Forex trading me Tasuki Gap down candlestick pattern par trading ka tareeqay kar

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex trading me Tasuki Gap down candlestick pattern par trading ka tareeqay kar
    Downside Tasuki Gap Candlestick Pattern


    Introduction


    DoDownside Tasuki gap candlestick pattern teen candles par mushtamil hota hai, jo k bearish trend continuation k leye jana jata hai. Ye pattern qeematon k darmeyan me ya low price area me banta hai. Ye pattern dekhne me same " Bearish side by side black lines" jaisa hi hai, lekin faraq dono pattern ki last candle ka hota hai. Downside Tasuki gap me last candle opposite pattern ki yani bullish hoti hai, jab k "Bearish side by side black lines" me 3rd candle same bearish trend ki hi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (27).png
Views:	1
Size:	1.7 کلوبائٹ
ID:	12527517

    Pattern ki Pehchan

    1. Downside Tasuki gap pattern qeematon k darmeyan me ya low prices area me bearish trend continuation ka kaam karta hai.
    2. Pattern ki 1st candle sabeqa trend ki bearish candle hoti hai.
    3. Pattern me shamil 2nd candle bhi same bearish hoti hai, lekin open aur close 1st candle se downside pe gap me hoti hai.
    4. Pattern ki 3rd candle hoti to bullish hai, lekin ye same 2nd candle k parallel me banti hai.
    5. Pattern ki 2nd aur 3rd candle 1st candle se nechay gap me open aur close hoti hen.


    Click image for larger version

Name:	images (26).png
Views:	6
Size:	1.4 کلوبائٹ
ID:	12527518

    Pattern ki Tafseel


    Downside Tasuki gap candlestick pattern me teen candles hoti hai, jo k bearish trend k baad banta hai, ya qeematon k darmeyan me bhi ban sakta hai, jo k bearish trend continuation ka kaam karta hai. Pattern me shamil 1st candle aik real body wali bearish candle hoti hai, jo k sabeqa trend bearish trend ki nishan-dahi karti hai. Pattern ki 2nd candle bhi same beariah candle hoti hai lekin ye 1st candle se nechay gap me banti hai, jis k baad 3rd candle bhi same gap me 2nd candle k parallel me banti hai. Pattern ki 2nd aur 3rd candles 1st candle se downside pe open aur close hoti hai. Downside Tasuki gap pattern same "Bearish side by side black lines" pattern jaisa hi hai, lekin dono patterns me 3rd candle ki opposite formation ki waja se thori si tabdeeli ho jati hai. Downside Tasuki pattern me 3rd candle aik bullish candle jab k "Bearish side by side black lines" me ye candle same trend k yani bearish candle hoti hai, baqi dono patterns ka kaam same trend continuation k leye hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (20).jpeg
Views:	3
Size:	10.3 کلوبائٹ
ID:	12527519

    Trading on Pattern


    Downside Tasuki gap candlestick pattern qeematon k darmeyan me banne par bohut zyada muasar hota hai, jab k bearish trend ya low price area me banne par pattern k leye confirmation zarori hai. Agar pattern k baad 4th candle aik real body wali bearish candle banti hai, to ye area market me sell k ka signal de raha hota hai. Downside Tasuki gap pattern me stop loss pattern k sab se up side ye 1st candle k sab se high price area pe set karen.

    Click image for larger version

Name:	download.jpeg
Views:	9
Size:	4.9 کلوبائٹ
ID:	12527516
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Forex trading me Tasuki Gap down candlestick pattern par trading ka tareeqay kar

    Tasuki Gap Down Pattern Kia Hai?

    Downside tasuki gap candlestick pattern chart price main teen candles k darmeyan downward side par aik kicking type pattern hai. Pattern ki pehli aur dosri candles bearish hoti hen, jiss k darmeyan downside par aik gap ban jata hai. Pattern ki teesri candle aik bearish candle hoti hai, jo dosri candle k baad ban kar gap main close hoti hai. Pattern ki pehli candle k low price (bashamole shadow or wick) aur dosri candle k high price (bashamole shadow or wick) k darmeyan aik wazih gap ya khali jagah hoti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern aik bearish trend continuation pattern hai, jiss main shamil pehli aur dosri candles bearish jab k teesri candle bullish pattern k hote hen. Ye pattern prices main sellers ki mazboti aur downward side par prices ka mazeed move karne ka aik wazih indication hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern prices main aksar aik waqfay k dawran banta hai, ye pattern waqfay k dowran events ya strong news ka sabab banta hai, jiss ki waja se fundamentals asarat assets ki prices ko teezi k sath lower push karte hen. Downside tasuki gap candlestick pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k normal sabeqa trend ki akasi karti hai. Ye candle black ya red color main hoti hai, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, lekin real body ka wazih hona zarori hai. Downside tasuki gap candlestick pattern ki dosri candle bhi same pehli candle k tarah bearish hoti hai. Lekin ye candle pehli candle k low price se below gap main banti hai. Dosri candle ka high price pehli candle k low price se wazih downside gap main hona chaheye. Ye candle bhi aik bearish body main honi chaheye, jo k shadow ya shadow k bagher bhi ho sakti hai. Downside tasuki gap candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai, jo k dosri candle k taqreeban parallal se thora sa above banti hai, lekin close gap main ya gap se below honi chaheye. Ye candle prices ko bullish push karne ki nakam koshash karti hai, lekin sellers ki mazboti prices ko downside move karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (28).png
Views:	6
Size:	6.7 کلوبائٹ
ID:	12391462

    Tasuki Gap Down Kaam Kese Karta Hai?



    Price chart pattern par gap pattern hamesha assets ki bohut ziada high volitilety ki waja se bante hen. Ye volitilety aksar awqat aik khas waqfay k dowran prices par fundamental asarat ki waja se hota hai. Downside tasuki gap candlestick pattern main bearish trend k dowran do bearish aur aik bullish candles k darmeyan downward side par aik gap banta hai, jo k prices k bearish trend confirmation ki alamat hoti hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle k low price aur dosri candle k high prices k darmeyan aik wazih aur clear gap hota hai, jab k teesri bullish candle dosri bearish candle k bottom pe open ho kar gap main ya gap se below close hoti hai. Ye pattern sellers ki market main mazboti aur prices ka mazeed bearish jane ka aik clear message hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (22).jpeg
Views:	15
Size:	14.4 کلوبائٹ
ID:	12391463

    Tasuki Gap Down Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?


    Downside tasuki gap candlestick pattern prices k downtrend main banta hai, aur iss pattern ki mazboti candles ki real body se pata chalta hai. Strong real body wali candles prices ko teezi k sath bearish push karegi, jo k support level se downward side par hone chaheye. Pattern par trading se pehle confirmation candle ka hona zarori hai, aur pattern lazmi support line k downward hona chaheye. Confirmation candle real body main bearish candle honi chaheye, jab k bullish candle banne ki sorat main trading ka khatra mol nahi lena chaheye. Ye pattern agar support level se above banta hai, to ye bullish trend reversal bhi ho sakta hai, iss waja se pattern ka support point k bottom par hona chaheye. Stop loss pattern k sab se upper position ya pehli candle k top price se two pips above set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (21).jpeg
Views:	12
Size:	22.8 کلوبائٹ
ID:	12391461
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Forex trading me Tasuki Gap down candlestick pattern par trading ka tareeqay kar

      Assalamu Alaikum Dosto!


      Tasuki Gap Down Candlestick Pattern


      Tasuki gap down candlestick pattern aik strong bearish trend continuation pattern hai, jiss main teen candles shamil hote hen. Ye pattern aik bearish trend ya low prices main banne par same bearish trend ko jari rakhta hai, jiss se prices aik waqfay k baad downward move karna jari rakhte hen. Tasuki gap down candlestick pattern ka taluq gap pattern se hai, jiss main pehli do candles k darmeyan aik wazih gap banta hai, ye gap prices ko downward side par push karne ka sabab banti hai. Pattern ki third candle buyers ki market main presence dekhati hai, lekin ye candle ziada moasar karkardagi nahi dekhati hai, jiss se prices same bearish trend ko hi jari rakhte hen.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (26).png
Views:	11
Size:	6.3 کلوبائٹ
ID:	12391465

      Candles Formation


      Tasuki gap down candlestick pattern teen candles par mushtamil aik bearish trend continuation pattern hai, jiss jo k bottom area main banne par assets k prices ko mazzeed bearish same trend main downward push karta hai. Tasuki gap down candlestick pattern do bearish aur aik bullish candles se mel kar banta hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;

      Click image for larger version

Name:	unnamed (5).jpg
Views:	1
Size:	21.4 کلوبائٹ
ID:	12391466

      1. First Candle: Tasuki gap down candlestick pattern k pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k long real body main banti hai. Ye candle prices k maojoda bearish trend ko zahir karti hai, jo k shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai. Pattern ki pehli candle ki closing price open se below hona chaheye.

      2. Second Candle: Tasuki gap down candlestick pattern ki dosri candle bhi same bearish candle hoti hai, jo k pehli candle se lower gap main banti hai. Ye candle bhi shadow ya shadow k bagher ho sakti hai, jab k candle ki close price open price se kam hona chaheye. Dosri candle ka pehli candle se lower side par gap main hona zarori hai.

      3. Third Candle: Tasuki gap down candlestick pattern ki teesri candle aik bullish candle hoti hai. Ye candle dosri candle ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai. Teesri candle ka close price open price se ziada hona chaheye. Ye candle trend reversal karne ki nakam koshash karti hai.

      Explanation

      Tasuki gap down candlestick pattern aik down-trend k dawran uss waqat banta hai, jab investors market main aik mamoli sey waqfey k baad same down-trend ko jari rakhna chahte hen. Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jiss main pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bearish trend ki akasi karti hai. Pattern ki dosri candle bhi same bearish candle hoti hai, lekin ziada selling pressure ki waja se ye candle pehli candle k bottom par gap main banti hai. Pattern k dono candles k darmeyan aik wazih gap hota hai, jo prices k downtrend ki mazboti ki alamat hoti hai. Pattern ki last ya third candle aik bearish candle hoti hai, jo k prices ko bullish trend reversal ki nakam koshash karti hai, q k ye candle dosri candle k baad ya ussi ki real body main open ho kar pehli aur dosri candle k darmeyan banne wale gap main close hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (23).png
Views:	13
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12391467

      Trading

      Tasuki gap down candlestick pattern prices chart par bearish trend ki mazboti ki alamat hoti hai, jab bhi pattern ki teesri bearish candle gap main ya uss se pehle close ho jati hai, jiss se prices ka bullish trend reversal hona nakam ho jata hai. Pattern par trading se pehle teesri candle k gap main close hona zarori hai, jab k aik fourth bearish trend confirmation candle ka hona zarori hai, jo third candle k bottom par close honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se market main entry nahi karni chaheye, jab k indicators par value lazmi midpoint se below honi chaheye. Pattern par Stop Loss ka istemal zarori hai, jo k sab se top position ya pehli candle k open price se two pips above set ho sakta hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2) (25).png
Views:	8
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12391464

      اب آن لائن

      Working...
      X