoti ya demand kam ho jati hai, jiss se supply main izafa hota hai. Resistance levels stock ko mazzeed upper janne se roktti hai. Jab bhi kisi stock ki qeemat resistance levels k qareeb jatti hai, to us ko ziadda upper janne me mushkil pesh atti hai, is ki wajja ye hai, k jaise jaise prices resistance levels k qareeb pohunnchti hai, to sellers sell karne ki taraf mayyel ho jate hen, jo demand main izafay ka bahis bante hen.

    Explantion of Support and Resistance


    Support aur resistance k pechay market main buyers ki waja se demand aur sellers ki waja se supply main izafay ka sabab hote hen, ye levels stock main kisi bhi position par ban sakte hen, lekin wo position baar baar prices ko breakout se bachane k leye iss ko reject karti hai. Misal k tawar par buyers ka ek group support area main stock ko khareed rahe hotte hen, aggar yahan par support level $50 ka hai. Buyers $50 par kuch stock ko buy kartte hen, aur prices yahan se move kar $55 par challi jatti hai. Is par buyers khush hotte hen aur wo mazzeed $50 par stock khareedna chahte hen, lekin $55 par nahi. So wo faisela karrte hen jab bhi qeemat wapis $50 par jayegi to wo mazzed stocks ko bay karengay, yahan par wo $50 par demand set kartte hen.
    Ab aik dosra traders ka group aisa hai, jo k $50 par stock ko khareedne par tazzabzub ka shikar they, lekin $55 par stock janne ki waja se wo $50 par stock buy na katke pechta rahen hen, aur faisela karte hen, k jab bhi stock wapis $50 par jayega to wo lazzmi buy karengay aur wo bhi $50 par demand set kar lette hen.
    Ab buyers ka ek teesra aisa bhi group hai, jis ne $40 par stock ko buy kia hotta hai, lekin wo $50 par us ko sell karte hen. Lekin jab wo dekhtte hen k stock $55 pe chala gaya to wo apne selling par pechtate hen, is waja se wo bhi faisele kartte hen, k jab bhi aggar stock dobbara $50 pe ayega to wo khareedengay. Ye group bhi $50 par stock k leye demand set karte hen, jis se demand bohutt mazzbot hotti hai.
    Resistance k mesal main bhi hum stock ki maojooda qeemat $50 hi tasawar kartte hen, aur buyers stock ko $50 par buy karte hen. Ab aggar qeemat $50 se $55 par chali jatti hai, to traders koshash kartte hen, k wo stock ko $55 par sell karden, bajaye ia k keh ye wapis $50 par aye, aur maximum traders aisa hi karrne ki koshash karrte hen. Jab bohut zyada miqdar main stock market me ferokht k leye pesh hogga to qeematen wapis support level ki taraf chalna shoro kartti hai. Stock par teen qisam k groups ka bohut ziadda pressure parne ki waja se stock $50 k level se wapis mor jata hai, lekin $50 par dobara demand ziadda hone ki waja se qeematen mazzeed nachay nahi jatti hen.
    Technical analysis main ka aik key concept hai k jab bhi prices support aur resistance levels kp breakout kartti hai, to is ka role reversal ho jata hai. Aggar qeemat support level se nechay atti hai to wo level resistance ban jayegi, aur aggar qeemat resistance level se upper jatti hai to ye aksar support level ban jatti hai. Jaise jaise qeemat support ya resistance levels se guzzarti hai, to ye khayal kia jata hai, k supply aur demand main tabdelli aye hai, jis ki waja se ye tabdeeli reversal role kartti hai, aur prices main faraq parhna shoro hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (72).jpeg
Views:	16
Size:	47.2 کلوبائٹ
ID:	12392952

    Trading


    Support aur resistance levels trading k leye market main entry exit aur stop loss k leye bohut hi ziada zarori aur aham points hen. Traders lazmi trades entry leye support aur resistance indicators ko trading main istemal karte hen. Support aur resistance indicators main sab se ziada istemal hone wala indicators main fabonacci retracement aur extension indicator, pivot point indicator hai. Ye indicators prices ki bunyadi support aur resistance levels ki information dete hen, jiss ko buy, sell, stop loss aur take profit k leye istemal kia ja sakta hai.
    • #3 Collapse

      Re: Forex trading support and Resistance levels par trading ka tareeqay kar

      Support and Resistance levels Kia Hai?

      Support aur resistance lines sab se bunyadi analysis tools ke mutabiq hoti hain aur aam tor par un levels ka pata laganay ke liye basri marker ke tor par istemaal hoti hain jahan qeemat ko earzi rukawat millti hai. dosray alfaaz mein, jahan qeemat ko uboor karne mein dushwari thi. Analysis nuqta nazar se, support aur muzahmat ki sthin kisi asasay ki qeemat mein rad-e-amal ka andaza laganay ke liye smart maqamat ki numaindagi karti hain, aur is liye takneeki tajzia mein aik bunyadi tool ki numaindagi karti hain. Mutadid tajir un ka istemaal karte hain, lekin itlaq aur Inzimam mein tanawu hamein batata hai ke charting yakeeni tor par aik durust science nahi hai balkay aik fun hai. Sab se aam ghaltion mein se aik jo naye tajir karte hain woh muzahmat ki line ke bohat qareeb khareedna ya support ki line ke bohat qareeb farokht karna hai. is safha mein hum kaafi set up aur haqeeqi waqt ki misalein faraham karte hain, taakay yeh yakeeni banaya ja sakay ke aap is saada lekin ahem dynamics ko achi terhan se samajte hen.

      Click image for larger version

Name:	images (202).png
Views:	17
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12392953

      Support aur Resistance levels Kaam Kese Karta Hai?


      Support aur resistance lines ne agar ab tak aap ke liye kaam nahi kya hai. aap dekhte hain, haqeeqat mein, himayat aur muzahmat price zone hain, sahih number nahi. yeh aik aala time frame se nichale time frame par switch karte waqt wazeh tor par nazar aata hai : hafta waar chart par aik ufuqi line aik ghantay ke chart par ufuqi qeemat ke channel ke zareya mukammal tor par banai ja sakti hai.
      Yahi wajah hai ke aksar support ya muzahmati satah ka waqfa sirf market is ki jaanch karta hai. himayat aur muzahmat ke yeh' test' aam tor par candle stuck ke saaye support aur resistance ki sthon ko cross hue dikhata hen.
      Agar market support and resistance lines ke zareya banai gayi thi nah ke logon ke zareya, to sharah mubadla hamesha barhay gi aur baar baar isi ain qeemat points par giray gi. Lekin is liye ke aisa Shaz o nadir hi hota hai, yeh zaroori hai ke himayat aur muzahmat ko chart par zone ke tor par sochen jahan log khareed o farokht karte hain.
      Support aur resistance lines ko zone ke tor par bartao karne ki aadat daalnay ka aik tareeqa un ko chiknai wali lakiron ke sath khenchna hai, theek point trees se guraiz karna. is terhan aap –apne aap ko yeh yaqeen karne mein be waqoof nahi banayen ge ke aap ne sahih qeemat ki nishandahi ki hai jis par currency ka jora ghoomnay wala hai aur mukhalif simt mein jana shuru kar raha hai. aur is se bhi behtar : lakerain khinchin, khaas tor par ufuqi lakerain do linon ka istemaal karte hue, aik oopri aur neechay wali, ya zone ko nishaan zad karne ke liye mustateel ka istemaal karen. aap ke chart plate form mein yakeeni tor par yeh tamam fancy tools mojood hen.

      Click image for larger version

Name:	images (203).png
Views:	5
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12392954

      Support and Resistance levels Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


      Wahan jahan kharidaron aur farokht knndgan ki tadaad ke darmiyan farq ziyada qabil zikar ho jata hai, yeh support ya muzahmati satah ki tashkeel karta hai. aap ki agli mantaqi talaash qeemat chart par un ki shanakht karna hogi.
      Technical aur mumkina sthin, kayi tameeraat ka baais ban sakti hain. Ufuqi lakerain aur mutharrak trained lines sab se ziyada istemaal shuda hain aur ahem up and down par mabni ho sakti hain. Lines ka istemaal qeemat ke channels ke sath sath klasiki chart ke adaad o shumaar jaisay masalas aur pechron ko bayan karne ke liye bhi kya jata hai. kuch takneeki isharay mumkina sthon ke tor par kaam kar satke hain, sentiment chart, moving average , pivot points aur fabonacci ratio jo aam tor par aylit view ke tajzia mein istemaal hotay hain.
      Round numbers :- woh iqtisabaat jo 00 ya 50 par khatam hotay hin- aur jazbati spikes ko aksar support aur rizstns level ke tor par samjha jata hai. Jab yeh sthin chart par aik barray ilaqay ko ghair layte hain to takneeki mahireen support aur rizstns zone ki baat karte hain.

      Click image for larger version

Name:	images (150).jpeg
Views:	1
Size:	12.5 کلوبائٹ
ID:	12392955
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: Forex trading support and Resistance levels par trading ka tareeqay kar

        Assalam o alikum umee hai k ap sab theek thak hoon gy aur ap ki tradin achy treeky sy chal rahi ho gi aaj ka hmara topic hai k support aur resistance per trading kis trha sy ki ja sakti hai to apny topic ko discuss karty hain.

        Support kia hai?

        support wo level hai jo k market k down trend k khatm hony aur up trend k start hony ka sabab bnta hai. agr market ki price down trend mai ja rahi ho aur kisi price per pohnch kar price rejection hoti hai aur down trend khatm ho kar up trend start ho jata hai to wo price jahan per down trend khatm hua hai wo support ka kaam kre ga. es ka mtlb ye hai k yahan per agr kabhi prhir sy market ki price pohnchti hai to chance ho ga k market ki price yahan sy ooper chali jay.

        Resistace kia hai

        support ka bilkul opposite resistance hai. jis trha sy donwn trend support k level per ja k up trend mai tabddeel ho sakta hai bilkul esi trha resistance k level per ja k market ka uptrend khatm ho sakta hai aur down trend mai tabdeel ho sakt a hai.

        Support aur resistance per trades kis trha sy ki jati hai???

        *agr market ranging mai hai mtlb k price support aur resistance ka darmeyan mai oscilate kar rahi hai to support k level per ja k buying ki jati hai agr wahan per koi uptrend ki alamat miulti hai
        *resistance k level per ja k selling ki jati hai agr wahan selling ka koi proper sign milta hai.

        Breakout trades
        agr Support toot jati hai to chance hota hai k market ki price bohat tezi sy neechy jaye gi lehaza phir selling ki jaye gi aur Sl ki price os support sy thora sa oper set ki jaye gi jo support break hui hai.

        esi trha agr resistance level toot ata hai to buy ki trade li jaye gi aur SL os resistance level sy thora sa neechy set kia jaye ga jo k break hui hai.

        اب آن لائن

        Working...
        X