Details of RickShaw Man Candlesticks Pattren in Forex Trading

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Details of RickShaw Man Candlesticks Pattren in Forex Trading
    Assalamu Alaikum dear member Main ummid Karti hun aap sab khairiyat se Honge aur faraks Market Mein acchi earning kar rahe Honge Jab aap acche experience ke sath kam karte hain aur apni learning ko perfect banate hain to aapko is market mein bahut jyada fayda Milta hai aapko Hamesha Koshish Karna Hogi kya aap is market Mein acche experience aur acche knowledge ke sath kam Karen jab tak aapke pass Achcha experience Nahin Hoga aap is market Mein successful Nahin ho sakte main aaj aapko bahut hi important topic discuss karungi jo aapki trading Ho successful banaa sakta hai to Mera topic Hai Ricksha man kya hai aur is per aap trading kaise kar sakte hain.

    What is Rickshaw Man Doji Candlesticks Pattren:

    Dear member rickshaw man can do ji candlestick doggy candle real body Mein Bani upper aur lower side per long Shadow rakhne Wali Ek single candle pattern Hai Jisko Aam Taur per price chart pattern per Ek natural candle tasawar ki Jaati Hai yah candle market Mein supply aur demand purchase aur bullish aur bearish demand resistance aur support strong mein barabari ki vajah se banti hai candle ke banne ki psychology Kuchh Is Tarah Se Hai Ek Maksud ya muntake Karda time frame ke dauran price chart per first invester price ko ek site per Le jaane ke bad sem second side per bhi Usi Tarah Se push karti hai but din ke kam per price open or close wali position per Aakar close hoti hai...

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-05T225707.740.jpeg
Views:	7
Size:	35.1 کلوبائٹ
ID:	12527625

    Identification of Rickshaw Man Doji Candlesticks Pattren:

    Dear member risk Sharman dose candles on May price Dikhai Deti Hai Kyunki yah Ek natural candle Somwar Hoti Hai yah candle a ki time mein market Mein buyers aur seller ki equal takat ki aakashiy Karti Hai Jo price ko ek Khas se position per muntake rakhti hai candle ki formation bahut sari mil rahi hoti hain..

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-05T225726.911.jpeg
Views:	37
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12527626

    RickShaw men doji industry price Ke Darmiyan Mein jyadatar natural Hoti Hai Jab Ke bottom out of price per trend reversal Ki salahiyat rakhti Hai yah candle bagair real body ke Hoti Hai jismein candles ke open aur close same point per hota hai candles ke upper aur lower side per Shadow hota hai Kyunki donon side per size mein equal Hota Hai..

    Explanation:

    Dear member rickshaw man cantastic do ji main price candles ke center ya Darmiyan Mein Ek line serial body banti hai Jiske upper aur lower side per Ek Lamba Saya ya Shad hota hai candle Aam Taur per Ek natural candle tasawar Kiya Jata Hai Jisko price chart per bahut jyada Dekha Jata Hai yah candle price ke center Mein ya Ek Trend ke dauran natural value ki Hoti Hai Jab Ke price ke top ya bottom per banne per yah train reversal ki hai jismein market ki price jyadatar sem friend ko hi follow karti hai...

    Trading with Rickshaw Man Doji Candlesticks:

    Dear member Ritz Shah mantoji candlestick stading ke liye Jyada perfect signals is wajah se nahi de sakti hai Kyunki yah candle jyadatar natural behaviour Dikhati Hai jyadatar Jake Anders price chart mein bahut jyada Najar aati hai but aamtaur per trend per yah bahut kam Asar Andaaz Hoti Hai price chart ke top per banne per yah candle thodi bahut friend reversal ke Ashraf ka hamil ho sakti hai candles per trading ke liye jaruri hai ki price and Ke Intezar Karna chahie Kyunki Jab aap best point per entry lete hain to ismein aapko bahut jyada acchi arning mil rahi Hoti Hai Jab Ke sem Trend ke candles banne per yah trend continuation ka roll play karti hai stop loss candles ke sabse top job bottom and Se Two pips above ya below set Karen.


    Click image for larger version

Name:	images - 2022-05-05T225734.950.jpeg
Views:	11
Size:	16.6 کلوبائٹ
ID:	12527627
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Details of RickShaw Man Candlesticks Pattren in Forex Trading

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Rickshaw Man Candle


    Rickshaw man candle doji candle family se taluq rakhne wali candle hai, jiss ko aam tawar par "Long-legged" candle bhi kaha jatta hai. Rickshaw man candle prices ka ka matlobba timeframes main open aur close aik hi hotta hai, ya bulkul close hotta hai, lekin candle k upper aur lower side par long shadow ya wick hotti hai. Ye candle wese to dekhne main mukamal tawar par aik neutral candle hai, q k cansle k upper aur lower side dono taraf shadow ya wick ki lambaye same hotti hai. Jis se candle zahir hotta hai, k muntakhib karrda timeframe k dawraan candle par bullish aur bearish pressure barrabar tha.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (73).png
Views:	23
Size:	3.0 کلوبائٹ
ID:	12391891

    Candle Formation


    Rickshaw man candle ki shape baqqi doji candles se thora sa mukhtalif gai, jab k doji star candle se melta julta hai. Ye candle price chart main mukhtalif color ho sakta hai, lekin kaam iss candle ka same hota hai, jo k normal ya trend market main neutral aur high ya low price area main dosre candles k sath trend reversal ka. Candle ki formation darjazel tarah se hoti hai ;

    Click image for larger version

Name:	unnamed (16).jpg
Views:	3
Size:	16.8 کلوبائٹ
ID:	12391892

    Rickshaw Man Candle: Rickshaw man candle prices upper aur lower sides par aik lambba wick bannane k baad wapis apne open position par close ho jatti hai. Candle k banne k pechay ki psychology ye hai k pehle qeemat aik side par ziadda harkat kartti hai, lekin baad main dosree tarraf se dabao ziadda hone ki waja se qeemat wapis apnni open position par a jatti hai.

    Explanation


    Rickshaw man candle aik neutral candle honne ki waja se top trend aur bottom trend par behaviour tabdeel karti hai. Ye candle doji star candle se melti julti hai, aur aam tawar par is ko "Long-legged" doji candle kaha jatta hai. Candle ki high aur low same shadow bananti hai, jab k open aur close same price ki hotti hai. Market k sideways trend ya continue trend main ye candle trend continuation ka kaam kartti hai. Rickshaw man candle ko na to bullish candle tasawar kia jatta hai aur na hi beariah, q k ye candle bagher real body ki hotti hai. Candle aggar prices k top par ya bullish k top trend par ban jaye to bearish trend reversal ka kaam kartti hai. Jab k low prices ya bearish trend k end main banne ki wajja se bullish trend reversal ka kaam kartti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (74).png
Views:	23
Size:	2.6 کلوبائٹ
ID:	12391893

    Trading


    Rickshaw man candle aggar normal prices ya low trend wale position par bantti hai, to ye neutral candle hi tasawar hotti hai. Jab k top trend aur lower trend main candle ka rawaya badal jatta hai, jo trend reversal ka kaam kartti hai. Single candle par trading se behtar result hasil karnne k leye candle ka timeframe hamesha ziadda select kia karen. Pattern par trading karnne se pehel pattern ki position aur trend confirmation lazzmi kia karen, q k ye candle bohut riski candle sabbit ho saktti hai. Candld prices k top trend k baad banne par aggli bearish candle par market main sell ki entry karen. Jab k low trend wale area main banne par candle k baad confirmation white candle par buy ki entry karen.Stop Loss Bearish Trend reversal main candle k wick k top par jab k bullish trend reversal main candle ki wick k lower position par set karen.

    Click image for larger version

Name:	Screenshot_20220508_122320.jpg
Views:	1
Size:	67.0 کلوبائٹ
ID:	12391890
    • #3 Collapse

      Re: Details of RickShaw Man Candlesticks Pattren in Forex Trading

      Rickshaw Man Doji Candle Pattern Kia Hai?

      Single candles pattern jiss main buyers aur sellers ka market main control aksar barabar rehta hai, aik neutral candles tasawar ki jati hai. Rickshaw man candle bhi market main buyers aur sellers ki yaksan hone par wajood main ati hai. Rickshaw man candle ki ooper aur nechay aik lamba shadow ya wick hota hai, jiss ka darmeyan main aik line si real body hoti hai, jiss main prices ka open aur close same hota hai. Ye aik neutral candle shumar hoti hai, jo k aik strong trend k dowran trend reversal ka signal de sakyi hai. Rickshaw man candle k ooper aur nechay shadow aik to size main equal hona chaheye aur dosra ya length main lamba hona chaheye, q k short hone par ye doji star candle ban sakti hai. Rickshaw man candle prices k top aur bottom dono main ban sakti hai. Sideways markets main ye candle aik neutral candle hoti hai, jo k prices k ziada tar maojoda trend main continuation ka sabab banti hai. Rickshaw man candle chart pattern par aksar market main candle real body aik black line si nazar ati hai, jiss ka ooper aur nechay aik lamba shadow hota hai. Ye candle bagher real body ki hoti hai, jiss main prices ka open aur close same point par hota hai. Ye candle bullish aur bearish dono tarah se market ki position k mutabiq apna situation tabdeel karti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (36).jpeg
Views:	37
Size:	8.1 کلوبائٹ
ID:	12391894

      Rickshaw Man Doji Candle Kaam Kese Karta Hai?


      Rickshaw man candle aik single day doji candle hai, jiss main prices din k aghaz main pehle aik side par move karne k baad apna trend tabdeel karke dosre semat par move karna shoro karte hen, lekin din k ikhtetam par ye prices same point par band ho jati hai. Price chart par buyers aur sellers market main same quat main hote hen, jiss se prices aik timeframe k dowran ooper aur nechay jane ka baad wapis apne aghaz wali position par a jati hai. Ye aik bagher real body ya small real body wali candle hoti hai, jo k trend k mutabiq apni hodohal ko tabdeel karti hai. Ye candle prices k top ya bottom par strong trend reversal ka sabab banti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (77).png
Views:	7
Size:	24.7 کلوبائٹ
ID:	12391895

      Rickshaw man Doji Candle Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


      Rickshaw man candle sideways market main ya newly breakout trend main trend continuation ka kaam karti hai, jab k price k top ya bottom main ye candle aksar trend reversal ka kaam karti hai. Ye candle prices k bottom main bullish trend reversal aur prices k top par bearish trend reversal pattern ka kaam karti hai. Candle k baad trend ki confirmation ka candle ka hona zarori hai jo k real body main hona chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se trend ki confirmation CCI indicator ya stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai. Stop loss candle k sab se top ya bottom se trend reversal k mutabiq two pips below ya above set kia ja sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	download (3).png
Views:	12
Size:	6.8 کلوبائٹ
ID:	12391896
      • #4 Collapse

        Re: Details of RickShaw Man Candlesticks Pattren in Forex Trading

        Rickshaw Man Candle


        Introduction


        Rickshaw man candle dar-asal doji candle ki aik khas candle type hai, jis ko aam tawar par Long-legged doji candle bhi kaha jata hai. Rickshaw man candle me candle ki open aur closing price to aik hi hoti hai, lekin sath sath candle k upper aur lower dono sides pe aik bara shadow (wick ya saya) banta hai. Rickshaw man candle me doji candles ki sari format shamil hoti hai.

        Click image for larger version

Name:	images (2) (78).png
Views:	1
Size:	1.5 کلوبائٹ
ID:	12391898

        Rickshaw Man Candle ki Identification

        1. Rickshaw man candle doji candle ki type hai, jis ko aam tawar par "Long-legged Doji" bhi kaha jata hai.
        2. Candle chonkeh doji candle hai, is waja se opening aur closing price ki position same hi hoti hai, aur Real body zero hoti hai
        3. Candle ki upper aur lower side dono pe same size ka aik bara shadow hota hai.


        Click image for larger version

Name:	images (2) (76).png
Views:	3
Size:	1.3 کلوبائٹ
ID:	12391899

        Candle ki Tafseel


        Rickshaw man candlestick aam tawar par market me traders ki buying aur selling ki dono side k pressure ko dekha rahi hoti hai. Ye candle agar qeematon k darmeyan me ban jaye to ye neutral considered hoti hai. Jab bhi financial market me kisi stock, currencies ya commodities par traders pehle aik side pressure dalte aur baad me dosri side se to us sorat me Rickshaw man candle banti hai.

        Click image for larger version

Name:	images (2) (75).png
Views:	2
Size:	1.9 کلوبائٹ
ID:	12391900

        Candle pe Trading


        Rickshaw man candle qeematon k dono atraf (buyers aur sellers) k pressure k barabari ko zahir karti hai. Agar ye candle qeematon k trend k darmeyan me ban jati hai, to us sorat me ye candle neutral tasawar ki jati hai, jis pe trading se ihtiat karni chaheye, lekin ziada tar chances hote hen k trend apne sabeqa rujhan ko hi jari rakhe ga.
        Agar ye candle qeematon k lower area ya bearish trend k baad paye jaye to bullish trend reversal k bohut zyada chances hote hen, isi tarah se high price area ya bullish trend k baad banne pe ziada tar ye candle bearish trend reversal ka kaam karti hai. Rickshaw man candle ki timeframe jitna ziada hoga utna hi is ki reliability bhi ziada hogi. Stop loss candle k lower ya upper side pe market me entry k mutabiq set karen.

        Click image for larger version

Name:	images (2) (79).png
Views:	2
Size:	25.2 کلوبائٹ
ID:	12391897
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          RICKSHAW MAN CANDLESTICKS PATTERN IN FOREX TRADING Candlestick Pattern forex trading mein ek ahem chart pattern hai jo market ke uncertainty ko darust karti hai. Is pattern ko samajhne ke liye neeche di gai tafseel ko parhain. INTRODUCTION Rickshaw Man ek chhota candlestick hota hai jiska body chhota hota hai aur uski upper aur lower wicks bhi barabar lambi hoti hain.Iski appearance se yeh lagta hai ke market mein buyers aur sellers mein baraabar ka muqablah hai.Rickshaw Man pattern ka zahiri maqsad yeh hai ke market mein koi clear trend nahi hai.Buyers aur sellers ke darmiyan larai darust hoti hai jo market ko indecisive bana deti hai.Yeh pattern market ke uncertainty ko represent karta hai aur traders ko yeh batata hai ke abhi market clear direction mein nahi hai.Agar Rickshaw Man pattern ek strong trend ke baad aata hai toh yeh ek market reversal ke sign ho sakta hai.Isko dekh kar traders cautious ho sakte hain aur future movements ke liye tayyari kar sakte hain. CONFIRMATORY INDICATORS Rickshaw Man pattern ko confirm karne ke liye, doosre technical indicators ka istemal karna bhi zaroori hai.Volume analysis aur doosre trend indicators istemal karke traders ko aur bhi tajaweezat mil sakti hain. RISK MANAGEMENT Is pattern ke samay risk management ka khaas khayal rakha jana chahiye.Stop-loss orders aur proper risk-reward ratio ka istemal karke trading decisions liye ja sakte hain. CONSULTATION Market conditions ka hamesha tawaja se mutala karein aur trading decisions ko carefully consider karein. Technical analysis ke tools ka istemal karke apne trades ko validate karein.Buyers aur sellers ke darmiyan larai darust hoti hai jo market ko indecisive bana deti hai.

          اب آن لائن

          Working...
          X