Three Black Crows Pattern Kia Hai?
Three black crows candlestick pattern price chart par ziada buying ki sorat main banne wala aik bearish trend reversal pattern hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern main shamil teeno candles bearish candles hoti hai, jo k long real body main hoti hai. Pattern ki teeno candles prices k top par bullish trend k khatme ka bahis bante hen. Bearish candles ki long body hamesha market main ziada supply aur kam demand ki waja se banta hai. Ye pattern dosre two days candles ya dosre candlestick pattern ki nisbat iss waja se aik strong bearish trend reversal ka signal deta hai, q k iss pattern ki teeno candles long aur strong bearish trend ko zahir karti hai.
Three Black Crows Kaam Kese Karta Hai?
Three black crows pattern teen candles par mushtamil pattern hai, jo marlet main bearish trend ka aik strong reverse ya continuation ka ishara deta hai, pattern ki teeno candles bearish hoti hai. Three black crows pattern main shamil pehli candle aik strong bearish candle hoyi hai, jo k black ya red color main banti hai. Ye candle long bearish candle hai, jo k market main bearish trend reversal ka ishara deti hai.Three black crows pattern ki dosri candle bhi pehli candle ki tarah bearish hoti hai, jiss ka color bhi same black ya red hoti hai. Ye candle pehli candle se ziada strong banti hai, q k aksar ye candle size main pehli candle se ziada hoti hai. Three black crows pattern ki teesri candle bhi pehli do candles ki tarah hi bearish hoti hai. Ye candle size main dosri candle ki tarah hoti hai, jo k pehli candle se thori si bari hoti hai. Ye candle bhi color main black ya red banti hai. Three black crows candlestick pattern main shamil candles long real body main hone ki waja se market main bearish strength ki akasi karti hai. Pattern prices k resistance level par bullish trend ko reject karke prices ko teezi k sath nechay ki taraf push karti hai. Price chart k top area ya high bullish trend main aksar demand ki kami hoti hai, jiss se market ko trend reversal ka samna karna parta hai. Lekin jab prices k top par ziada selling pressure ki waja se prices teen lagatar bearish candles bananti hai, to ye pattern aik three black crows pattern banta hai, q k pattern ki teeno candles black crows ki tarah hoti hai, jo k aik dosre k baad banti hai. Pattern main teeno candles aik strong real body main banti hai, jiss k upper aur lower sides par shadow bohut kam size main hota hai.
Bullish Homing Pigeon Ka Istemal Kese Kia Jata Hai?
Three black crows candlestick pattern prices main aksar strong calendar events, news, fundamental impacts ya social impacts ki waja se prices k top par banta hai, jiss ki waja se prices teezi k sath down-fall shoro karti hai. Pattern par trading candles k size k mutabiq kia ja sakta hai, yanni agar candles strong real body main long size main banti hai, to iss k leye trwnd confirmation ki zarorat nahi parti hai, lekin prices ka high area ya bullish trend main hona zarori hai. Lekin pattern uss waqat invalid ho jayega, jab pattern k baad aik bullish candle banegi. Indicator par trend confirmation k leye overbought zone ka hona zarori hai, jiss k baad hi entry karen. Stop loss pattern k sab se top position ya pehli candle k high price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим