Assalamu Alaikum Dosto!
Bullish ln-Neck Line Candlestick Pattern
Bullish in-neck line candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. High price area main ye zarori nahi hai, k har dafa yahan se bearish trend reversal hi hoga, issi position par bullish in-neck line pattern ban kar prices ko same bullish trend main continue karwa deti hai.
Candles Formation
Bullish in-neck line candlestick pattern prices k uptrend ya higher par high demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.
2. Second Candle: Bullish in-neck line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, jab k close ussi candle k same close price par hoti hai. Pattern ki bearish candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai, jiss ka close price lazmi pehli candle k close price k in-line hona chaheye.
Explanation
Bullish in-neck line candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper ki janib push karti hai. Ye pattern prices k bullish trend k dowran aik waqfa peda karti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya up trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko ooper jane se rokh ki koshash karti hai, jo high demand ki waja se nakam ho jati hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se top par gap main hota hai, jab k close pehli candle k same close par hota hai.
Trading
Bullish in-neck line candlestick pattern prices k top main continuation pattern ka hone ki waja se aik bullish trend signal genrate karta hai, jiss par market main buy ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bullish candle honi chaheye, aur dosri candle k top par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value darmeyan se upper zone main honi chaheye. Pattern k baad bearish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se lower ya pehli candle k open price se two pips below par set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим