Bullish meeting line pattern:

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Bullish meeting line pattern:
    Bullish meeting line pattern , 2 candles ko involve karta hai, aik black aur aik white hoti hai, yeh candles ka pair close per milta hai, es ka matlab yeh hai keh dosri candle jo keh bullish hoti hai , uski closing price pehli bearish candle ki closing price ka equal hoti hai.
    Yeh current trend mein reversal ka signal hota hai , normally ager dekha jay.
    Ap es ka bullish aur bearish variants ko find out kar saktay hain, us trend per depend kartay huay , jis per yeh locate kar raha ho.
    Esko aik picture sa elaborate karnay ki try kartay hain:
    Click image for larger version

Name:	IMG_20220410_144955.jpg
Views:	8
Size:	31.6 کلوبائٹ
ID:	12527510
    Yeh picture btati hai keh , yeh uptrend mein occur hota hai, asi candle sa confirmation hoti hai jo keh es pattern ko follow karti hai.
    Pehli candle long hai aur white hai, dosri candle long aur black hai, es ka close same level per hai, jahan per pehli candle ka close hai.
    Es picture mein ranking bhi btai gai hai, common rank jo h wo G+ hai aur efficiency rank B hai, oper ki taraf 51 percent hai, neechy ki taraf 49 percentage hai.

    Construction:
    Pehli candle;
    Aik downtrend ki candle hai.
    Eski body black hai.
    Aur yeh aik long line ki tarah appear hoti hai.
    Dosri candle;
    Eski body white hai
    Eski closing price , pichli closing price ka equal hai.

    Explanation:
    Es pattern mein , bearish aur bullish 2 candlestick hoti hain, jinki closing price equal hoti hai. En 2 candlestick ki body, average body length sa ziada hoti hai.
    Bullish meeting line candlestick pattern , downtrend ka reversal indicate karta hai.
    Esko aik picture sa understand kartay hain:

    Click image for larger version

Name:	IMG_20220410_144934.jpg
Views:	8
Size:	62.5 کلوبائٹ
ID:	12527511

    Es picture mein dekhain, 2 candlestick hain, aik bearish hai aur aik bullish hai, aur es mein dikhaya gya hai keh kesy downtrend ka bad bullish meeting line pattern start hota hai.
    Es pattern ki shape simple hai per yeh bht ziada rarely appear hota hai.
    Example:
    Agar dekha jay to bullish meeting line pattern jo hai , in neck pattern sa similar hai, q keh bearish continuation pattern hai. En pattern ka main difference, dosri line ki body ki length hai. In neck pattern mein dosri line ki body shorter hoti hai, jb keh bullish meeting line candlestick pattern mein dosri line ki body comparatively larger hoti hai.
    Esko aik picture sa dekhtay hain , jo keh bahut achi example hai:
    Click image for larger version

Name:	IMG_20220410_144916.jpg
Views:	8
Size:	96.7 کلوبائٹ
ID:	12527512

    Es picture mein bullish meeting line ki occurrence show ki gai hai, pehli line long black candle hai, jis sa resistance zone ki formation ho rahi hai. Black candle jo keh pattern ko follow kar rahi hai, wo breakout ka downtrend ki failed attempt hai. Aur result mein resistance zone stronger ho jata hai aur bears control ly letay hain. Yeh aik simple graph hai jis mein may sa October tak market ko movement show ko gai hai, umed hai es graph sa apko achi understanding mili hogi.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Bullish meeting line pattern:

    Bullish Meeting Line Candlestick Pattern


    Bullish meeting line candlestick pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main 1st candle aik black candle hoti hai, jab k 2nd day ki candle aik white candle hoti hai. Pattern ki 2nd day ki white candle 1st day ki black candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni white candle black candle k lower side par gap main khulti hai, jab k close ussi k same closing point par hoti hai. Pattern ki white candle black candle se nechay gap main open hoti hai, lekin ye gap white candle ki real body se cover hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (25).jpeg
Views:	10
Size:	6.6 کلوبائٹ
ID:	12391468

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Bullish meeting line pattern aik bearish trend reversal pattern hai, iss waja se qeematon ka pehle se bearish trend ya low qeematon wale zone me hona zarori hai.
    2. Pattern 2 candles se mel kar banta hai, jis ki 1st candle aik black candle hoti hai.
    3. Pattern ki 2nd candle aik white candle hoti hai.
    4. Pattern ki 2nd candle 1st candle k bottom par gap me khul kar same 1st candle k close price par band hoti hai.
    5. Pattern ki dono candles ka real body me hona zarori hai, jab k candles k upper aur lower sides par shadow ya saya ho sakta hai.


    Click image for larger version

Name:	images (29).png
Views:	7
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12391469

    Pattern ki Tafseel


    Bullish meeting line candlestick pattern main shamil candles black aur white pattern ki hoti hai, jo k prices k bullish trend reversal k leye istemal hota hai. Bullish meeting line candlestick pattern price chart par uss waqat banta hai, jab bhi sellers market main dilchaspi lena kam kar dete hen. Ye pattern prices k bottom par ya bearish trend main ban kar market ka trend bullish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main dosri candle pehli candle se se nechay gap main open hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (23).jpeg
Views:	39
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12391470

    Pattern par Trading ka Amal


    Bullish meeting line pattern me buyers market main entry karte hen. Pattern k baad aik white confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin black candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Trend confirmation indicator aur oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value oversold zone main honi chaheye. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai.

    Click image for larger version

Name:	images (24).jpeg
Views:	9
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12391471

    اب آن لائن

    Working...
    X