Shooting star candlestick

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Shooting star candlestick
    Long Upper Shadow Candlestick Pattern


    Shooting star candlestick qeematon k top par bullish trend ki tabdeel ka zarya banti hai, jiss se qeematen downward gerna shoro ho jati hai. Shooting star candlestick price chart par single candle family se taluq rakhti hai, jis me candle ka aik small real body hoti hai aur iss me candle ka open aur close aik dosre k qareeb hote hen. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya banta hai, jab k lower side par shadow nahi banta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (13).png
Views:	3
Size:	5.1 کلوبائٹ
ID:	12524670

    Pattern ki Pehchan k Rules

    1. Shooting star candlestick aik single candle pattern hai, jo prices k top ya bullish trend main banti hai, jo k bearish trend reversal ka kaam karti hai.
    2. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis me open aur close point aik dosre k qareeb hote hen.
    3. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai.
    4. Candle k lower side par small si wick k elawa koi shadow nahi honi chaheye.
    5. Ye candle normal prices me neutral hoti hai.


    Click image for larger version

Name:	images (14).png
Views:	8
Size:	3.1 کلوبائٹ
ID:	12524671

    Pattern ki Tafseel


    Shooting star candlestick aik single candle pattern hai, jo k qeematon high area ya bullish trend main ban kar bearish trend reversal k kaam karti hai. Ye candle aik small real body ki hoti hai, jis k upper side par aik lamba saya hota hai, jo k prices k leye resistance level sabit hota hai. Shooting star candlestick me qeematen upper side par aik lamba shadow bannane k baad aik dosre k qareeb close hote hen, jiss main aik small real body banti hai, jab k candle ka saya real body ka dugna hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (15).png
Views:	69
Size:	3.9 کلوبائٹ
ID:	12524672

    Pattern par Trading ka Amal


    Shooting star candlestick ko technical analysis k tawar par istemal karne k leye prices ka pehle top trend me hona aham hai. Ye single candle pattern hai, is waja se trend confirmation k leye aik black candle ka hona zarori hai, jis par market me sell ki entry ki ja sakti hai. Candle ka high shadow strong resistance level hota hai, jis par stop loss bhi lagaya ja sakta hai. Candle k baad hi market me entry ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (7).jpeg
Views:	30
Size:	29.0 کلوبائٹ
ID:	12524669
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Shooting star candlestick

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Shooting Star Candlestick


    Shooting star candlestick price chart par bullish trend aur bearish trend k darmeyan main uss waqat banta hai, jahan se prices teezi se gerna shoro ho jati hai. Ye candle aik up-trend k dowran prices k mazeed upside rising ko stop karwa kar aik strong resistance level peda karta hai, jiss se prices bullish jane ki bajaye apna trend badalne par majboor ho jati hai. Candle aik single timeframe main bulls aur bears k market par control hasil karne k nateejay main uss waqat banti hai jab bulls pehle prices ko upward le kar jate hen, lekin din ka akhtetam tak ye prices wapis ger kar apne aghaz wale position k qareeb a kar close hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (6).jpeg
Views:	9
Size:	17.7 کلوبائٹ
ID:	12389102

    Candles Formation


    Shooting star candle ki reliability ka inhisar price chart par muntakhib karda timeframe par hota hai, jitna ziada timeframes lamba select hoga, candle ki haseyat ziada strong banti jayegi. Shooting star candle price chart par darjazzel hososeyat k sath banti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (4) (8).png
Views:	4
Size:	5.0 کلوبائٹ
ID:	12389103

    Shooting Star Candle: Shooting star candlestick bullish trend main bulterteeb buying aur selling pressure ki waja se banti hai, jiss main candle ki ziada tar hososeyat bearish trend ki hoti hai. Ye candle small real body main hoti hai, jiss ka upper side par aik long shadow hota hai. Candle ki real body bullish aur bearish dono ho sakti hai, lekin ye candle bearish candle hi shumar hoti hai.

    Explanation

    Shooting star candlestick price chart par bulls aur bears k dabao ki waja se aik small real body ki candle banti hai. Candle k upper side par aik lamba shadow ya saya hota hai, jo market main prices k upside par strong resistance ko zahir kia jata hai. Candle k lower side par aik small real body hoti hai, jiss main prices aik dosre k qareeb close hoti hai. Ye candle aik long timeframe main ziada moasar hoti hai, jo agay market main tabdeeli ki akasi karti hai. Candle k lower side par wese to bara shadow nahi hona chaheye, lekin aik small si wick acceptable hai, jo ziada lamba nahi hona chaheye, jiss se candle k shape main tabdeeli peda kar sakti ho.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (7).png
Views:	3
Size:	7.0 کلوبائٹ
ID:	12389104

    Trading

    Shooting star candlestick par trading bhi deegar single candle pattern ki hi tarah se ki ja sakti hai. Ye candle aik strong aur long timeframe main hona zarori hai, q k small timeframes, jiss ko short term k trading main istemal kia jata hai, main ye candle bohut ziada kasrat se bante hen. Ye candle aik bearish signal deta hai, jiss par trading aik bearish confirmation candle k baad ki ja sakti hai, jo iss k baad lazmi lower side par close honi chaheye. Lekin agar iss k baad bullish candle banti hai, to iss ye candle trading k leye mazeed kaar-amad nahi rehti hai, jiss par market main entry nahi karni chaheye. Candle par Stop Loss sab se top position ya shadow k high price se two pips above set kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (4) (6).png
Views:	26
Size:	17.1 کلوبائٹ
ID:	12389101
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: Shooting star candlestick

      Shooting star pattern:-

      Definition:-

      Friends Shooting star pattern Ek Aisi candlestick Hoti Hai Jiski body bahut Chhoti hoti hai aur iski Wick isase Kafi lambi banti hai Jab Bhi market Mein Ja candlestick banti hai aap isko easily pahchan sakte hain ki yah shooting star pattern ban raha hai. Shooting star bearish candle pattern Hai jab market ke andar shooting star banta hai to use Waqt Ham market ke movement ko acchi Tarah Se analysis kar sakte hain Kyunki H1 ,H4 ,w1 ke andar shooting star banta hai to use Waqt market k downtrend Mein move k bad zyada chance hoty hai use Waqt Hamen acche entry Lekar profit hassil kar sakte hain . Jab market main moslsal uptrend ke bad market shooting star candle pattern banati Hai To Ham ismein confirm Sell ki entry Le sakte hain mgar Hamen chahie ki Ham money management ka istemal karte hue entry Le Kyunki ho sakta hai ki market shooting star pattern ko follow na Karen Kyunki market Kisi bhi pattern ko 100 percent follow Nahin Karte Agar market ke andar shooting star banta hai aur ham big lot size ka istemal karte hain aur jaldbaji Karte Hain To Is Tarah Hamen profit Ki Baje loss ka Samna karna pard sakta hai forex market ke andar aapko Kitna hi Achcha strong analysis Kyon Na Mile aapane Iske andar money management ko follow karte hue kam karna hai.

      Click image for larger version

Name:	8117268f8c0a3abc5d51b702467e479d.gif
Views:	30
Size:	17.2 کلوبائٹ
ID:	12389123

      Explanation:-

      Friends Shooting star pattern candlestick pattern aapko har timeframe Mein trade de rahi hote hain is market Mein chhed karne ke liye aapko candlestick patterns per study karni hogi Taki aap is market Mein acche tarike se kam kar sake Jo trader is market Mein candlestick patterns ko study kar lete hain uske bad is market Mein acchi tarah trade open kar sakte hain agar aap is market Mein shooting Star petrol ko study karen to yah patron jab bhi banta hai iski confirmation humko Mil jaati hai agar Ham is pattern ko resistance level per find karte Hain to humko is per trade lagane Mein kafi achcha profit Mil jata hai candlestick pattern jitne bhi available hai vah achcha result aapko tab bhi dete Hain jab market kisi resistance level ya sport level per hoti hai to vahan se aapko achcha result Mil jata hai agar yah pattern apni kripa mission nahin dete to aapko is per trade nahin karni chahie kyunki candlestick patterns for trade karne ke liye aapko sath Koi indicator use kar dena chahie yah aapko apne chat per trendline use karni chahie isase aapko yah pata chal jata hai ki market nahin kis taraf munh mat karni hai is market Mein kam karne ke liye aapko analysis karne hote Hain uske bad candlestick patterns aapko achcha result dete Hai. Forex trading may haumay trading may shooting star patterns Kay mutabiq trade open kernay Kay liye sab say pehlay patterns ko confirm karna chahiye iss Kay liye appko active bullish trend ko identify karney ki zarorat hoti hay Jab app shooting star ki madad say market may bullish trend ka pata chala laytay hay to appko phir dosaray signals ka intazar Karna hota hai.

      Click image for larger version

Name:	shooting-star.png
Views:	13
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12389124

      اب آن لائن

      Working...
      X