Bearish Pin Bar Candlestick Pattern
Bearish pin bar candle qeematon k top par bullish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen downward gerna shoro ho jati hai. Bearish pin bar candle price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k lower side par shadow nahi banta hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Bearish pin bar candle aik single candle pattern hai, jo prices k top ya bullish trend main banti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai.
- Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
- Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
- Candle k lower side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
- Ye candle normal prices me neutral hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Bearish pin bar candle aik single candle pattern hai, jo k qeematon high area ya bullish trend main ban kar bearish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye resistance level sabit hota hai. Bearish pin bar candle me qeematen upper side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.
Pattern par Trading ka Amal
Bearish pin bar candle ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle top trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik black candle ka hona zarori hai, jis par market me sell ki entry ki ja sakti hai. Candle ka high shadow strong resistance level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим