Forex trading me Long Lower Shadow Candlestick Pattern par trading ka tareeqay kar
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading me Long Lower Shadow Candlestick Pattern par trading ka tareeqay kar
    Long Lower Shadow Candlestick


    Long lower shadow candle forex trading main aik single candle pattern hai, jo k qeematon k lower zone me support level par paye jati hai. Ye candle aik bullish trend reversal k leye istemal hoti hai, jo k single candle pattern par mushtamil hota hai. Candle ki aik small real body hoti hai, jiss me qeematon ka open aur close aik dosre k bohut ziada qareeb hote hen. Candle k lower ki taraf aik bari wick ya saya banta hai, jo k real body ka taqreeban dugna ya us se ziada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (48).jpeg
Views:	1
Size:	18.3 کلوبائٹ
ID:	12527745

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Long lower shadow candle aik single candle pattern hai, jo k low qeematon wale zone ya bearish trend me banti hai.
    2. Candle k upper side par aik small real body hoti hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb hote hen.
    3. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
    4. Candle ka shadow ya saya candle ki real body ka taqreeban dugna ya us se zyada ho sakta hai.
    5. Candle white aur black dono pattern me ho sakti hai, lekin sab se zarori point is ka bottom prices par banna hai.


    Click image for larger version

Name:	images (58).png
Views:	1
Size:	665 بائٹ
ID:	12527746

    Pattern ki Tafseel


    Long lower shadow candle bullish trend me qeematon ko badalne k leye istemal hone wali aik single candle pattern hai, jis me qeematen confirmation ka baad upper rising karna shoro karti hai. Ye candle prices k top me banni wali shooting star candle se melti julti hai, lekin qeematon k bottom par hone ki waja se ye candle mukhtalif ban jati hai. Candle me qeematen aik small real body banati hai, jis me open aur close aik dosre k qareeb banta hai, jab k candle k lower aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se size me ziada hota hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220507_001804.png
Views:	1
Size:	908 بائٹ
ID:	12527747


    Pattern par Trading ka Amal


    Long lower shadow candle trading k leye tab aik achah signal deti hai, jab bhi qeematen low area ya bearish trend me ho. Candle k baad aik white candle ka banna zarori hai, jis par buy ki trade enter ho sakte hen, jab k black candle Long lower shadow candle ki asarat ko khatam karti hai. Ye candle next white candle par market me entry jab k real body k bottom par stop loss ki position hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (49).jpeg
Views:	8
Size:	57.0 کلوبائٹ
ID:	12527744
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading me Long Lower Shadow Candlestick Pattern par trading ka tareeqay ka

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Long Lower Shadow Candlestick


    Long lower shadow candle kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k lower shadow aik ishara hai, keh sellers ne prices ko nechay le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, long lower shadow candle ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Long lower shadow candle ka nechla saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (21).jpeg
Views:	3
Size:	15.2 کلوبائٹ
ID:	12391700

    Candles Formation


    Long lower shadow candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220507_002233.jpg
Views:	1
Size:	29.4 کلوبائٹ
ID:	12391701

    Long Lower Shadow Candle: Long lower shadow candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Explanation

    Long lower shadow candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k lower side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hoti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle downward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k lower side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220507_002403.jpg
Views:	1
Size:	19.5 کلوبائٹ
ID:	12391702

    CENTER] Trading [/CENTER]

    Long lower shadow trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka long lower shadow candle k upper par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k low price jo k trend k leye support zone banta hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220507_002200.jpg
Views:	1
Size:	65.6 کلوبائٹ
ID:	12391699
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex trading me Long Lower Shadow Candlestick Pattern par trading ka tareeqay ka

      Long Lower Shadow Candlestick Kia Hai?

      Price chart pattern par baaz awqat single candles bhi dosre candlestick charts pattern ki tarah k asarat rakhte hen, jab bhi ye candles prices k top ya bottom par bante hen. Long lower shadow candle bhi aik single candle pattern hai, jo k prices k top ya bottom main banti hai, jiss se market main tabdeeli waqea ho sakti hai. Lekin jab ye candle top ya bullish trend main banti hai, to ye bearish trend reversal ka kaam karti hai. Long lower shadow candle k aik small real body hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow banti hai. Ye shadow candle ki real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Long lower shadow candle ki real body k upper side par koi wick ya shadow nahi banta hai, yanni candle ki real body ka upside aik "Bozu" candle hoti hai, lekin agar aik small wick ban bhi jaye to bhi acceptable hai, lekin bohut ziada lamba na ho jiss se candle ki hososeyat tabdeel ho jaye. Long lower shadow single candle honne ki waja se ye zarori nahi hai, k dosre patterns k tarah ye candle lazmi kisi aik color main ho. Long lower shadow candle bullish trend main ya high price main banti hai. Long lower shadow candle prices k top main bullish trend main banti hai, jiss k baad bearish trend reversal ho jata hai, to iss waja se ye candle kisi bhi color main ho sakti hai, lekin agar ye bearish ban jaye to ye bearish trend reversal pattern se ziada mutabeqat rakhti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (59).png
Views:	1
Size:	4.1 کلوبائٹ
ID:	12391704

      Long Lower Shadow Candlestick Kaam Kese Karta Hai?


      Long lower shadow candle jo k prices k top aur bullish trend k baad banne par brearish trend reversal pattern ka kaam karta hai, umbrella family se taluq rakhni wali aik single pattern candle hai. Ye candle aik small real body, jiss ka open aur close same nahi hona chaheye, k sath lower side par aik long shadow rakhti hai. Candle ka shadow real body ka taqreeban dugna ya uss se ziada hota hai. Candle k real body k upper side par aik small si wick to acceptable hai, lekin ziada lengthi nahi hona chaheye, jiss se candle ki hososeyat par faraq par jata ho, lekin bagher upper shadow ki ye candle ziada perfect hoti hai. Long lower shadow candle ki real body bullish aur bearish dono tarah se ho sakti hai, issi waja se candle k leye color ka hona zarori nahi hai, lekin iss ki position ziada zarori aur aham hai.

      Click image for larger version

Name:	images (51).jpeg
Views:	11
Size:	23.4 کلوبائٹ
ID:	12391705

      Long Lower Shadow Candlestick Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?



      Long lower shadow candle jo dekhne main aik T jaise lagti hai, prices k bottom ya bearish trend main banne par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Ye candle bearish trend ya bottom prices par banne wali Hammer candle ki tarah hi hoti hai, lekin prices ki position change hoti hai. Long lower shadow candle ki long upper shadow candle hoti hai, jo k same bullish trend main bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Long lower shadow candle par trade entry se pehle iss ki bullish trend ya top prices position ka hona bohut ziada zarori hai. Ye aik single pattern candle hone ki waja se trade k leye bohut riski hai, iss waja se aik bearish confirmation candle ka hona zarori hai, trader next bearish candle par market main sell ki entry kar sakte hen. Stop loss candle ki sab se upper position par ya candle ki real body k top se two pips above set karen.

      Click image for larger version

Name:	images (50).jpeg
Views:	18
Size:	36.4 کلوبائٹ
ID:	12391703

      اب آن لائن

      Working...
      X