Matching Low Candlestick Pattern
Matching high qeematon me k upper stah par banne wala aik do white candles se mel kar banne wala bearish trend reversal pattern hai. Pattern me dono white ya green candles same resistance level ko upper satah par touch karti hai, aur wapis lower side par rebound ho jati hai jo bearish trend reversal ka sabab banti hai. Pattern k down side par candles ki low price ka same hona zarori nahi ah, lekin dono candles ka top same hona chaheye.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Matching high candlestick pattern qeematon k top area main hone ki waja aik bearish trend reversal ka pattern hai.
- Pattern do candles par mushtamil hota hai, jis me dono candles white colour ki hoti hai.*
- Pattern ki 1st and 2nd candles ki top ya high price same hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Matching high candlestick k leye zarori hai, k prices chart k top ya bullish trend main hona chaheye. Jab k pattern do candles ka aik bearish trend reversal pattern hai, jis ki 1st candle aik white candle hoti hai, jo bullish trend zahir karti hai, jab k 2nd candle bhi same white candle hoti hai, jo trend reversal ka sabab banti hai. Pattern ki dono candles ka top same point par hota hai, jab k candle ka lower side par length ka hona koi khas limit ka hona zarori nahi hai.
Pattern par Trading ka Amal
Matching high candlestick chart pattern par trading k leye zarori hai, k qeematen market ki maojoda soratehal me top level par trade kar rahi hai. Ye pattern wese bhi aik strong resistance level muhaya karti hai, jis par sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade entry proper risk management k hisab se honi chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим