Major aur Minor pairs ki explanation aur uses,

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Major aur Minor pairs ki explanation aur uses,
    dear friend, forex main mainly three types kay pairs hotay hain jin ma major, minor aur exotic shamil hotay hain, major pairs wo hotay hain jin ma directly dollar involve hota ha aur minor pairs main dollor ki involvement nhi hoti, major currency pairs global level par trade kay liay ziada use hotay hain inki high liquidity ki waja sa ap in kay sath trade kar saktay hain, ziada tar trader sirf pehle he 2 types par trade karny ko prefer karty hain, Ap exotic pair par trade laga kar bethy hain or market unki moment he ni kar rahay to apko profit ya loss kesy ho ga. Market ki movement par he to profit or loss depend kartay hain

    Major pairs:

    Major pairs main wo pairs atay hain jo bhot ziada trading ma use kaye jaty hain. Kiu k ik to un ma liquidity bhot ziada hoti hai dosra unka spread bhot kam hota hai aur third inki brokage cost bhi bhot kam hoti hai. In main USD ki bhi involvement hoti hay, Kuch major pairs ye hai. EURUSD, USDJPY, GBPUSD

    Minor pairs:

    minor pairs main USD shamil nhi hota in ma EUR/GBP, NZD/JPY aur CHF/JPY wagera shamil hain, in ma high spread hotay hain aur liquidity aur volatility b normal hoti ha, in par trading kay liay bhi buyers aur sellers mojood hotay hain lakin major pairs ki nisbat hon gay, asian session kay doran liquidity low hoti ha jiski waja sa spreads high hotay hain, jb kay london aur newyork session ma liquidity high honay ki waja sa spreads low hotay hain, lihaza in pairs par trading kay liay hmain market aur is kay sessions sa aware rehna chaiay
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Major aur Minor pairs ki explanation aur uses,

    Currency pairs


    Forex trading k dowran bayak waqat (simultaneous) aik currency ki agar khareedari ho rahi hoti hai to dosri currency ki ferokht hoti hai. Forex trading me in currency joro ko currency pairs ka naam deya gaya hai, jaise; EUR/USD aik currency jori hai, agar aik trader EURUSD ko sell kar raha hota hai to is ka matlab ye hai k wo EUR ko to bhej (sell) kar raha hota hai lekin sath hi USD ko khareed (buy) raha hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (489).jpeg
Views:	16
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12420447

    Major Currencies pair


    Forex trading me aath (Eight) sab se ziada tejarati (trading karne wali) currencies (USD, EUR, JPY, GBP, CHF, CAD, NZDaur AUD) ko major currencies, jab k baqi currencies ko minor currencies kaha jata hai. Minor currencies me South Africaan Rand (ZAR) aur Singapur Dollar (SGD) shamil hai.

    Click image for larger version

Name:	images (485).jpeg
Views:	9
Size:	30.0 کلوبائٹ
ID:	12420448

    Minor Currency


    Forex trading me cross currencies pair wo currency jore hote hen jis me Americi dollar as a currency shamil (participate) na ho. Cross currency jore me USD k na hone se is ka trading tareeqakar tabdeel hota hai. Agar aik trader EURGBP ko sell kar raha hota hai, to is ka matlab ye hai k wo EURUSD ko sell, jab k GBPUSD ko buy kar raha hota hai. Cross currency joron (pairs) par ziada transaction cost ati hai. Cross currencies pairs me EUR/JPY, EUR/GBP aur GBP/JPY sab se ziada trading hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (486).jpeg
Views:	8
Size:	36.5 کلوبائٹ
ID:	12420449

    Exotic Currency


    Exotic currency joro me aise currency pair shamil hen, jis me aik currency to USD hoti hai aur dosri currency kisi chote mulk ki shamil hoti hai, jaise; Polish Zloty. Forex trading market me taqreeban 25 aise Exotic currency hen, jis me traders tejarat me dilchaspi lete hen. Exotic currency pairs ki liquidity bohut ziada hoti hai, jis me bohut ziada faida nahi hota. Agar EUR/USD ki baat karen to ye maximum 8 pips me trading hoti hai, aur wo bhi market k 24 hours, jab k agar USD/TRY ki baat karen to Asian sessions me is ki pips 100 tak chali jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (488).jpeg
Views:	4
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12420450

    Base Currency



    Kisi bhi currency pair me jo 1st currency hogi, usbko base pair kaha jayega. Currency jora ye dekhati hai k base currency ki value dosri currency k muqabele me kia hai.
    Misal k tawar par (for example) : agar USD/CHF ki value 1.1650 hai, to is currency jore me 1USD (base currency) CHF 1.1650 k brabar hai. American dollar ko hamesha base currency k tawar par hi dekhaya jata hai, sewaye EUR, GBP, NZD aur AUD k. EURUSD currency jore me agar hum EUR ko buy karte hen to USD ko sell kar rahe hote hen.

    Quote Currency


    Quote currency kisi bhi currency jore me dosri currency ko kaha jata hai. Jese USD/CAD currency jore me CAD currency quote currency hai. Quote currency ko pips bhi kaha jata hai q k profit loss ka tahmina is k hisab se hota hai. USD/CAD currency jore me agar hum USD ko sell karte hen to quote currency yani CAD ko buy kar rahe hote hen.

    اب آن لائن

    Working...
    X