Morning Doji Star Candlestick Pattern
Morning doji star pattern aik unique qissam ka hai ajr bohut kam hi prices main nazzar atta hai. Ye pattern teen candles par mushtamil hotta hai. Jiss main 1st candle aik strong black trend ki alammat hotti hai, aur 2nd candle aik doji candle (umoman doji star candle hotti hai, lekin zarori nahi hai) hotti hai, jo k black candle se gap main open aur close hotti hai. Last candle aik white candle hotti hai, jo k doji candle se above gap main open aur close taqreeban 1st candle k midpoint se ziadda ya black candle k open price k barabar hotti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Morning doji star pattern aik bullish trend reversal pattern hone ki waja se qeematon ka pehle se bearish trend ya lower area me hona chaheye.
- Pattern teen candles par mushtamil hota hai, jis me 1st candle aik black candle hoti hai.
- Pattern ki 2nd candle aik doji candle hoti, jo 1st candle k bottom par banti hai.
- Pattern ki 3rd candle aik white candle hoti hai, jo dori doji candle k upper par banti hai.
- Pattern ki 1st aur 3rd candle ka 2nd candle se lazmi gap hona chaheye.
- Pattern ki 1st aur 3rd candles lazmi real body me hone chaheye.
Pattern ki Tafseel
Morning doji star pattern prices k downtrend ya low price area main bannta hai, jahan se ye trend reversal ka kaam kartta hia. Morning doji-star candlestick pattern teen candles par mushtamil aik trend reversal pattern hai, jiss main 1st candle color main black ya red yanni bearish trend wali candle hotti hai, ye candle long real body main banne ki waja se bearish trend ki mazbotti ki alammat hotti hai. Pattern ki 2nd candle aik doji candle hotti hai, jo k prices ko temporary pause kar detti hai aur iss candle ka opening aur closing price same hotti hai. Ye candle 1st candle se gap main nechay ki tarraf bantti hai. Pattern ki 3rd candle aik strong white candle hotti hai, jo k 2nd candle se gap main open hoti hai aur close black candle main ya uss se upper ja k hoti hai.
Pattern par Trading ka Amal
Morning doji star pattern par market aap ko buy ki entry karnni paregi, lekin pattern par bagher trend confirmation k trade lagana bohut ziadda riski hai. Ye pattern banntta to bearish trend main hai lekin ye zarori nahi k prices lazmi bullish reversal hongi. Pattern par trade se pehle dosre technical indicators se market ki trend confirmation karlen, agar market ki confirmation price action jaise pattern k baad agli candle bhi white banti hai to ye trend confirmation ho jati hai. Confirmation candle k baad market main buy ki entry karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим