information about Price Action Strategy:
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    information about Price Action Strategy:
    Asslam O Alikum;


    dear forex members!
    umeed karta hn k aap sb thk thaak hn gy or pak forex forum se knowledge gain kar rhy hn gy.
    dear members aj ki post main hum price action ko study karen gy or dekhen gy ye kia hota ha or es se trading main kesy help milti ha.


    WHAT is Price Action?

    Dear members price action ka lafzi mtlb ha k qeemton ka utar chrhao. Or forex market main ye hamen chart ki shakal main dkhaya jata ha. Candle stick charts main price action aik candle ki shakal main hamen dkhaya jata ha.
    price action basically technical analysis ki base ha q k stf price action ko use kr k market ko analyse karna or es main koe technical indicator use na krna pure price action khlata ha or tqrbn mostly traders es py rely karty hain.
    Price action k differen components hain jo k nechy bayan kiye gaye hain.

    Support & resistance
    Trend line
    Demand & supply zone
    Channels and patterns

    Dear members in sb components ko nechy tafseel se bayan kia gaya ha.


    Support & Resistance:

    Dear members support forex market main use area ya price ko khty hain jo k market ko nechy girny se rokta ha or support karta ha.
    agr ye area aik se zada prices py mushtamil ho to esy support zone kaha jata ha.
    support zone market main qeemton ko mazeed nechy girny se rokta ha or yahan se qeemten barhny ki expectations hoti hain.


    Click image for larger version

Name:	783F714C-5A93-424B-B403-249F88DF96BC.png
Views:	31
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12527905


    support se rejection k bad hum buy ki trade lety hain or es main hmara stop loss support ya us se nechy hota ha.


    jb k resistance wo area ya price hoti ha jo k market main qeemton ko mazeed barhny se rokti ha.
    jb bhi qeemten ksi resistance se takrati hain to reject ho k wapis nechy aa jati hain.
    agr resistance aik se zada prices py mushtamil ho to esy resistance zone kaha jata ha.






    resistance se rejection k bad hum market main sell ki trade lyty hain or es main hmara stop loss resistance ya us se opr ki price hoti ha.

    Trendline:

    Dear members jb market ksi trend main opr ya nechy move karti ha to market seedha opr ya seedha nechy ni jati bl k market rally ki shakal main opr jati ha or ohr nechy thori retracement le k base bnati ha or phr opr jati ha.
    estraha uptrend main market higher highs or higher lows bnati ha agr lows ko lows se mlaya jay to aik rising trend line banti ha jesa k nechy picture main dekha jaa skta ha.
    Click image for larger version

Name:	F7720F25-548E-4E32-AF0D-25FC2BD4EC58.jpeg
Views:	1
Size:	32.1 کلوبائٹ
ID:	12527907




    Or jb market apni trendline ko touch karti ha to hum yahan se buy karty hain or hmara stop loss trendline k nechy hota ha estrha jb tk market apna trend continue rkhti ha to market trend line ko follow karti ha or jb trendline ka breakout ho to trend reverse ho jata ha or hum sell ki trade lyty hain.


    Demand & Supply Zone:

    dear memebrs demand wo area hota ha jahan py bhht sary buyers market ka wait kar rhy hoty hain or jb market wahan phnchti hai to wahan se buy orders lgty hain jski waja se market aik dm shoot kar jati ha.
    es area ko order block b kaha jata ha.



    Click image for larger version

Name:	6C37CF9F-7247-4F03-901E-B81DE739D102.png
Views:	13
Size:	80.9 کلوبائٹ
ID:	12527908
    demand zone se hum buy ki tradr lety hain or hmara stop loss demand zone ya us se nechy hota ha.jb k supply zone wo price ya area hota ha jahan py bht se supplier wait kar rhy hoty hain or jesy hi market wahan phnchti ha to bhht se sell k orders lgty hain jski waja se qeemten aik dm kafi nechy chli jaati hain.
    es area ko order block bhi kaha jata ha.
    Yahan se hum rejection ki confirmation k bad sell ki trade lyty hain or hmara stop loss supply zone ya us se opr hota ha.
    منسلک شدہ فائلیں
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: information about Price Action Strategy:

    information about Price Action Strategy:

    Forex market main hum trading karty hain to hamy priceaction ko watch kar ky kam karna chaey pher he hum earning gain kar saky gy forex aik best or kabe be band na hony wala acha business hain hum isy apan professional career be bana sakty hain hum is mai posts kar sakty hain hum is mai trade be laga sakty hain hamy is mai analysis ko sihk kar istaml kar ky kam karna chaye pher he hum earning gain kar saky gy forex mai hamy enter price ko or priceaction ko trading ky diran mostly watch karna chaey pher he hum earning gain kar saky gy hum is mai bager balance account bana kar be kaam kar sakty hain hum forum mai posts kar sakty hain hum trade be laga sakty hain hamy market mai care full ho kar kam karna chaye pher he hum pasia kama saky gy hum is mai apne marze sy time table bana kar kam kar sakty hain hum is mai agar bager learning ky kam karty hain to harma loss hain hamy loss sy learning gain kar ky market mai work karna chaey forex paksitan mai legal ban cuak hain forex mai hum agar greedy ban ky kam karty hain to harma apna he nuqsna hain hamy nuqnsa ky bad saber karna ho ga forex market mai saber karny wala banda he aik na aik dn zaror kamayebe hasial ho jy ge forex mai hamy stop loss ko or take profit ko use kar ky fundamental analysis ko learn kar ky use kar ky market mai work karna chae pher he hum kam akr ky pasia kama saky gy.



    information about Price Action Strategy:

    Forex Trading me
    priceaction market ki wo movement hoti hai jis me kisi stocks, commodities ya currency pairs ki price up down hoti rehti hai mukhtalif time k lehaz se. Forex trading me priceaction mukhtalif analysis se traders ya investors technical analysis ka istemal karte hen aur is k zarye se wo forex trading me profit hasil karte hen. Forex trading me priceaction mukhtalif time k lehaz se mukhtalif hota hai. Priceaction ki movement aik khas techniques k lehaz se hota hai. Is waja se trading me traders aur investors technical analysis ka istemal karte hen.

    Click image for larger version

Name:	2.png
Views:	5
Size:	7.3 کلوبائٹ
ID:	12391876

    information about Price Action Strategy:

    Price
    action me traders short term aur long term trading ka istemal karte hen. Jo traders short term trading ya day trading karte hen wo priceaction se kuch pip ki movement se hi profit hasil karte hen. Aur day traders small small benifits hi hasil karte hen, q k aik pair, stocks ya commodities aik din me bohut hi kam pips ki movement karti hai, jalb k long terms traders priceaction ki long term k leye intezar karte hen aur is se wo ziada profit bhi hasil karte hen lekin is k leye un ko ziada time ka wait karna parta hai. Is waja se forex trading me priceaction short term traders aur long term traders k leye mukhtalif hota hai.

    Click image for larger version

Name:	3.png
Views:	2
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12391877

    information about Price Action Strategy:

    priceaction men ap ko pairs ke price ka analysis karna hota ha us ka top low ur top high price necked chart par analysis karna priceaction kehlata ha is sa next support level or resistance level ka pta kyia jata ha is ka mutaliq he strategy banai jati ha basically priceaction market ki movement ko samjhne ke liye hota ha. Agar ap market ke analysis karke trade karen ge to ap achi Trading kar saken ge Forex men kaam karne ke liye zarori hay k achi learning aur knowledge gain kia jaye ap agar mehnat se kaam karte hen aur forex ko samajh Kar kaam karte hen to ap jaldi kamyab ho sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	4.jpg
Views:	2
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12391878
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: information about Price Action Strategy:

      WHAT IS PRICE ACTION TRADING STRATEGY :






      Price action security ki qeemat ki naqal o harkat ki khususiyaat ko bayan karta hai. Is tehreek ka aksar maazi qareeb mein qeematon mein honay wali tabdeelion ke hawalay se tajzia kya jata hai. Saada alfaaz mein, price action aik tijarti taknik hai jo aik tajir ko market ko parhnay aur qeematon ki haliya aur haqeeqi naqal o harkat ki bunyaad par trading faislay karne ki ijazat deti hai, bajaye is ke ke mukammal tor par takneeki isharay par inhisaar karen.






      IMPORTANT POINTS FOR PRICE ACTION TRADING STRATEGY :



      1:

      Bohat se din ke tajir price action trading ki hikmat amlyon par tawajah markooz karte hain taakay mukhtasir waqt mein taizi se munafe haasil kya ja sakay.

      2:


      Misaal ke tor par, woh session ke aala se aik saada break out talaash kar satke hain, aik lambi position mein daakhil ho satke hain, aur munafe kamanay ke liye paisay ke intizam ki sakht hikmat amlyon ka istemaal kar satke hain. 3:

      3:

      Kayi tools aur soft wear plate forms ko price action trade karne ke liye istemaal kya ja sakta hai.






      WHAT DOES PRINCE ACTION MEANS :





      Qeemat ki karwai se morad is patteren ya kirdaar se hota hai ke security ya asasa ki qeemat aksar mukhtasir muddat mein kaisay bartao karti hai. Qeemat ki karwai ka tajzia is waqt kya ja sakta hai jab usay waqt ke sath grafk tareeqay se plot kya jata hai, aksar line chart ya candle stuck chart ki shakal mein.





      WHAT DOES PRICE ACTION TELL YOU :





      Takneeki tajzia car patteren ya isharay talaash karne ke liye chart par qeematon ki karwai par ghhor karte hain jo is baat ka andaza laganay mein madad kar satke hain ke mustaqbil mein security kaisa bartao kere ga aur tijarat ke waqt ke dakhlay aur kharji maqamat tak. Takneeki tools jaisay moving average aur qeemat ki karwai se akhaz kiye gaye hain aur mustaqbil mein taajiron ko mutala karne ke liye paish kiye gaye hain.





      LIMITATIONS OF USING PRICE ACTION TRADING STRATEGY :





      Qeemat ka amal aksar hota hai aur tajir aik hi chart ya qeemat ki tareekh ko kuch mukhtalif tareeqay se tashreeh kar satke hain, jis se mukhtalif faislay hotay hain. Aik aur had yeh hai ke maazi ki qeemat ki karwai hamesha mustaqbil ke nataij ki durust paish go nahi hoti. Nateejay ke tor par, takneeki taajiron ko isharay ki tasdeeq ke liye bohat se tools istemaal karne chahiye aur agar un ki pishin goyyan ghalat saabit hoti hain to tijarat se jald niklny ke liye tayyar rahen.

      اب آن لائن

      Working...
      X