What is lot size and stop loss in forex trading?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is lot size and stop loss in forex trading?
    INTRODUCTION!
    AOA! kya hal he ap ka umeed krti ho sb khyrit se ho gy. Dear members jesa k hm jante he k forex trading ak aysi job hme ak kamab treder bna skta he.or hme is me buht mehnt ki zrurt hoti he trading k liy hmare pas experience hona chahey tb hi hm ak kamyab terder bn skte he. Dear members aj hm forex monet management k bare me bt kre gy..

    WHAT IS MONEY MANAGEMENT IN FOREX TRADING?
    Dear members Forex Main money management Had sy zada Ahmiyat kah hamil bap hn lakin Badkismati sy traders ki aksariyat iss ko nazar andaz kar dati hn jis ki waja sy dino main tamaam sarmiya khatam ho jata hain.Money Management ko Mutasir Hum MM lakiye gaye.MM main do Cheza has ahmiyat kah hamil hain. Members is ko hm money management khy gy.

    Click image for larger version

Name:	images (18).jpeg
Views:	10
Size:	35.7 کلوبائٹ
ID:	12527227
    WHAT IS STOP LOSS?
    Agr Prices Ap ki traders k Mutalif simaat chalny lagye Toh ap kah balances kam hona start ho jata hn or ap ki trade nuqsaam main hoti hn iss nuqsaan ko aik had main rakna chaiye iss ko trade risk kahta hn.Trade Risk kitna hona chaiye iss main different tarika hota hn.Stop loss na ho toh itna kam hona chaiye k price k zariya iss ki muhtalif simat main harkat sy ap ka stop loss hit ho jata hn or trade close ho jati hn.iss ko na he itna zada hona k agr ap trend tabdeel ho jaye toh Retracement ho rhye ho toh Kafi nuqsaan k bad trade close ho jati hn iss k liya suppport or resistance ko buniyad bana better rahta hn Yeh phir pechala candles k shadow ap tor per naye traders yeh samjta hn k ahaar price wapise aa jaye gi iss liya woh stop lss nahi lagta.Yeh bhot bari hamakat hoti hn.is ko stop loss khte he.***************
    Click image for larger version

Name:	stop-loss-order.png
Views:	30
Size:	22.8 کلوبائٹ
ID:	12527226
    CHOOSING LOT SIZE KYA HE?
    Dear members Kamiyaab Tradering K liya Sahi lot size ka intkhan karna buht zaroori hota hn.For Example Traders kisy andaaza sy lot size kah intehaab karta hn.Agr iss ko samjta hn toh trends Up or confirm hn toh bagar sochye samjye apny balances sy zada lot laga lata hn.or agr prices ulat chalna start ho jaye toh Balances agr kam hota hn tooh iss liya jaldi hatam be ho jata hn.lot size ahtiyaar karna k liya aik formula ki website per majooda hn iss ko har trade sy pahlye istimal karna chaiye.Iss kah fida yeh hn k kahye traders main nuqsaan k bad be mazeed traders k liya ap k pas balances bacha rahta hn or ap market sy bahir nahi hota.

    Click image for larger version

Name:	images (19).jpeg
Views:	1
Size:	20.4 کلوبائٹ
ID:	12527228
    منسلک شدہ فائلیں
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is lot size and stop loss in forex trading?

    Lot Size In Forex Trading


    Forex trading me "Lot" aik standard ikaye hai, jo k trader k open position k volum ki measurment k leye istemal hota hai. Lot size ki calculation risk management system k zarye se kia jata hai. Forex trading me aik behtar trading system banane k leye lot size k bare me knowledge rakhna bohut zarori hai. Lots ka taluq direct hujam k sath hota hai, aur hujam ko lots me hi measure kia jata hai. Lot size hamesha risk level ko mutasir karta hai. Forex trading me lot size ka volum jitna ziada hoga to risk bhi us k hisab se ziada hoga. Risk management me aik model shamil hota hai, jo trader ko forex trading market me risk level, utaar-charo (stop-loss aur take profit) aur leverage ki bunyad par standard lot ki ziada se ziada miqdar ka hisab lagane ki ijazat deta hai.
    Forex trading me aik standard lot 100,000 base currency units par mushtamil hota hai. For example, agar EURUSD currency jore ka current rate 1.1845 ho, to aap ko 1 lot position open karne k leye 118,450 base currency units chaheye hongay. Is ka matlab hai k aap ko 100,000 euros chaheye hongay 118,450 US dollars buy karne k leye.
    Base currency wo currency hoti hai jo dosri currency k leye buy ya sell ki jati hai. Ye hamesha quote currency se pehli ati hai. Yani aik currency jore ki pehli currency "Base currency" aur dosri currency "Quote currency" hoti hai.
    For Example: Agar GBPUSD currency jore 0.01 lot se trade karna ho, aur jore ki current rate 1.30455 ho, to aap ko 1304.55 dollars chaheye hongay 1000 GBP khareedne k leye.
    Isi tarah se EURAUD currency jore pe agar 0.01 lot se trade karna ho aur jore ka current rate 1.60635 ho, to aap ko 1606.35 AUD required hongay 1000 EUR khareedne k leye.
    1 Standard lot size k base currency k 100,000 units ki value dosre mutaleqa (quote) currency hote hen. Dosre stocks jaise metal, energy waghera k leye units badal jate hen, jaise gold ko Once me measure kia jata hai, jab k oil ko barrel me.

    Click image for larger version

Name:	images (555).jpeg
Views:	5
Size:	21.8 کلوبائٹ
ID:	12421246

    Standard Lot Size

    Standard lot size aik broker k trading k leye faraham karda sab se ziada mumkina muahede ka size hai. Standard lot size me 100,000 units hote hen. Yani agar EURUSD ka current rate 1.23456 ho to 1 standard lot size k mutabiq 100,000 EUR khareedne k leye 123456 USD ki zarorat paregi. Standard lot size ko mazeed chote sizes me taqseem kia jata hai, jo k mini, micro aur nano lot size ban jate hen. Forex trading me sab se ziada 100 standard lot size tak hi aik trade open ki ja sakti hai.
    Maximum lot aik transaction k leye lots ki maximum tadad hai,
    Misal k tawar par, 5 standard lots 5 × 10 = 50 oil barrel jab k 5 mini lot 5 × 1 = 5 oil barrel hongay.

    Mini Lot Size


    Aik mini lot (minilot) standard lot k 0.1 ya 10,000 base currency unit hote hen. Mini lot size standard lot k 10% k barabar hota hai, jis me traders 10,000 base currency units ki trading karte hen, is waja se is k leye kam volume ki zarorat hoti hai.


    Micro Lot Size


    Aik micro lot size (microlot) me standard lot k 0.01 ya 1,000 base currency units hote hen. Micro lot size mini lot size ka 10% jab k standard lot size ka 1% banta hai. Is me trader 1,000 base currency units me trading kar sakta hai,is waja se is k leye mini lot se bhi kam volum ki zarorat hoti hai.

    Nano Lot Size


    Aik nano lot size (nanolot) me standard lot k 0.001 ya 100 base currency units hote hen. Nano lot size micro lot size ka 10%, mini lot size ka 1% jab k standard lot size ka 0.1% banta hai. Ye sab se small lot size hai, is waja se is k leye sab se ziada kam sarmaye ki zarorat hoti hai. Nano lot size me 100 base currency units me trade ki ja sakti hai.

    Note: Nano lot size ko aam trading account ya standard trading account me muhaya nahi kia jata. Is k leye alehda se cent account banaye jate hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X