Forex trading mein profitable trading ke liye knowledge Ka Hona bahut jaruri hai aur jitna hamen market price chart ka knowledge Hoga utna hi ham successful trading kar sakte hain kyunki Jab hamen price chart ke related knowledge hota hai to tab hi ham technical analysis ko behtar banaa sakte hain aur tabhi hamari trading behtar ho sakti hai.forex market main kaam kartay huway sab say ziada problem wali baat yeh hoty hai k market main jab ham kuch sochay samjhay baghair aik ghalt faisla laitay huway kaam kartay hain, market abhi apni retracement main hoty hai laikin ham usay trend samjhtay hwuay aik barra risk laitay hwuay loss aur nakami ka shikaar ban jatay hain.
Forex market main kaam kartay huway sirf aisay traders he loss ko khatam kartay hain aur acha profit hasil kartay hain jink mined main market ki retracement aur correction ka knowledge hota hai.
What Is Retracement?
Retracement kise bhe bary trend main aarzi reversals hoti hain, aur Retracement ka matlab yeh hota hai kay market ka trend tabdeel nahi ho raha hai balkay trend kay against aarzi reversal hai. Jesa kay neechy dee gai tasveer main aap dekh sakte hain kay market up trend main hai aur market thori up movement kay baad down aati hai. Aur kuch percent down aany kay baad matket phir aik baar up jaati hai aur pichly peak point ko cross kar kar agla peak point banati hai. Aur phir usi tarha down aati hai aur pechly down point say pehly he market upp jana start kar deti hai. Ye saari explanation aap tasveer main dekh sakte hain.
What Is Reversal?
Reversal market trend ke simt tabdeel hony ka naam hai. Jab Reversal hota hai to market usi same direction main rehny ke jaanib bharti hai aur trend ke direction ya simt tabdeel ho jaati hai. Up trend main reversal neechy ke jaanib hota hai jabbkay downtrend main Reversal oper ke jaanib hoti hai. Aik baat dehyaan jo kay har trader ko rakhna chahey kay trend Reversal ke confirmation kay baad he Reversal pe trade ke jaay. Kun kay Reversal aur Retracement main farak ka pata hona bahut zaroori hai.
ooper de gaai tasveer main aap dekh sakte hain kay market trend line aur Moving average ko cross kar kay Reversal banaati hai to ye es baat ke Confirmation hai kay market trend tabdeel kar chuki hai.
Difference between retracment and reversal:
Retracement aur reversal mein bahut jyada fark hota hai isliye hamen ine chijon ko samajhna chahie retracement ka matlab yah hota hai ki market Aarzi tor par change hoti hai lekin agar market ka trend change Hoga to ham isko market ka reversal kahenge.
Retracement market hamare liye ek achcha entry point ho sakta hai aur ISI Tarah sajan market ka train change ho raha ho to hamen reversal market per bhi trade Karni chahie kyunki yah hamare liye bahut achcha entry point hai aur ham ek acche trend mein bahut hi achcha profit banaa sakte hain
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим