Important information about "Bullish Spike Candlesticks"

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Important information about "Bullish Spike Candlesticks"
    Bullish Spike Candlestick Kia Hai?

    Bullish spike candlestick pattern single candle pattern hone ki waja se technical analysis main bohut ziada istemal hone wala aik bullish trend reversal pattern hai, jiss ko na sirf forex trading mein ziada istemal kia jata hai, balkay index, bands, aur cryptocurrency trading mein bhi is ka khasa use hota hai. Bullish spike candle price action traders ko bullish ya bearish trend ke baad mumkina trend reversal ko talaash karne mein madad kar sakti hain. Bullish spike candle ki karkardagi ka inhisar selected timeframe par hota hai, jab bhi ye candle prices k bottom par banti hai, to ye mumkina bullish trend reversal ka signal deti hai. Bullish spike candlestick dosre indicators k sath prices k bottom par bullish trend reversal ka k leye ziada mashahoor hai, jiss k opposite direction main top prices main long upper shadow candle banti hai. Bullish spike candle k sath prices k bottom par aik long lower shadow candle bhi same hososeyat rakhti hai, jo bullish trend reversal ka sabab banti hai, lekin shape main bullish pin bar candle se mukhtalif hoti hai. Bullish spike candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. Bullish spike candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bullish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka lower side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bullish candle hi shumar hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (30).png
Views:	3
Size:	552 بائٹ
ID:	12527522

    Bullish Spike Candlestick Kaam Kese Karta Hai?


    Bullish spike candlestick pattern aik small real body main lower side par long shadow wali candle hai, jiss main prices bearish trend ko reject karne ka ishara deti hai. Candle ki shape bearish ya bullish dono tarah se ho sakta hai, jab k candle ki shadow real body k size se dunga ho sakti hai. Bullish spike candlestick aik aisa pattern hai, jo mukhtalif financial markets ke sath achi tarah kaam karta hai. Yeh candlestick ke sab se mashhoor pattern mein se aik hai, jisay trader price ki harkat ko dekhte hue result ke imkaan ka andaza laganay ke liye istemaal karte hen. Candlestick price chart mein, har aik candle selected timeframe ke mutabiq aik period se mutaliq hoti hai. Bullish spike candle single candle hone ki waja se har aik timeframe main aik hi candle ka pattern hoga.

    Bullish Homing Pigeon Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Bullish spike candlestick bullish ya bearish dono shapes main bullish trend reversal ki hososeyat ka hamil hoti hai, q k prices k bottom ya bearish trend main ye candle prices k leye support zone ka role play karti hai. Single candle pattern main jitna ziada lamba timeframes hota hai, iss ki reliability uss k hisab se achi hoti hai. Candle par trading se pehle long term ki timeframe k sath aik trend confirmation candle ka hona bhi zarori hai, jo k real body main bullish candle hone k sath bullish spike candle k top side par close honi chaheye. Candle ki confirmation CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jis ki value oversold zone main honi chaheye. Stop loss candle k sab se bottom ya low price se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (26).jpeg
Views:	1
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12527521
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Important information about &quot;Bullish Spike Candlesticks&quot;

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Spike Candlestick


    Bullish spike candle kisi bhi range ki single session candlestick hai, jo aik down-trend ke bilkul nechay zahir hota hai. Ye candle prices k bottom par aik strong support level banati hai, jiss k baad market main bulls active hona shoro ho jate hen. Ye candle trend reversal ki nishan-dahi karta hai, candle k real body k lower shadow aik ishara hai, keh sellers ne prices ko nechay le jane ki koshish ki, lekin din k ikhtetam k baad wo nakaam ho jate hen. Kuch chartists ke mutabiq, bullish spike candle ko pechle session ke ekhtataam ke waqfay ke sath bhi paish kya jana chahiye. Bullish spike candle ka nechla saya is ke real body ki lambai se kam az kam dugna hona chahiye.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (27).png
Views:	28
Size:	14.5 کلوبائٹ
ID:	12391489

    Candles Formation


    Bullish spike candlestick dekhen main dosre candles jaisi dekhaye deti hai, lekin prices k bottom par ya bearish trend main banne ki waja se aik strong bullish trend reversal ka kaam karti hai. Candle prices ko lower side par reject karti hai, jiss se maojoda trend badal jata hai. Ye aik single candle pattern hai, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Bullish Spike Candle: Bullish spike candlestick aik small real body wali candle hai, jiss k lower side par aik long shadow hota hai. Candle ka shadow candle k real body ka dungna ya uss se bhi ziada hota hai. Jab k candle k upper side par koi shadow nahi hona chaheye, lekin agara banta bhi hai, to bohut ziada large size main nahi hona chaheye, jiss se candle ki formate tabdeel hone ka hadsha ho.

    Click image for larger version

Name:	unnamed (6).jpg
Views:	2
Size:	22.0 کلوبائٹ
ID:	12391490

    Explanation

    Bullish spike candlestick aik small real body wali single candle pattern hai, jo k lower side par aik lamba shadow ya saya rakhti hai. Candle ka saya hamesha candle ki real body se ziada hoti hai. Candle k baane ki pechay ki psychology kuch yon hoti hai, k jab bhi aik session ya aik din k dowran prices pehle downward movement karne k baad wapis apne open price k qareeb a kar close ho jati hai, jiss se candle k lower side par aik lamba shadow ya saya ban jata hai. Ye candle normal price chart par ziada moasar sabit nahi hoti hai, lekin candle ka trend k bottom par low price area main banne par bullish trend reversal ka kaam karti hai.

    CENTER] Trading [/CENTER]

    Bullish spike trading main buy ka signal genrate karti hai, jiss par market main confirmation k baad entry ki ja sakti hai. Candle ka long timeframe main hona zarori hai, jab k confirmation candle ak lazmi bullish real body main hona chaheye, jab k sath sath bullish candle ka bullish spike candle k upper par bhi close honi chaheye. Ye single candle pattern hone ki waja se indicator se bhi trend confirmation lena zarori hai, jaise RSI, MACD, CCI indicator aur stochastic oscillator par value oversold zone main hona chaheye. Candle k baad bearish candle banne ki sorat main trade entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya candle k low price jo k trend k leye support zone banta hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2) (28).png
Views:	5
Size:	10.4 کلوبائٹ
ID:	12391491

    اب آن لائن

    Working...
    X