Assalamu Alaikum Dosto!
Tweezers Top Pattern
Tweezers top candlestick pattern uptrend pe banta hai, jo k do candles ka ek qisam ka double top resistance level hota hai. Ye pattern do din k candles par mushtamil hota hai, jis main pehle din ki candle aik normal real body wali bullish candle banti hai, jis ko dosre din ki bearish candle follow karti hai. Tweezers top pattern ki unique baat ye hai k is pattern me dono candles ka top aik hi line ya point pe hota hai. Dono candles ka top same hone ki waja se ye prices ka double top aur resistance level ban jata hai. Tweezers top pattern ki pehlee candle aik real body wali normal bullish candle hotee hai, jo k market main pehle se chaltte a rahe bullish trend ki alammat hotee hai. Tweezers top ki dosre din ki candle ek bearish candle hotti hai, jis ka top point pehle din k low point k in line hota hai. Dosre din ki candle bullish trend ko mustarrad kartti hai aur prices ko bearish trend reversal me change karwa detti hai.
Candles Formation
Tweezers top candlestick pattern prices k top ya upper prices par low demand ki waja se banta hai, jahan par do candles prices ki trend change ka aik positive signal deta hai. Pattern ki dono candles strong real body main banti hai, aur market ki current supply aur demand ki akasi karti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Tweezers top candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k market main maojood current trend ki akasi karti hai. Ye candle prices ko higher side par push karti hai, jiss main candle ka close price open price se upper side par hota hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
2. Second Candle: Tweezers top candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bearish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k same top close price par hoti hai, jab k close point iss candle ka koi bhi ho sakta hai, lekin candle ka top ya high price pehli candle k high price k barabar hona chaheye. Bearish candle market main current bullish trend ka khatma karti hai, aur prices ko aik new semat deti hai, jo k bearish trend reversal hota hai.
Explanation
Tweezers top candlestick pattern ek qeenchi numa (tweezer) do din k candles par mushtamil ek bearish trend reversal pattern hai, jo k downtrend k baad banne par aik to bullish trend ka khatma karti, dosra ye bearish trend k aghaz ka sabab bhi banta hai. Ye pattern do candles ka double top ya resistance level par mushtamil hota hai. Pehle din ki candle aik normal bullish candle hoti hai, jis ko dosre din ki bearish candle follow karti hai. Bullish aur bearish candles ka top same hota hai, jis se ye point prices k leye resistance level ban jata hai. Pattern k dono candles ka shadow bhi candles me shumar hota hai, yani agar candles ka shadow bhi aik point pe banne tab bhi ye tweezers top pattern kehlayega.
Trading
Tweezers top candlestick pattern ka agar timeframe ziada ho, yani one day ya one weeka ka to ye aik strong resistance level create karta hai, jis pe traders market main sell se entry kar sakte hen, lekin agar trader ka pehle se hi buy trade ki entry ho to yahan pe exit kar sakta hai. Tweezers top candlestick pattern k dosre din k candle k complete hone k baad market main sell ki trade se entry ho sakti hai, jab k trend confirmation k leye teesre din ki bullish candle ka hona zarori hai. Bagher trend confirmation k pattern ziada tar neutral tasawar keye jate hen. Trend confirmation agar indicator se ki jani ho to uss par value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se highest point ya dono candles k resistance level / top point se two pips above pe set hoga.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим