Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Harami Candlestick Pattern
Bullish harami candlestick pattern jab bhi aik bearish trend ya low prices area main two days candles se mel kar banta hai, to ye aik bullish trend reversal ka kaam karta hai. Ye pattern risk reward ratio main sab se best pattern hai. Pattern ki dono candles main dosri candle pehli candle se shape main ya length main lazmi small hoti hai, jiss main pehli candle ka open aur close price dosri candle k open aur close price se ziada hota hai. Traders iss pattern ko buyers ki pressure k tawar par dekhte hen, jiss se prices mazeed bullish ja sakti hai. Ye chart pattern bearish trend k ikhtetam aur sellers se buyers main market k control k mutaqeli ka ishara deta hai.
Candles Formation
Bullish harami candlestick pattern prices k bottom par banne ki waja se aik strong bullish trend ki indication deta hai, jo k do candle ka aik simple sa pattern hai. Pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish harami candlestick pattern ki pehli candle aik strong real body wali bearish candle hoti hai, jiss ka color bhi bearish pattern k mutabiq black ya red hota hai. Ye candle prices k bottom ya low price main bearish trend ka mazeed izzafe ki koshash hoti hai.
2. Second Candle: Bullish harami candlestick pattern main shamil dosri candle aik small real body wali hoti hai, jiss ka open aur close same point par nahi hona chaheye. Ye candle aik bullish trend wali banti hai, jiss ka color white ya green hota hai. Ye candle pehli candle k andar banti hai.
Explaination
Bullish harami pattern aik strong bullish trend reversal pattern hai jo k bearish trend main banta hai, jo semat ki tabdeeli ki nishan-dahi karta hai. Ye pattern do candles par mushtamil hai, jiss main dosri candle pehli candle k real body main open aur close hoti hai. Ye pattern wese bagher confirmation bhi aik strong bullish signal deta hai, k ab bullish trend reversal hone wala hai. Pattern ki dosri candle pehle candle se size main small hoti hai, jiss se market ka maojoda trend kamzor par jata hai. Sellers ki market main dilchaspi kam ho jati hai jis se market buyers k control main chala jata hai. Ye pattern wese support zone k qareeb ziada banta hai, jiss se prices resistance levels ki taraf harkat karna shoro karti hai.
Trading
Bullish harami candlestick pattern price chart k bottom par banne se aik strong message melta hai, k ab market mazeed nechay jane muatahamel nahi ho sakta hai. Iss waja se ye pattern jab bhi bearish trend ya low price main banta hai, to ye bullish trend reversal ka aik strong signal deta hai. Yahan par market main buyers active hone ki koshash karte hen. Trading k leye bullish trend ki continuation aur bullish trend reversal dono main prices bohut teezi k sath bullish jati hai. Pattern main trade open karne se pehle trend confirmation ka indicator se zaror karen, q k aksar ziada peak value par market main entry bare loss ka bhi sabab bantti hai. Pattern ki trend confirmation price action yanni aik aur bullish candle se bhi ho sakti hai. Stop Loss ko pehli candle k lower point ye candle k close price k lower price se two pips below par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим