Scalping kese ki jati hai...?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Scalping kese ki jati hai...?
    Trading ke liye bahut se mukhtalif tarike hote Hain aur bahut se trader mukhtalif tarikon ke sath market mein trading kar rahe hote Hain kuchh trader market mein long term trading karte hain aur kuchh crator market mein shirt term trading karte Hain bahut se logon ki bahut si strategies hoti hain aur har trader ke liye uski ek apni strateg hoti hai jis tarike se vah trading kar raha hota hai aur jis tarike se use market se munafa mil raha hota Hai vahi tarika hi uske liye best hota Hai hamen bhi chahie ki ham practis Kiya Karen aur ham forex market ko samjhen aur samajh Kar trading Karen taki ham bhi successful aur profitable trading kar saken.
    Scalping ek bahut hi famous tarika hair trading karne ka aur bahut se trader scalping trading karte hain aur market se bahut hi achcha munafa Kama Lete Hain is camping trading trading karne ka ek bahut hi achcha method hai.

    Scalping trading strategy:

    Scalping trading strategy ek shart term trading strategy hai Jo trading ham short term trading ke liye karte hain aur jisko ham market mein bahut hi kam time ke liye trade open karte hain aur FIR bandh kar dete Hain isko ham scale paint rating strateg kahate Hain yah trading strateg bahut hi acchi hoti hai aur isase ham bahut hi kam time mein achcha munafa Kama Lete Hain lekin iske sath sath yah strategy bahut hi dangerous bhi Hoti Hai kyunki is strateg ki vajah se hamara nuksan bhi kafi ho jata hai isliye hamen ek acche experience ki jarurat Hoti Hai tab bhi ham kamyab tarike ke sath trading kar paate Hain.

    Method of scalping:

    Click image for larger version

Name:	images (76).png
Views:	9
Size:	17.4 کلوبائٹ
ID:	12524110

    Scalping karne ke liye jaruri hai ki ham market ke price chart per short term time frames ko analyse karte Hain kyunki scalping karne ke liye hamen thoda sa time chahie hota hai to isliye ham market ke price chart per small time friends ko select karte hain aur inko analysis karte hue ham market mein entry lete hain aur kuchh profit collect karte hue ham market se out ho jaate Hain isko ham scalping kahate Hain is camping ke liye hamen market ke price chart mein M1 M5, m15 ke time friends ko istemal kiya jata hai inse ham market mein bahut hi achcha result le sakte hain aur perfect trading kar sakte hain.

    Candlestick pattern or technical analysis:

    Scalping karne ke liye hamen market ke price chart ko bhi dekhna padta hai aur hamen candles ke analysis bhi karne padte hain kyunki jab tak ham technical analysis acche tarike se nahin kar lete hain use waqt tak ham scalping trading bhi nahin kar paate Hain is camping trading ke liye jaruri hai ki hamare technical analysis bhi perfect honi chahie Jab hamare analysis perfect honge to tab hi hamari trading acchi ho sakti hai isliye hamen Apne analysis ko bhi perfect banana chahie taki ham ijili successful tarike se trading kar sake aur apne account ki management acche tarike se Kar saken Jo trader Apne account ki management acche tarike se kar lete hain aur analysis behtar hote hain vahi successful hote Hain.

    Prose and cons of scalping trading strategy:

    Scalping trading strategy hamare liye ek bahut hi best option hota hai kyunki ham bahut hi kam time mein bahut acchi amount ki arning kar sakte hain aur Market mein successful trading kar sakte hain.
    hamen maarpeet mein kafi time tak vate nahin karna padta hai aur ham bahut hi kam time ke analysis karte hue market se achcha munafa Kama sakte hain.
    Scalping trading ka negative point yah hai ki hamen बार-बार market ke analysis Karne padte hain aur Market mein hamen बार-बार entry leni padati hai jiski vajah se hamara kafi spread bhi charge ho jata hai aur scalp ine trading ham bahut hi kam time ke liye karte hain isliye yah method bahut hi dangerous bhi hota hai isliye hamen perfect analysis aur experience ki jarurat Hoti Hai tab hi ham successful ho paate Hain.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Scalping kese ki jati hai...?

    Scalping Trading Strategy


    "Scalping" forex trading ka aik aisa tareeqay kar hai, jis ka istemal qeematon me choti tabdeelion se kia jata hai. Scalping strategy me musalsal aur pay-dar-pay trading hoti hai. Aik scalper trader ko sakht exit policy ki zarorat hoti hai, q k aik bara nuqsan doasre trading me hone wale tamam chote (small) munafay (profit) ko zaya kar sakta hai, is waja se scalping me trading k sakht discipline, trading plan aur strategy k sakht rules hote hen. In sab awamel aur achay trading tools k sath aap aik kamyab scalper trader ban sakte ho.
    Scalping trading kuch traders k leye bara dilchasp hota hai, q k ye tareeqay kar dosre analysis se kafi mukhtalif hai. Lekin kamyab trading karne k leye, aap ko market me munafa k mawaqay (opportunity) ki nishan-dahi karne k leye mukhtalif technical trading techniques ko sahi tareeqay se sar-anjam dene k leye experience ki zarorat hogi.

    Click image for larger version

Name:	images (482).jpeg
Views:	6
Size:	32.5 کلوبائٹ
ID:	12420359

    Scalping Trading aik short-term trading technique hai, jis me qeematon k darmeyan faraq se muanafa khamane k leye din k dowran bar bar khareedo-wa-ferokht ki jati hai. Scalping strategy me low price pe buy karna aur high price pe sell karna shamil hai. Scalping strategy k leye liquidity ka hona bohut ziada zarori hai, q k smoth market ya sideways movement me kabhi bhi scalping ka amal sahi tareeqay se ya faida mand sabit nahi hota. Liquidity ye bhi yaqeeni banati hai k market me entry ya exit hone k waqat aap ko aik achah profit mele.
    Scalpers ka khayal hai k market k utaar-charo (volitilety) k nuqta-ye-nazar se small trading karna asaan aur kam riski hai, q k wo muqa zaya hone se pehle hi aik chota sa munafa hasil kar lete hen. Scalper trader un long term traders se mukhtalif hote hen, jin k traders bohut lambe arse k leye open hote hen, aur baaz awqaat to ye hafton aur maheeno tak bhi chalte rehte hen, jis se ye muanafa haisl karte hen. Jab k scalper ka mind setup mukhtalif hota hai, aur wo ziada arsa traders open rakhne ki bajaye small time me small profit se achah munafa hasil karte hen.

    Scalpers market me teen osool par kaam karte hen;

    1. Kam waqat k Market me rehna Kam Riski hota hai

    Scalping strategy me scalper market me kam waqat k leye trading karte hen, yani market me open trades ka duraneya bohut kam rakhte hen, is waja se in ka risk bhi kam hota hai.

    2. Kam Movement se Profit asaan hai

    Market me qeematon ka kam movement karne se munafa asani se hasil hota hai, bajaye aik trade ko ziada waqat k leye open rakhna. Market me supply aur demand ki waja se qeematen oper nechay hoti rehti hai, is se scalper asani se faida hasil kar jate hen.

    3. Market me Small Movement ziada hoti hai

    Scalpers pur-sakoon market me bhi profit hasil karte hen, wo market ki choti choti up-down movement se faida mand hote hen, jab k long term traders is se bulkul kuch bhi hasil nahi kar sakte.

    Jab dosre trader jaise positioning trades market me trades k leye technical aur fundamental dono tarah ki analysis karte hen, un ki bajaye scalper market me technical techniques se faida hasil karte hen.

    Technical analysis me maojooda trend ko follow karne k sath sath qeematon ki historical data bhi shamil hoti hai, jis k leye scalper traders mukhtalif chart patterns aur technical tools ka istemal karte hen. Chart pattern aur qeematon ki historical movement se scalpers market ki agli mumkina tabdeeli ka result hasil karte hen.
    Scalper trader jo chart pattern ya timeframe ka istemal karte hen, wo sab se mukhtasir tareen hote hen. Agar aik day-trader aik din me panch (5) trading k leye M5 ka timeframe istemal karta hai, to scalper trader 10 se 100 trading karne k leye S5 (Five second) ka mukhtasir timeframe ka istemal karega. Trading ki is fast techniques ko hasil karne k leye, scalper trader kafi ziada technical tools ka istemal karte hen, jin me market ka "waqat aur ferokht (time and sell)", "buy", "sell" aur "cancel trades" k lain dain ka record shamil hai.

    اب آن لائن

    Working...
    X