Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Counterattack Line Candlestick Pattern
Bearish counterattack line candlestick pattern two days candles par mushtamil aik bearish trend reversal pattern hai, jo k top trend k baad banta hai. Pattern aik bullish trend main uss waqat banta hai, jab market main aik bearish candle pechli bullish candle k ooper gap main open ho kar, aur real body banane k baad pehli bullish candle k real body k top par same closing price par close ho jati hai. Pattern main shamil dono candles ka close price same point par ya aik dosre k bohut qareeb hota hai, jiss se dono candles k darmeyan koi gap nahi banta hai. Pattern k mutabiq bears market k control ko hasil karne main kamyab hote hen, jiss se prices reversal ya bearish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern k dono candles k closing price k darmeyan lazmi koi gap nahi hona chaheye, basorat degar ye pattern bullish separating line pattern ban sakta hai.
Candles Formation
Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle k bearish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new trend bearish ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern main pehli candle aik bullish candle hoti hai, ye candle price k uptrend ko show kar rahi hoti hai, jo k white ya green color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
2. Second Candle: Bearish counterattack line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai lekin close pehli candle k real body k qareeb ya same pehli candle k closing price par hoti hai. Ye candle color main black ya red hoti hai, jo k bullish trend ko khatam karti hai, aur prices k bearish trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Bearish counterattack line pattern ko bearish trend reversal patteren ke tor par istemal kia jata hai, jo market mein musalsal ooper ki janib harkat karte howe prices main banta hai. Pattern k dosre din ki candlestick prices main waqfa dekhata hai, jahan bears market mein wapasi ki koshash karte hai. Pattern ka ahem nuqta yeh hai, k pattern ki dosri candle pehli candle k close price se ooper gap main open ho kar bearish real body banane k baad pehli candle k same upper price ya close price par close hoti hai. Pattern ye zahir karne ki koshash karte hen, k bulls market main control barqarar rakhne main nakam rahe hen, jiss se bears market ka control hasil karte hen. Pattern ki dono candles mukhtalif formate main hoti hai, jiss main pehli candle bullish aur dosri bearish hoti hai. Dono candles real body main lazmi honi chaheye jab k ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai.
Trading
Bearish counterattack line candlestick pattern prices main bears ki kamyab koshash ko zahir karti hai, jiss se prices bearish trend reversal ko follow karti hai. Pattern ki dono candles k closing price k same point par honi chaheye, q k bearish candle ki ye strong wapasi prices k trend reversal ka sabab banti hai. Pattern par trading se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main bearish honi chaheye aur dosri bearish candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle k banne se ye pattern invalid ho jayega. Pattern ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone se kam honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top position ya dosri candle k open price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим