Tasuki Gap Up Candlestick Pattern
Tasuki gap up pattern aik bullish trend ya high prices main banne par same bullish trend ko jari rakhta hai, jiss se prices aik waqfay k baad upward move karna jari rakhte hen. Tasuki gap up candlestick pattern ka taluq gap pattern se hai, jiss main pehli do candles k darmeyan aik wazih gap banta hai, ye gap prices ko upward side par push karne ka sabab banti hai. Pattern ki third candle sellers ki market main presence dekhati hai, lekin ye candle ziada moasar karkardagi nahi dekhati hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Upside Tasuki gap candlestick pattern ziada tar bullish trend ya qeematon k darmeyan me banta hai q k ye aik trend continuation pattern hai.
- Pattern me shamil 1st candle bullish ya white hpti hai.
- Pattern ki 2nd candle bhi bullish candle hoti hai, jo k 1st candle se above gap me open aur close hoti hai.
- Pattern me shamil 3rd candle aik bearish candle hoti hai, jo k same 2nd candle k parallel me banti hai.
- Pattern ki 2nd aur 3rd candle 1st candle se above gap me open aur close hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Tasuki gap up candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bullish trend continuation pattern hai, jiss jo k top area main banne par assets k prices ko mazzeed bullish same trend main upward push karta hai. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main 1st candle aik white candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bullish trend ki akasi karti hai. Pattern ki 2nd candle bhi same white candle hoti hai, lekin ziada buying pressure ki waja se ye candle 1st candle k top par gap main banti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hota hai, jo prices k uptrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Pattern ki last ya 3rd candle aik black candle hoti hai, jo k prices ko bearish trend reversal ki nakam koshash karti hai.
Pattern par Trading ka Amal
Tasuki gap up pattern me jab bhi pattern ki 3rd black candle gap main ya uss se pehle close ho jati hai, jiss se prices ka bearish trend reversal hona nakam ho jata hai. Pattern par trading se pehle teesri candle k gap main close hona zarori hai, jab k aik 4th white candle confirmation candle ka hona zarori hai, jo 3rd candle k top par close honi chaheye. Pattern k baad black candle banne se market main entry nahi karni chaheye, jab k indicators par value lazmi midpoint se above honi chaheye.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим