Long‐Legged Doji Candle
Long-legged doji candle market me us waqat banti hai, jab candle ka open aur close aik hi position ho, aur up-down pe aik bara saya ho. Candle ka open aur close bulkul darmeyan (center) me hona chaheye, albata uper aur nechay bara saya ho. Is k lambe (long) saye (shadow) ki waja se is ko "high wave doji" bhi kaha jata hai. Dosre doji candles ki tarah Long-legged ko bhi market reversal ya trend continuation k tawar par samjha jata hai. Agar ye candle kisi bullish trend ya ziada qeemat wale area me banti hai to is ko trend reversal ya bearish trend k tawar par pesh kia jata hai. Lekin agar ye kam qeemat ye mandi wale area me ban jaye to is ko bullish trend ya bearish trend k khateme k tawar par shumar kia jata hai. Sideways market me is ka koi rule nahi hota hai, yahan pe ye neutral consider ki jati hai.
Long-legged Candle at the Top
Ziada tar Long-legged candle bearish trend ka signal deti hai agar is ko ziada qeemat wale area me ya bullish trend k bad dekha jaye. Ye aik bearish candle tasawar hongi q lambi up-down shadow ki waja se is ne market ki tez volitilety ko mustarad kia hai. Agar bullish trend k bad paye jaye to ye up-trend k khatme ki nishan-dahi karti hai. Agar candle k open aur close aik position pe nahi hai, lekin aik dosre k qareeb hai to bhi is ko Long-legged high-wave doji kaha jayega.
Long-legged Candle at Top pe Trading
Long-legged at top trader k leye aik mazbot bearish trend ka signal de sakti hai, agar candle three (Long-legged k bad banne wali candle) agar candle 2 (Long-legged candle) k bad band (close) ho jaye to ye market me sell ka signal hoga. Candle 4 as a confirmation candle kaam karega lekin us k bagher bhi bearish signal ka sequence pora ho jata hai.
Long-legged Candle at the Bottom
Agar same Long-legged doji candle market k bearish trend ya kam qeemat wale area me ban jaye to ye market ki trend reversal ya bullish trend ka ishara de rahi hogi. Long-legged kam qeemat area me banne k bad market pe bearish dabao khatam ho jata hai aur qeematen bullish jane ki koshash karti hai.
Long-legged Candle at the Bottom pe Trading
Long-legged doji at bottom ka reaction Long-legged top k bulkul opposed hoga. Is me qeematen mazeed nechay se ruk jati hai. Market me traders k leye ye aik strong bullish signal hoga, agar long-legged k bad banne wali candle bullish ho aur wo long-legged k top pe band (close) ho jaye. Confirmation signal ki zarorat nahi hai lekin agar 4th candle ka wait kia jaye to bhi thek hai. Stop loss k leye long-legged ka bottom perfect position hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим