Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish Counterattack Line Candlestick Pattern
Bullish counterattack line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bullish trend reversal pattern hai, jo k lower trend k baad banta hai. Pattern aik bearish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bullish candle pechli bearish candle k nechay gap main open ho kar, aur real body banane k baad pehli bearish candle k real body k bottom par same closing price par close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same point par ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bulls market k control ko hasil karne main kamyab hote hen, jiss se prices reversal ya bullish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi koi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern on-neck pattern ban sakta hai.
Candles Formation
Bullish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle k bullish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new trend bullish ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bullish counterattack line candlestick pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
2. Second Candle: Bullish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body k qareeb ya same pehli candle k closing price par hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ko khatam karti hai, aur prices k bullish trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Bullish counterattack line pattern ko bullish trend reversal patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal neechay ki janib harkat karte howe prices main banta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bulls market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se nechay gap main open ho kar bullish real body banane k baad pehli candle k same lower price ya close price par close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bears market main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bulls market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
Trading
Bullish counterattack line candlestick pattern prices main bulls ki kamyab koshash ko zahir karti hai, jiss se prices bullish trend reversal ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k same point par honi chaheye, q k bullish candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bullish honi chaheye aur dosri bullish candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad bearish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open price se two pips below set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим