What is Technical Analysis

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Technical Analysis
    Introduction

    Assalam O Alikum dosto kaise hain aap umeed hay ke aap tamam traders ba kharyat aapna kam pori zimendari ke sath anjam de rahe honge dosto aaj ka hamara topic jo hay woh hay market analiysis ke bare main basicly tor par to analiysis three tiyps ke hain jaisa ke
    1 Technical Analysis
    2 Fundamental analysis
    3 Sentimental analysis

    magar hamara aaj ka topic hay technical analysis technical analysis woh analysis hain jin ke base par kafi ziada trader trading karte hain balke yah kahna chahye ke sab se ziada trading main use hone wale jo technical hain woh technical he hain

    Technical Analysis

    technical analysis Forex market ko analyse karne ki aik esi technique hai jis main ham technical tools and indicators ka use karte huye market ki Future price ko market ki historical price ki madad se smjne ki try karte hai our diffirent indicators and tools ko ham apne Forex chart par draw karte huye next trend ko jan lete hai Forex market main technical analyssi method ko use karne k liye hamare pass tools and indicatirs ka proper knowledge hona b zaroori hai tab he aap forex main technicals ke buniyad par acha munafa hasil kar sakte hain dosto umeed hay ke aap ka technical analysis ka jo concipt tha woh clear hogaya hoga
    Click image for larger version

Name:	download (3).png
Views:	1
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12524500

    Advice

    dost waise to har trader ka aapna he mind set hota hay magar mare khayal main technical analysis par to sab trader ke mutfika ray hay ke market main aap ko ache munafe ke liye technical analysis ka knowledge hasil karna chahye tab he aap aik profational trader ke hasyat se trde kar paiyinge
    SHUKARIYA
    Thank you for your attention
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Technical Analysis

    Technical Analysis


    Technical analysis me traders ya analyst qeematon ki bunyadi harkat (movement) ka mutalea (study) karte hen. Analysis k dowran traders qeematon ki pehle movements ko mojoda trading soratehal k sath muwazena karte hen, aur mustaqbil ki movement ka tayun (prediction) karte hen.
    Technical analysis me traders mukhtalif qisam k technical tools ka istemal karte hen, jo humen forex trading plateforme se me mel jate hen. Technical tools qeematon k sabeqa movement ko mojoda movement k sath mushabehat karte hen, jis se wo market k agli situation k bare me batate hen. Market me qeematen hamesha aik khas trend ya aik khas rules k mutabiq movement karti hai, is waja se technical analysis bohut zyada successful rehte hen.
    Technical analysis na sirf traders ko market ki soratehal se agah karte hen, bulke ye traders ko market me entry aur exit ki bhi pori information dete hen. Trading me trading plan k mutabiq take profit aur stop loss ki munasib position k bare me batate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (510).jpeg
Views:	4
Size:	44.6 کلوبائٹ
ID:	12420646

    Technical Analysis me Istemal hone wale Tools:


    Technical analysis aik candle par bhi mumkin hai aur long pattern k chart pattern par bhi muheet ho sakte hen. Is waja se technical analysis karne k leye traders mukhtalif qisam k tools ka sahar lete hen, jin ki tafseel darja-zel hai;

    Candlestick Pattern


    Candle stick pattern mukhtalif shape aur pattern k hote hen, jis me candles ki tadad mukhtalif hoti hai. Candle stick pattern aik candle k bhi ho sakte hen, jaise; doji candle Marubozu candle, Hammer candle waghera. Candlestick ka normal market me ziada amal dakhal nahi hota, lekin agar ye high price area jaise bullish trend ya low price area jaise beariah trend k baad bante hen, tab in ki ahmeyat barhti hai. Candle stick pattern do ya do se ziada candles ho sakti hai, haise bullish and bearish Kicking Pattern, bullish and bearish harami candles, bullish and bearish baby abandoned waghra, shamil hen.

    Chart Patterns


    Technical analysis me chart pattern ka bhi istemal bohut zyada hota hai, aur aksar ye chart pattern long term k traders istemal karte hen, jo k un k leye bohut profitable bhi hote hen. Chart pattern me kafi ziada candles hoti hen, aur in pattern ko malom karna thora mushkil zaror hota hai, lekin ye pattern trading me payedar hote hen. Chart patterns me, bullish and bearish symmetrical triangle pattern, bullish and bearish Pennants pattern, flag pattern, diamond pattern waghera shamil hen.

    Technical Indicators ka Istemal


    Technical analysis k leye sab se ziada technical indicators ka istemal kia jata hai. Wese normal dekhne me to ye indicators itne ziada mushkil dekhaye nahi dete, lekin is ko trading k mutabiq mukamal seekhna thora mushkil zaror ho sakta hai. Technical indicators market ki sabeqa qeematon ko janchte hen aur un se aik khas qisam k result lete hen aur pher us ki bunyad pe humen agli movement k bare me information dete hen. Technical indicator me pehle se mathematically sare formule mojood hote hen, jin hamare asane k leye tarteeb deye hote hen.

    Indicator aur Chart Pattern ka Combined Istemal


    Technical analysis me ziada tar analyst candlestick chart pattern aur technical indicator ka combined karke istemal kia jata hai, jis se analyst behtar result hasil karte hen. Technical indicator k sath price action aur candle pattern market ki movement ka sahi semat batati hai. Ye humen breakout ya breakdown k soratehal se behtar waqif kawati hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X