Pull Back & Breakout

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Pull Back & Breakout
    Assalam alaikum dear members!
    subha bakhair!
    umeed ha aap sb thk hn gy or apki trading bahut achi jaa rahi ho ge. Dear members aj ki post main hum 2 impotant concepts ko detail se study karen gy or inka difference bhi dekhen gy sth sth inki trading strategy bhi dekhen gy.


    What Is Pull Back?

    Dear members pull back ka mtlb hota ha retracement mtlb k jb market aik trend main chl rahi hoti ha jesa k agar market opr jaa rahi ho to seedha opr ni jati bl k thora opr jaa k pull back karti ha or phr again opr jati ha.
    estrha market k aik trend main hamen bhht c jagha pull back dkhny ko milta ha or yahan py hamen achi entries bhi ml jati hain.



    jesa k opar ki picture main pullback ko arrows se indicate kia gaya ha to aap dkh skty hain k uptrend main market higher low bnati ha or previous low ko break n karti.


    How to trade it?

    Dear members pullback main hamen wait karna chahye market ka pull back karny ka or yahan se phr rejection ka jesa k opara hum uptrend ko dscs kar chuky hain to es main jb market higher low bnaye to es main hum buy ki trade le skty hain or hmara stop loss jo ha previous low k equal ho ga jb k orofit target previous high se opr ya us k equal ho ga.



    What is Breakout?

    Dear members breakout ka matlab hota ha torna ya tor k bahir nkl jana or forex main eska mtlb hota ha k ksi chart main market jo structure banti ha to market ka es k bahir nkl jana es structure ka breakout khlata ha.
    jesa k opar hum uptrend ko hi dscs kar rhy thy to us ko continue karty hain.
    jb market uptrend main hoti ha to market higher lows bnati ha in lows ko mila k aik rising trendline banti ha jsko market follow kr k opr jati ha.
    laikin jb market es k nechy aa jati ha to esko trendline ka breakout kaha jata ha or es k bad market ka trend reverse ho jata ha.




    How to trade it?

    Dear members jb market trendline ka breakout kr jy to es k bad hamen chahye k wait karen k js time frame main trendline thi usi time frame main market es trendline k nechy candle close kary to es k bad hum es main sell ki trade le skty hain or hmara stop loss es trendline se opr ho ga jska breakout hoa ha.
    jb k profit target nechy ki trf support tk ho ga.
    THANK YOU GUYS ! :1f60a:
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Pull Back &amp; Breakout

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Pullback And Breakout


    Trends k mutabiq trading forex market main agay rehne aur faida mand mawaqay peda karne ka aik behtareen tareeqa hai. Yeh tareeqa aap ko price k trend ki nishan-dahi karne, un ki khobiyon k analysis karne aur is ke mutabiq trading plot karne ki ijazat deta hai. Trend trading bohut si marketon ke liye mozoon hai, jaisay ke stock ya forex trading, aur iss ko new ya expert dono tarah traders istemal kar sakte hen. Aik behtar technique jab trading k trends mein pullback hota hai, to uss waqat market mein enter hona hai, q k prices apne asal trend ki taraf wapis chali jaye gi. Taham, aik aur maqbool technique breakout k baad market main daakhil honay ka tareeqa hai, jo pullback ki nisbat ziyada faida mand sabit ho sakti hai.
    Pullback aur breakout par trading se pehle market main trend ko pehchanna bohut zyada zarori aur aham hai. Market k trends ko pehchanney ke liye kayi tareeqay istemaal kiye ja satke hain, jin mein se bohat si techniques mushkil hain, lekin kamyabi k liye un ka hona zaroori nahi hai. Trend ki nishandahi karne ke aasaan tareen tareeqon mein se aik yeh tay karna hai ke aaya price aik khaas peroid ke dowran is ki average se ziyada hai ya kam. Yeh tareeqa akailey future price ki movement ki simat ka andaza laganay mein madad kere ga. Ye time period one to six months tak kahin bhi ho sakti hai, jo in main sab se latest time period hoga, wo sab se ziada moasar hoga.

    Click image for larger version

Name:	images (3000).png
Views:	13
Size:	13.4 کلوبائٹ
ID:	12388346

    Pullbacks Entries

    Jab bhi aik bullish trend k dowran prices din k lowest area main a jaye ya aik bearish trend k dowran din k highest position par chali jati hai, to uss waqat prices ka ye reaction aik pullback kehlata hai. Pullback uss waqat hota hai, jab mojooda trend ke dowran price aarzi tor par opposite simat mein ghoom jati hai, ye teen ya chay mahino ke douran ban'nay walay trends ho satke hain. Pullback pichlle low ya high se up ya down hoga.
    Pullback ko maloom karne k leye aik four hourly timeframes ki selection karen, jiss main dekhen k prices apne maojoda trend k dowran kia reaction deti hai, agar aik qeematen four hourly timeframes main kam back karti hai, to uss waqat ye aik pullback hoga, jo apne sabeqa trend ko hi follow karna shoro karega, nahi to prices ka trend reversal bhi ho sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1220).jpeg
Views:	1
Size:	11.7 کلوبائٹ
ID:	12388347

    Breakout Entries

    Breakout technique aksar stock aur commodity trading mein istemaal hoti hain aur yeh bohat munafe bakhash saabit ho sakti hen, lekin forex market mein un ka istemaal kam hi hota hai. Pullback aksar is market ke liye aik behtar intikhab hai, khaas tor par price ki movement k peechay psychological tareeqon ki wajah se. Taham, pullback k sath aik kami payi jati hai : false starts. whipsaws ke naam se bhi jana jata hai, yeh un sab se big problems mein se aik hain, jo traders ko trading ke douran paish atay hain. Yeh uss waqat hota hai jab aap ki technique trading signal send karti hai, jis ke baad sirf aik reversal jana parta hai, jis ki wajah se aap ki position stop loss ki waja se stop ki jati hai.
    Breakout techniques mehfooz filters k istemaal se is problem se bach sakti hai, jis se aap trends mein enter honay ke liye behtareen position ki identification kar satke hain. Breakout hamesha aik trend ki semat ko wazih karta hai, jo price chart par up and down dono sematon main ho sakta hai. Breakout ki madad long term ki trading ki ja sakti hai, jiss se munafa bhi ziada melta hai. Breakout k leye hamesha long timeframes ka intekhab zarori hai, jo kam az kam four hourly price chart ka hona chaheye, jiss par market main entry ki ja sakti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3001).png
Views:	1
Size:	13.0 کلوبائٹ
ID:	12388345
    • #3 Collapse

      Re: Pull Back &amp; Breakout

      EXPLANATION:

      Forex trading mn jb bi hm dkhty haIn k support level ya resistance level break ho skta ha to hum log whan pe pending order lga skty han is k ley humary pass option hota ha k hum support level sell stop lga lain or resistance level py buy stop ka order laga lain jase he support level ya resistance break out hota ha to hmari trade bi open ho gati ha ji sy phr hum log maximum profit hasil kr sakty hain is ley hmary pass options available hn k hum in ko istaml kr k acha profit hasil kr sakain.

      BREAKOUT ENTRY:


      Maximum members jo breakout per entry lety hain tou aesy members pending orders ko prefer krty hain k jab market kisi bhi direction main move krty howe support ya resistance ko break krti ha to phir same direction main next support ya resistance tk movement zarur hoti hai to aesy time per jab hmari breakout per trade open hoti hai tou hamain bhot acha profit hasil ho gata hai jab market aik direction main move ker rhi ho to hamain support ya resistance per ponchny per trade open kerny ki bgaye kuch time k liye wait krna hota hai k agar market reverse movement start kr deti hai tor everse order main trade open kerna hoti hai aur agar breakout krti hai to hamain same direction main breakout per entry lena hoti hai agar Hm wait ki baghair hi reverse direction main trade open ker lty hain to hamain bahot bara loss bhi ho sakta hai. Is liye hamain breakout per entry leny ki bagaye sell stop ur buy stop ki surat main pending orders ko use kerna chahiye lkin pending orders ky baghair trade krty howe break out jb tak clear na ho jaye trade open nhi kerni chahiye ky aesi surat main bhi bahot bara loss ho skta ha.

      Click image for larger version

Name:	GBPUSD-H4-Support-Area-Breakout.jpg
Views:	7
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12388429

      Pullback entry:

      Forex market Mn Jb Bhi market support se resistance ke Taraf Jati Hai to use resistance ko break kiye baghair Wapis market apni pullback ly Leti Hai resistance ko Touch Karke market Wapis support ki taraf se gati Hai To usko hm pullback entry ka nam de skte hain. \Pullback ko bhi Jahan Jata Hai Jab market bhut hi high level per Chali Gai ho aur wahan se Ham Jab chal ki entry Lety Hain To usko bhi pull back Kaha Jata Hai. Iske alava market Jab bahut ziada down ho gai ho aur Market mein bahut ziada vah Chali Gai ho to is se bhi aap Jab purchase ki trade Lagate Hain To aap isko bhi Pol back entry ka naam de sakte hain full back entry main bhi dene ke liye aapko ismein confirmation candle aur indicator se confirm hone ke bad hi trade karna hoti hai.

      Click image for larger version

Name:	PullbackStrategies-ThreeBarPullback.jpg
Views:	1
Size:	119.7 کلوبائٹ
ID:	12388431


      Conclusion:

      Pullback ik short trade aur Breakouts long term trading hoti ha. Ager ham isko sahi trh understand ker lety hain to ha apny analysis sa b long pips trade find out ker sakain ge.
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        **Pull Back Aur Breakout: Forex Trading Mein Inka Role**
        Forex trading mein pull back aur breakout strategies aapko market trends ko identify karne aur profitable trading opportunities generate karne mein madad karte hain. Dono concepts alag-alag market conditions ko represent karte hain aur trading decisions ko influence karte hain. Aaj hum detail mein dekhenge ke pull back aur breakout kya hote hain aur inko effectively trading mein kaise use kiya ja sakta hai.

        **1. Pull Back:**

        **Definition:** Pull back, ya retracement, tab hota hai jab market ek strong trend ke dauran temporarily reverse hoti hai. Yeh short-term price movement trend ke direction ke against hota hai, lekin overall trend ke continuation ko indicate karta hai.

        **Benefits:**
        - **Entry Points:** Pull backs trend-following traders ko entry points provide karte hain. Agar aap ek uptrend mein hain aur price ne kuch neeche ki taraf move kiya hai, to yeh pull back aapko buying opportunity offer karta hai jab price wapas trend direction ke sath move karti hai.
        - **Better Prices:** Pull backs ke dauran, aapko trend ke continuation ke liye better prices mil sakti hain. Yeh aapke risk-reward ratio ko improve kar sakta hai, kyunki aap trend ke continuation point par entry le rahe hote hain.

        **Disadvantages:**
        - **False Signals:** Kabhi-kabhi pull backs market reversal ko signal kar sakte hain. Isliye, pull back ke signals ko verify karna zaroori hota hai aur confirmation indicators ka use karna chahiye.
        - **Risk of Missing Trend:** Agar aap pull back ko identify nahi kar pate, to aap trend ki potential gains ko miss kar sakte hain.

        **2. Breakout:**

        **Definition:** Breakout tab hota hai jab price ek key support ya resistance level ko cross karti hai. Yeh movement trend ko accelerate kar sakta hai aur new price levels ko establish kar sakta hai.

        **Benefits:**
        - **Trend Confirmation:** Breakouts trend ke strong confirmation signal hote hain. Agar price resistance level ko break karti hai, to yeh bullish breakout ko indicate karta hai, aur agar support level ko break karti hai, to bearish breakout ko indicate karta hai.
        - **Potential High Returns:** Breakout ke dauran price large movements ka experience kar sakti hai, jo high returns generate kar sakti hai. Traders breakout ke sath entry le kar quick profits earn kar sakte hain.

        **Disadvantages:**
        - **False Breakouts:** Market false breakouts ka bhi shikar ho sakti hai, jahan price level ko break karne ke baad wapas usi level ke paas aa jati hai. Yeh losses ka risk badha sakta hai, isliye breakout confirmation ke liye additional indicators ka use zaroori hai.
        - **Volatility:** Breakouts ke dauran market volatility high hoti hai, jo unexpected price movements aur slippage ka risk increase kar sakta hai.

        Pull backs aur breakouts dono hi forex trading mein valuable strategies hain. Pull backs trend ke continuation ko identify karne mein madad karte hain, jabke breakouts trend ke acceleration aur new price levels ko signal karte hain. In concepts ko sahi tarike se use karne ke liye, market analysis aur risk management strategies ko effectively implement karna zaroori hai.

        اب آن لائن

        Working...
        X