*Bunyadi jaiza(fundamental analysis)
✓Fundamental analysis ka impact financial market par bohut ziada arsa tak rehta hai, jis ki waja se is analysis ki importance bhi utni hi ziada aham ho jati hai. Fundamental asarat ki wajohat mukhtalif ho sakti hai, jis me political, social ya economical wajohat shmail hen. Fundamental analysis k leye zarori hai k market me trader ziada arsa tak rahe, q k is ki waja se qeematen aram aram se apne ahdaf ki taraf jati hai. Fundamental wo teen wajohat jin ki waja se financial markets bohut zyada mutasir hoti hai, us ki tafseel darja-zel hai;
*(Economical Fundamental Analysis.)
*(Mashi bunyadi jaiza.)
*(Mashi bunyadi jaiza.)
✓Fundamental analysis se jo financial market sab se ziada mutasir hoti hai wo hai, economical fundamental effects. Jab bhi kisi mulk ki maashi (economical) soratehal kharab hoti hai to is se us mulk ki currency de-value ho jati hai, aur economical crises ana shoro ho jate hen. Economical crises me 2008 ki Lehman brothers ki bankruptcy hamare pass aik bari misal hai. Lehman brother ki kharab economical situation ki waja se pori dunya me economical crises shoro ho gaye the.
*(Social Fundamental Analysis.)
✓Social fundamental analysis bhi financial market k leye aham hen, q k is ka asar bohut ziada arsa k leye financial market me hota hai. Social economic crises me Corona waba ki situation hamare samne hen, jis ne kuch hi arsa me pori dunya ko apne lapait me le leya. Crorna waba k masayel teesre saal me dakhel ho gaye hen, lekin abhi bhi is waba par koi mouasar qabo nahi hasil howa hai.
*(Political Fundamental Analysis.)
✓Political situation bhi financial masayel ka bahis banti hai. Political masayel jaise America-China trade war, America-Iran neuclear crises waghera hamare global financial market pe bohut bore asarat muratab karte hen. Political situation k asarat bohut zyada gehre aur kafi arsa tak hamare financial market me rehte hen.
*(Fundamental Analysis aur Calendar Events.)
✓Fundamental analysis aur calendar events se market per mukhtalif asart muratab hote hen. Fundamental analysis ka impact bohut zyada arsa tak hota hai, jab k financial events k asarat mehdod mudad k leye hote hen. Financial events weekly lehaz se badalte rehte hen jab k fundamental analysis se market aik taraf musalsal trend me rehta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим