trade wit morning star candle stick pattern
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    trade wit morning star candle stick pattern
    what is morning star candle stick pattern;



    morning star candle stick pattern mein teen kesam ke candle hote hein jo keh bullish reversal candle stick pattern ko indicate karte hein jo keh down trend kay nechay say zahair hota hey or yeh pattern down trend ke raftar mein kame ko zahair karta hey es say pehlay keh aik bare bullish candle new trend bullish trend mein ezafay ke wajah ban jay
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_morningstarheadline.png
Views:	15
Size:	4.8 کلوبائٹ
ID:	12528321



    morning star doji candle stick pattern



    trader zyada tar market mein adam faislay kay asar ko talash karta hey or jahan par seller pressure kam ho jata hey or market kuch humwar ho jate hey yeh wh jagah hote hey jahan par dji candle ka analysis kea ja sakta hey kunkeh market aik he level par open ya close ho sakte hey or yeh forex market mein aik he leve kay bohut kareeb ho sakte hey yeh adam faisla bullish market kay chalnay ke rah ko humwar karta hey kun keh bulls yahan par daikhnay mein atay hein or mazeed selling ko roknay ke koshesh kartay hein Doji kay bad bullish candle stick ka indicate hona es kay bullish pattern ke confirmation hota hey
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_MorningstardojiEURGBP.png
Views:	31
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12528322



    trade with morning star candle stick pattern;



    morning star candle stick ka analysis EUR/GBP chart mein kea ja sakta hey jahan par reversal pattern ke tashkeel aik down trend mein kame ko indicate karte hey chart ko daikhtay hovay formation mokamal honay kay bad trader agle candle stick ke formation mokamal honay kay bad daikh saktay hein zyada kadamat passand trader apni entry mein takhair kartay hein or market mein yeh daikhnay kay ley entazar kartay hein keh aya keh price action zyada hote hey tahum yeh method wrong ho sakta hey khas tor par bullish chalte market mein entry wrong ho sakte hey
    target ko resistance ke pechle level ya pechlay parta par rakha ja sakta hey stops ko recently swing low say nechay rakha ja sakta hey kun keh market mein es level ka gap reversal ko fake kar day ga or trader ko hamesha positive risk o reward ratio ko barkarar rakhna chihay
    Click image for larger version

Name:	morning-star-candlestick_body_TradingthemorningstarEURGBP.png
Views:	15
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12528323
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: trade wit morning star candle stick pattern

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Morning Star Candlestick Pattern


    Morning star candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jis main three candlesticks ka aisa aik pattern banta hai k us me pehli candle falling price, second candle stick holding price aur third ( ya last) wali candle rising price k ban jati hai. Morning star candlestick pattern evening star candlestick pattern ka inverse hai, jo k us k opposite side pe banta hai. Ye pattern low prices ya bottom trend main banne par assets ki demand value main izzafay ka ishara deta hai, jiss se prices k barhne k asarat zahir hote hen. Pattern ki pehli candle bearish hoti hai, jiss k baad aik small real body ki candle banti hai, jab k last par aik bullish candle hoti hai, jo k prices k trend k opposite direction main move karwati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (397).png
Views:	7
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12401166

    Candles Formation


    Morning star candlestick pattern prices k bottom par teen mukhtalif qisam k candles se mel kar banta hai, jo k prices k trend reversal ka kaam karta hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jiss k baad aik small real body wali candle banti hai, jab k last par par aik bullish candle hoti hai. Pattern ki ye tarteeb prices k low trend ko high trend main tabdeel karne ka zarya banti hai. Pattern main shamil candles ki formation darjazel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220615_162218.png
Views:	1
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12401167

    1. First Candle: Morning star candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main black ya rea hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.


    2. Second Candle: Morning star candlestick pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jiss ka koi color bullish ya bearish dono sakta hai. Ye candle prices ko waqti tawar par mazeed nechay jane se rok leti hai. Ye candle pehli bearish candle se below gap main banti hai. Jo k bearish aur bullish dono hososeyat rakhti hai, lekin yahan par iss ko bullish trend reversal ki waja se bullish candle hi tasawar ki jati hai.

    3. Third Candle: Morning star candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bullish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bullish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye small candle se ooper side par gap main banna chaheye.

    Explanation

    Morning star candlestick pattern teens candles par mushtamil aik bullish trend reversal hai, jiss mai shamil pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ki maojoda trend ya falling prices ko dekhati hai. Pattern ki dosri candle aik small real body wali candle hoti hai, jo k umoman aik Spinning top candle hoti hai. Ye candle prices k bearish trend main rukawat banti hai, jiss se prices mazeed downward jane se ruk jati hai. Pattern ki last candle aik bullish candle hoti hai, jo k market main current ya sabeqa bearish trend k khateme aur yahan se prices ka rising time shoro ho jata hai. Dekhne main ye pattern aik bullish abandoned baby candlestick pattern jaisa dekhaye deta hai, lekin iss pattern main bullish aur bearish candles k Spinning top candle se kisi aik side par wazih aur clear gap hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (273).jpeg
Views:	15
Size:	22.3 کلوبائٹ
ID:	12401168

    Trading

    Morning star candlestick pattern chokeh prices k current trend k khatemay aik ishara hota hai, iss waja se market par yahan buy ki entry se trades entre keye ja sakte hen. Pattern par trading se pehle aik confirmation bullish candle ka hona zarori hai, jo k real body hone k sath teesri candle k upper par bhi close honi chaheye. Lekin ye pattern uss waqat invalid ho jayega, jab confirmation candle bearish ban jati hai. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se low position ya Spinning top candle k low price se two pips below par set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (274).jpeg
Views:	78
Size:	20.0 کلوبائٹ
ID:	12401165

    اب آن لائن

    Working...
    X