Stochastic Indicator In Forex Trading
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Stochastic Indicator In Forex Trading
    Introduction:
    Aslamulikum Umeed karta hu sub kahriyaat sy ho gaye jaisa k hum janta hain forex aik bhot he bari market hain iss main daily basis per 5 trillion dollar ki traders hoti hain or iss market main bhot sy expert bhot he acha profit banta hain Q k yeh sub unka analysis per depent karta hain hum be iss main aik expert traders ban sakta hain or iss market main aik acha profit bana sakta hain yeh sub humeri analysis per depent karta hain humain be iss main kam karna k liya acha sy analysis karna chaiye joh humain iss main aik expert trader bana sakta hain jis main kam kar k aik expert ban sakta hain.



    Stochastic:


    Kuch indicators cycles ki shape main hota han jin main aik stochastic han.





    Iss ki reading 0 sy start hoti hain Or 100 hoti hain.Reading 22 sy necha jaye toh oversold mean ab price k mazeed necha jana k chances kam han traders ab prices buy karna k liya tyari kar rhye han.Reading 80 sy uper jaye toh Overbought mean ab prices k mazeed uper jana k chances kam han.Traders Ab price Sell karna k liya tyari kar rahye han


    Or Hum jaisa new trades inn indicators ko follow kar k iss main bhot he acha profit bana sakta hain or humain iss mein mehnat karni chahiye thky hum inn indicators kah acha sy acha use kar sakye the human yeh indicator acha profit daa sakye or hum iss main success pah sakye or acha profit bana sakta hain humain inn indicators ko use krna sy phalye aik month at least use karna chahiye jis sy humain inn indicators kah acha sy use kar k bhot he acha profit bana sakta hain or iss main mazeed achi sy achi learning kar sakta hain or iss business main success pah sakta hain.

  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Stochastic Indicator In Forex Trading

    Stochastic Oscillator


    Introduction


    Stochastic oscillator aik aham tool hai, jis ko technical analysis me leading indicator k tawar par istemal kia jata hai. Ye qeematon k overbought aur over-sold zone, signals divergences aur short term trend ka long term trend k sath comparison k bare me tareeqay kar faraham karta hai. Stochastic indicator aik makhsos waqat k dowran latest closing qeemat ko price action k total range k sath comparison karta hai.
    Stochastic indicator ki value 0 aur 100 k darmeyan hoti hai. Indicator k high-stochastic k matlab hai k muntakhib waqat k dowran qeemat k upper range k qareeb hai. Jab k low-stochastic me qeemat peroid k low range k qareeb hoti hai. Jab bhi qeematen bullish jati hai to stochastic oscillator k lines bhi upward rang k qareeb hai, aur qeematon k lower jane par lines lower range k qareeb hoti jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (957).png
Views:	11
Size:	3.8 کلوبائٹ
ID:	12421185

    Stochastic Oscillator Calculation


    Stochastics Oscillator me do lines %K aur %D lines par mushtamil hota hai. %K line ko "raw stochastic" ya fast %K, bhi kaha jata hai, jo k bohut ziada sensitive hpti hai. %K line ka formula kuch is tarah se banega;

    [B](Close) - (Low of N) / (High of N) - (Low of N) × 100 = %K

    Close = current close
    Low of N = low of the range during the period used
    High of N = high of the range during the period used[/
    B]

    Mandar-bala formula me "100" value ko percentage me badal deta hai. Agar aaj ki close price period k high k barbar hai to fast %K "100" hoga. Yahan par period se murad koi bhi timeframe jaise Day, week yahan tak k intraday (jaise pe ghanta) bhi ho sakti hai. 19,14 aur 21 aam peroid ya ziada istemal hone wale periods hen.
    Fast %K line bohut zyada volitile hoti hai, is waja se is ko smooth karne k leye "%K" k value k last three moving averages ko hi leya jata hai, in teen %K k moving averages ko Slow %K kaha jata hai. Ziada tar traders Slow %K line ko Fast %K line par tarjeeh dete hen.
    Slow %K k moving average ko mazeed smooth banane k leye is ka 3-day moving average leya jata hai, jis ko %D line kaha jata hai. Yani %D line further moving average ka aik moving average hota hai. %K line aur %D line me faraq maloom karne k leye in dono lines ko baghawar dekhne k baad, jo line long term trend ki information de wo %D line hogi, jab k short term trend wali line %K ki moving average hogi.

    Click image for larger version

Name:	download (1) (27).png
Views:	1
Size:	5.3 کلوبائٹ
ID:	12421186

    Trading on Stochastic Indicator


    Ziada tar traders stochastic indicator ko overbought aur over-sold zone me banne wale divergence k trading k leye istemal karte hen. Lekin stochastic oscillator ko dosre tareeqon k mutabiq bhi trading k keye istemal kia ja sakta hai.
    Kuch analyst k mutabiq jab bhi %K line %D ko nechay se cross karti hai, to ye sell signal hoga, aur agar %K line %D line se upper chali jati hai, to ye buy ka signal hoga. Ye trading strategy same do moving averages k cross over technique jaisa hi hai.
    Aik dosra tareeqay kar ye bhi hai k jab bhi %D line 25% ya us se nechay jaye aur %K line bhi %D se upper ho to ye buy ka signal hoga. Lekin us k bar-aks agar %D line 75% ya us se ziada ho aur %K line %D line se nechay ho to ye sell ka signal hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (548).jpeg
Views:	26
Size:	33.7 کلوبائٹ
ID:	12421187

    اب آن لائن

    Working...
    X