Assalamu Alaikum Dosto!
Trend
Financial price charts pattern main kisi bhi assets ki movement hamesha aik tarteeb k hisab se hoti hai. Wese to humen normal small timeframes main in movement ka sahi tareeqay se andaz nahi hota hai lekin jab bhi hum in prices ko long term k timeframe main dekhte hen, to humen mukamal tawar par wazih ho jata hai, k prices aik tarteeb k hisab se aik semat main ja rahi rahi hoti hai. Lekin yahan par ye baat bhi note karen k ye prices humesha ussi semat har waqat movement nahi karti hai, bulkeh time k hisab se kabhi kabhi apna semat badalti bhi hai.
Jab bhi qeematen ya prices aik direction ko follow karti howe jati hai, to uss amal ko prices ka trend kaha jata hai. Trend k dowrran prices aik hi waqat main hamesha aik hi path ya semat ko follow karti hai. Trend jab bhi apna semat badalti hai to uss waqat uss par Kuch beroni anasir asar andaz hoti hai, jiss ko fundamental affects kehte hen.
Trend Identification
Trend ki indication hamesha aik hi semat main prices ka move karn ahota hai. Lekin ye movement hamesha k same semat main bulkul 45 degree ya uss se ziada par nahi hota hai, bulkeh waqatan pa waqtan prices kuch lamhe k leye trend k against bhi chalti hai, jiss ko consolidation kaha jata hai. Consolidation hamesha kuch waqat k leye prices ko apne semat ko durust katne ka amal hota hai, jiss ka baad qeematen wapis apni semat ko follow kartti hai.
Trend ko indification aik straight line hoti hai, jiss main prices ka higher high ya lower lows ko melaya jata hai. Jiss prices ka lower lows ko jo line connect karti hai, wo bullish trend ya uptrend hota hai, jab k higher high ko connect karne wali line bearish trend ya downtrend hoti hai. Aik aur line jiss main prices seedhi semat main chalti hai, wo prices ka sideways trend hota hai, jiss ko ranging bhi kaha jata hai.
Trend Types
Trend ko aam tawar par teen aqsaam main taqseem kia jata hai, jiss main upward jane wale prices k trend ko bullish trend, downward wale ko bearish trend jab k straight prices movement ko sideways ya ranging trend kaha jata hai, jiss ki tafseel darjazzel hai;
Bullish Trend Bullish trend main prices ka lower lows ko melaya jata hai, jiss se aik 45° ka ya uss se kam ya ziada ka line ban jata hai. Ye trend line kisi assets ki value main izzafa dekhati hai, jiss se uss assets ki prices waqtan pa waqtan barh rahi hoti hai.
Bearish Trend Bearish trend bullish trend k complete opposite direction main banta hai, jiss main prices k value k lower lows ko mela kar line khenchi jati hai. Ye trend line assets k values main kafi ka ishara deti hai, jiss main prices time to time downward jati hai.
Sideways Trend Sideways trend baqi dono trend lines se mukhtalif hota hai, iss trend line k doaran prices seedhi movement karti hai, jiss main kisi assets k prices ko bare breakout ka intezar hota hai, q k ye trend line ziada relaib nahi hota hai, jiss main hamesha aik assets ki value same nahi rehta hai.
Trend Is Your Friend!
Trend is your friend wala mukalema iss waja se forex trading main ziada mashahoor hai, q k prices in trend lines main bullish, Bearish ya sideways movement karti hai, jiss se traders in trendline ko follow karte howe trading karte hen. Bullish trend line par hamesha k lye buy ka trade entre karen, jab k bearish trend line par bearish aur sideways trend line k leye analysis ki madad se semat ka tayun hone k baad entry karen. Bullish aur bearish trend line main semat wazih hota hai, jab k sideways trend line main muhtat trading karni parti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим