Bearish Counter Attack Line Pattern
Bearish counterattack line pattern do candles par mushtamil hota hai, jiss main 1st candle aik white candle hoti hai, jab k 2nd din ki candle aik black candle hoti hai. Pattern ki 2nd din ki black candle 1st day ki white candle k current trend k asarat ko kam karti hai, ynni black candle white candle k upper side par gap main khulti hai, jab k close ussi se darmeyan main open point se pehle close hoti hai. Pattern ki black candle white candle se ooper gap main open hoti hai.
Pattern ki Pehchan k Rules
- Bearish counterattack line pattern aik bearish trend reversal pattern hone ki waja se qeematon ka pehle se high price area ya bullish trend me hona zarori hai.
- Pattern ki 1st candle aik white candle hoti hai.
- Pattern ki 2nd candle aik black candle hoti hai.
- Pattern ki dono candles shadow samet ya shadow k bagher ho sakti hai, lekin real body hamesha shadow se ziada honi chaheye.
- Pattern ki 2nd candle 1st candle se top gap me open ho kar usi k same close price par close hoti hai.
Pattern ki Tafseel
Bearish counterattack line pattern prices k bottom par ya bullish trend main ban kar market ka trend bearish reversal bana deta hai. Pattern main shamil dono candles real body main honi chaheye, jiss main 2nd candle 1st candle se se ooper gap main open hoti hai. Pattern ki banne ki psychology kuch iss tarah se hai, jiss main buyers price ko pehle ooper push karte hen, jiss se black candle white candle se ooper gap main open hoti hai, lekin baad main buyers ki prices k top main mazeed dilchaspi nahi rehti hai, aur ussi waqat sellers market main ziada active ho jate hen.
Pattern par Trading ka Amal
Bearish counterattack line candlestick pattern trading k leye aik strong bearish signal deta hai, jiss se sellers market main entry karte hen. Pattern k baad aik black confirmation candle ka hona zarori hai, jo k real body main honne k sath sath 2nd candle k bottom par close honi chaheye. Lekin white candle banne ki sorat main trade entre karne se parhez karen. Pattern do candles ka hota hai, iss waja se stop loss ka istemal zarori hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим