Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Abandoned Baby Candlestick Pattern
Bearish abandoned baby candlestick pattern prices chart par buyers ki market main dilchaspi khatam hone aur market ka sellers k hathon main jane ka aik strong bearish trend reversal pattern hai, jo teen candles par mushtamil hota hai. Ye pattern prices k top par ya high prices area main banta hai. Ye pattern teen candles ka hone ki waja se single candle pattern ya double candles patterns ki nisbat ziada picheeda aur dilshasp hota hai. Ye pattern wese single day candle aur two days candlestick ki nisbat price chart pat bohut kam dekhte hen, lekin un ki nisbat ye karkardagi main ziada reliable hote hen.
Candles Formation
Bearish abandoned baby candlestick pattern ka shumar bhi bearish trend reversal pattern main hota hai, jo k prices k top ya bullish trend k baad banta hai. Bearish abandoned baby candlestick pattern main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki pehli candle aik long real body wali bullish candle hoti hai, jo k prices k sabeqa bullish trend ki alamat hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jiss real body shadow ki nisbat ziada hoti hai.
2. Second Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki dosri candle aik bagher wali doji candle hoti hai, jo ziada tar doji-star candle hoti hai. Ye candle small upper aur lower shadow k sath hoti hai, aur ye candle pehli bullish candle k top par banti hai, jiss ka open aur close same point par hota hai.
3. Third Candle: Bearish abandoned baby candlestick pattern ki teesri candle aik bearish candle banti hai, jo k sabeqa trend ka khatema karke new bearish trend reversal ka sabab banti hai. Ye candle strong bearish candle hoti hai, jiss ka upper ya lower side par small wick ho sakti hai, lekin ye doji-star candle se below side par gap main banna chaheye.
Explanation
Bearish abandoned baby candlestick pattern price chart k top par ya bullish trend k baad banta hai, jo k teen candles par mushtamil hota hai. Pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya top trend ki alamat hoti hai. Ye candle aik strong position par hoti hai, jo prices ko upward push karti hai. Pattern ki dosri candle aik bagher real body wali doji candle hoti hai, jo k ziada tar aik doji-star candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par banti hai, aur ye candle wese to yahan par neutral role play karti hai, lekin iss ka shumar aik bearish candle k tawar kia jata hai. Pattern ki akhari candle aik bearish candle hoti hai, jo k dosri candle k bottom par banti hai. Ye candle bearish trend reversal ka kirdar ada karti hai.
Trading
Bearish abandoned baby candlestick pattern prices k top par banne ki waja se bearish trend reversal k leye aik strong signal deta hai, jiss par traders market main sell ki entry kar sakte hen. Pattern par trading karne se pehle traders k leye aik confirmation candle ki zarorat pare gi. Ye confirmation candle real body main bearish bhi honi chaheye aur teesri bearish candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern k baad bullish candle banne se pattern par trading loss ka bahis ban sakti hai. Jab k pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss par value overbought zone main honi chaheye. Stop Loss pattern k sab se top par ya dosri candle k high price se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим