Important information about Bullish Pin Bar Candle
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about Bullish Pin Bar Candle
    Bullish Pin Bar Pattern Kia Hai?


    Bullish pin bar candlestick aik long lower tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Bullish pin bar ki aik long lower tail is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick pin bar banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Bullish pin bar candlestick pattern bullish aur bearish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada lower area main hone ki waja se ye bullish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai. Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada supply aur kam demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k downward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Bullish pin bar candlestick agar prices k bottom main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bullish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.

    Click image for larger version

Name:	images (38).jpeg
Views:	9
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12527709

    Bullish Pin Bar Kaam Kese Karta Hai?


    Bullish pin bar candlestick price chart par aksar bottom ya top prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath downward fall karne k baad wapis apne upper open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long lower shadow k sath hoti hai, jiss k upper side psr aik small real body hoti hai. Candle k upper side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki lower prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle bottom prices par banne wali hammer candle ki hi tarah lagti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (37).jpeg
Views:	6
Size:	9.3 کلوبائٹ
ID:	12527710

    Bullish Pin Bar Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Bullish pin bar candle prices k bottom main ziada bearish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bullish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad buy ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bullish real body main hona zarori hai, jab k bearish candle banne se ye candle invalid ho jati hai. Indicator aur oscillator par value oversold zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop loss pattern k sab se lower position ya candle k shadow k lower side par jo k prices k leye support level hoti hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (39).jpeg
Views:	11
Size:	66.3 کلوبائٹ
ID:	12527708
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about Bullish Pin Bar Candle

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Pin Bar Candle


    Bullish pin bar candle price chart par uss waqat banta hai, jab bhi prices aik timeframe k dowran bearish ya downward jane k baad support level ko touch karti hai, lekin candle k ikhtetam par prices wapis bullish ja kar aik small real body banati hai. Ye candle prices k bottom main bearish trend k dowran banti hai, jiss k lower side par long shadow ya saya hota hai. Jab bhi bears market ko nechay ki taraf push karte hen, lekin high demand ki waja se jab wo aisa karne main nakam rehte hen, to uss sorat main aik bullish pin bar candle create hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220506_185902.jpg
Views:	1
Size:	84.8 کلوبائٹ
ID:	12391652

    Candles Formation


    Bullish pin bar candle aik single pattern candle hai, iss waja se ye candle dono color ya pattern main ho sakti hai. Ye candle prices k bearish trend main banne par market k bullish trend reversal ka sabab banti hai. Candle ki tafseel darjazeel hai:

    Click image for larger version

Name:	images (2) (34).png
Views:	12
Size:	6.4 کلوبائٹ
ID:	12391653

    Bullish Pin Bar Candle: Bullish pin bar candle low prices ya bearish trend main banta hai, lekin bullish trend reversal honne ki waja se ye candle aik bullish candle shumar ki jati hai. Ye candle aik small real body main hoti hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai, jo k real body ka taqreeban dugna banta hai.

    Explanation

    Bullish pin bar candle price chart par high demand banne ki sorat main banti hai, jab bhi prices bearish trend ko mazeed downward side par reject karti hai. Ye candle aik muntakhib karda timeframe main pehle bearish jata hai, jo sabeqa bearish trend ki alamat hoti hai, jab k baad main assets ki demand main izzafa hone ki waja se prices wapis bullish move kar jati hai, jiss se ye candle aik small real body k sath close ho jati hai. Candle k lower side par aik lamba shadow ban jata hai. Candle ka lamba saya ya shadow prices k trend reversal ki alamat hoti hai, jo aik new bullish trend ka aghaz karti hai.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220506_185846.jpg
Views:	1
Size:	39.4 کلوبائٹ
ID:	12391654

    Trading

    Bullish pin bar candle price chart k bottom ya bearish trend main hone ki waja se aik bullish signal deti hai. Candle k baad next bullish candle ka hona zarori hai, jiss se prices k trend reversal ki confirmation ho jati hai, jab k bullish candle ka bullish pin bar candle k baad upside par bhi close hona chaheye. Trend confirmation indicator se karna ho to RSI, CCI indicators aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Lekin agar confirmation candle aik bearish candle banti hai, to market main entry nahi karni chaheye. Bullish pin bar candle par buy ka trade open hoga, jab k Stop Loss candle k sab se lower position ya support level se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (41).jpeg
Views:	4
Size:	26.4 کلوبائٹ
ID:	12391651
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Important information about Bullish Pin Bar Candle

      Bullish pin bar Candlestick Pattern


      Bullish pin bar candlestick qeematon k bottom par bullish trend main tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen upward rise karna shoro ho jati hai. Hammer candlestick price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k upper side par shadow nahi banta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (51).png
Views:	21
Size:	11.8 کلوبائٹ
ID:	12391656

      Pattern ki Pehchan k Rules

      1. Bullish pin bar candlestick aik single candle pattern hai, jo prices k bottom ya bearish trend main banti hai, jo k bullish trend reversal ka kaam karti hai.
      2. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
      3. Candle k lower side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
      4. Candle k upper side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
      5. Ye candle normal prices me neutral hoti hai.


      Click image for larger version

Name:	images (42).jpeg
Views:	42
Size:	17.5 کلوبائٹ
ID:	12391657

      Pattern ki Tafseel


      Bullish pin bar candlestick aik single candle pattern hai, jo k qeematon low area ya bearish trend main ban kar bullish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k lower side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye support level sabit hota hai. Bullish pin bar candlestick me qeematen lower side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.

      Click image for larger version

Name:	images (44).jpeg
Views:	1
Size:	17.9 کلوبائٹ
ID:	12391659

      Pattern par Trading ka Amal


      Bullish pin bar candlestick ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle bottom trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik white candle ka hona zarori hai, jis par market me buy ki entry ki ja sakti hai. Candle ka lower shadow strong support level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Confirmation white candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (43).jpeg
Views:	25
Size:	33.8 کلوبائٹ
ID:	12391655

      اب آن لائن

      Working...
      X