Falling Three Methods Pattern Kia Hai?
Falling three methods bearish trend main banta hai, jo k same bearish trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik long real body wali bearish candle hoti, jo k prices k bottom par ban kar market ki strong downtrend ka ishara hota hai, jiss k baad small real body wali teen small bullish aur bearish mixup candles hoti hai, small candles bullish hone par dekhne main same three white soldier pattern jaise dekhte hen, lekin ziada strong real body na hone ki waja se ye candles pehli bearish candle ki real body main banti hai. Pattern ki last ya panchwen candle aik long real body wali bearish candle hoti hai, jo k teeno candles k top par ban kar bottom par close hoti hai.
Falling three methods aik strong bearish trend continuation ka ishara deta hai, jiss par pattern ki pehli aur akhari candles bearish jab k centre wali teen candles bullish aur bearish mixup hoti hai. Falling three methods ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle prices k bearish trend ko show karti hai, q k ye black ya red color main banti hai. Ye aik strong candle hoti hai, jiss k long real body hoti hai. Falling three methods ki dosri candle aik small real body wali bullish candle hoti hai, jo k real body main white ya green candle hoti hai. Ye candle pehli bearish candle k lower ya closing point par to open hoti hai, lekin small real body hone ki waja se close ussi ki real body main hoti hai. Falling three methods ki teesri candle bhi same dosri candle ki tarah hoti hai. Ye candle dosri candle k top par banti hai, lekin iss candle ki bhi small real body hone ki waja se pehli candle ki real body main open aur close hoti hai. Ye candle bhi bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai. Falling three methods ki fourth candle bhi same dosri candle ki tarah aik bullish candle hoti hai, jo k dosri aur teesri candles ki tarah same small real body main hoti hai aur ussi tarah se pehli bearish candle k open prices se above nahi jati hai. Ye candle bhi white ya green real body main banti hai, jo k tessri candle k top par banti hai. Falling three methods ki last ya panchwen candle aik bearish long real body wali bearish candle hoti hai, jo k small bullish candles k top par open ho kar bottom par close hoti hai. Ye candle pehki candle k taqreeban parallel par banti hai, jo k prices ko sabeqa bearish trend continuation ka sabab banti hai.
Falling Three Methods Pattern Kaam Kese Karta Hai?
Falling three methods market k ya prices k midpoint ya bottom par trend continuation karta hai. Ye pattern dekhen main bearish threen line strike ya falling three method se melta julta hai, lekin candles ki formation ki waja se un se thora sa mukhtalif dekhaye deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss main shamil pehli aur last candles aik long real body wali bearish candles hoti hai, jo k bearish trend ki alamat hoti hai, jab k centre main small real body wali teen bullish ya bearish mixup candles hoti hai, jo k pehli aur panchwen candles ki real body main banti hai, yanni inn candles k darmeyan main open aur close hoti hai. Ye pattern newly bearish breakout trend main ziada positive result deta hai.
Falling Three Methods Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Prices chart par continuation pattern ki sab se bari hasseyat ye hai, k iss ki reliability trend reversal pattern ki nisbat ziada hai, jiss ki waja se iss ki successful ratio bhi ziada hota hai. Falling three methods aik trend continuation pattern honi ki waja se bearish prices main ban kar same trend ko downtrend main continue karwata hai. Ye pattern aik strong positive signal deta hai, agar prices k sath technical indicators bhi 50 level se below zone main trade kar raha ho to. Pattern par trading se pehle aik confirmation bearish candle ka hona zarori hai, jo k traders k leye sell k signals genrate karega. Stop loss pattern k sab se top position jo k umoman first aur last candle ka open price banega par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим