Assalamu Alaikum Dosto!
Long Upper Shadow Candlestick
Long upper shadow candlestick aik long Upper tail k sath short body ki candle stick pattern banti hai. Candle ki open aur close price aik dosre k qareeb hone chaheye. Ye candle dekhne main doji candles ki tarah lagti hai, lekin doji candlestick se mukhtalif hoti hai, q k doji candlesticks me body banti hi nahi hai aur is me short body hoti hai. Long upper shadow candlestick ki aik ooper lamba saya is baat ka ishara karti hai, k ab yahan se price reject ho gaye hai. Is waja se wo dosre(reversal) semat me apne trend ko continue karti hai. Is me trend ki semat (reversal) change nahi hoti hai bulke jo candlestick long upper shadow banti hai us k tail ki reversal trend shoro hoti hai. Long upper shadow candlestick pattern bearish aur bullish dono tarah ki candle main ho sakti hai, lekin market aur prices k ziada upper area main hone ki waja se ye bearish trend reversal k leye ziada mashahoor candles hai.
Candles Formation
Long upper shadow candlestick candle prices k top main kam supply aur ziada demand k natijay main wajood main ati hai. Ye candle aik strong reversal k leye jani jati hai, jo k upward side main kisi bhi color ki real body main ho sakti hai. Candle ki formation darjazzel tarah se ho sakti hai;
Long Upper Shadow Candle: Long upper shadow candlestick agar prices k top main banti hai, to ye bullish ya bearish dono main se jiss color main bhi ban jaye, ye bearish candle hi tasawar ki jati hai, q k ye point trend reversal ki position ho sakti hai. Candle k leye prices k position zarori hai, color nahi hai.
Explanation
Long upper shadow candlestick price chart par aksar top ya bottom prices par nazar ati hai aur aksar issi position prices reversal ho jati hai. Ye candle aik spike ki sorat main nazar ati hai, jab bhi kisi strong news ki waja se prices teezi k sath upward rise karne k baad wapis apne lower open price k qareeb ja kar close hoti hai. Ye candle aik long upper shadow k sath hoti hai, jiss k lower side par aik small real body hoti hai. Candle k lower side par small wick banne se candle ki performance par koi asar nahi parta hai, lekin ziada lamba shadow banne se candle ki hososeyat neutral ho jayi hai. Real body ka color kisi khas pattern ka hona zarori nahi hai, lekin iss candle ki upper prices main hona ziada aham hai. Dekhne main ye candle top prices par banne wali shooting star candle ki hi tarah lagti hai.
Trading
Long upper shadow candlestick prices k top main ziada bullish pressure parne par banti hai, jiss se aik small real body ki candle k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k candle k real body se taqreeban dugna ya uss se bhi ziada banta hai. Ye candle aik strong bearish signal genrate karti hai, jiss par confirmation k baad sell ki entry ki ja sakti hai. Confirmation candle ka bearish real body main hona zarori hai, jab k bullish candle banne se ye candle trading k leye invalid ho jati hai. CCI, RSI indicator aur stochastic oscillator par value overbought zone main trade karni chaheye, jis se confirmation aur bhi ziada mustehkam hoti hai. Stop Loss pattern k sab se top position ya candle k shadow k upper side par jo k prices k leye resistance level hoti hai, se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим