Bullish Bullish Meeting Line Pattern Kia Hai?
Price chart par jab prices sellers k bohut ziada pressure ki waja se bearish jati hai, to wahan par aksar iss ko reversal honne k imkanat hote hen, jiss main aksar kuch aise pattern hote hen, jo prices ko teezi k sath bullish push karti hen jaise, bullish meeting line line pattern karta hai. Bullish meeting line candlestick pattern prices k bottom par ya bearish trend main banta hai, jo k do candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jiss k baad aik bullish candle hoti hai, jo k pehli candle close point se gap main open hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k nechay gap main open ho kar ussi k close par close hoti hai. Pattern ki dosri candle prices ko aik to mazeed bearish jane se rokti hai aur dosra ye candle aik bullish hone ki waja se trend reversal ka kaam karti hai. Bullish meeting line candlestick pattern prices k bottom par do mukhtalif candles ka aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ki pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai. Bullish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo prices k bottom par ya bearish trend ki continuation ka kaam karti hai, q k ye aik real body wali candle hoti hai. Ye candle black ya red color ki candle hoti hai. Bullish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik real body wali bullish candle hoti hai. Ye candle open pehli candle k bottom par gap main hoti hai, jab k close pehli candle k close price k line main hoti hai. Bullish candle green ya white color main hoti hai, jo k prices ko mazeed bearish bhi jane se rokti hai aur trend reversal ka sabab bhi banti hai.
Bullish Bullish Meeting Line Pattern Kaam Kese Karta Hai?
Bullish meeting line candlestick pattern aik bullish trend reversal pattern hai, jo k do candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k bottom ya bearish trend main banne ki waja se prices ko mazeed nechay jane se rokti hai. Ye pattern dekhne main "Bullish Belt-Hold Line Candlestick Pattern" ki tarah hota hai, lekin dosri candle ki real body k lower side par bhi wick ya shadow bhi nahi banti hai aur na hi prices pehli candle k close point se above jati hai. Bullish meeting line pattern ki dosri candle aik bari real body wali bullish candle hoti hai, jiss k close price pehli candle k close price se ooper close nahi hona chaheye. Bullish meeting line pattern ki dosri candle strong banne ki waja se prices reverse hoti hai, aur bullish trend reversal ka sabab banti hai.
Bullish Meeting Line Pattern Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Bullish meeting line candlestick pattern trend reversal ka pattern hai, jiss se market main buy ki entry karte hen. Pattern k bottom par buyers ziada active ho jate hen. Trend reversal pattern par trading trend continuation patterns ki nisbat ziada riski hoti hai, iss waja se pattern par trading se pehle market main aik bullish ya white candle ka hona zarori hai. Jiss ki real body honi chaheye, jiss main open aur close same point par na ho. Agar pattern k baad bearish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par entry nahi karni chaheye. Stop loss pattern k sab se bottom position ya dosri candle k open point se two pips below select karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим