Currency Correlation Briefing

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Currency Correlation Briefing
    Introduction.

    Dear friends correlation say murad hea kay jab koi bhi currency pair move karta hai to uska kitna affect kisi dusre pair pe parta hai jo uss currency pair sy related hai. Ab jab aapko correlation ke samajh aa jaati hai aur pairs ka apas main correlation ka andaza ho jaata hai to uss correlation ke miqdaar ya kitna zaida apas main taluq hai es baat ka pata hona chahiye. Yani kay agar GBPUSD aur EURUSD ka apas main correlation hai to ye cheez dekhne hai kay jab GBPUSD up move karta hai to EURUSD kis direction main move karta hai aur agar GBPUSD 10 percent up move karta hai to EURUSD same direction ya opposite direction main kitne percent move karta hai.

    Click image for larger version

Name:	5b8ae678bbdaf1c69258d5b77d1868dd.jpg
Views:	2
Size:	25.3 کلوبائٹ
ID:	12523963

    Types of Correlation.
    • Negative Correlation
    • Positive Correlation

    Click image for larger version

Name:	Negative-Correlation-Forex-Pairs.png
Views:	3
Size:	363.9 کلوبائٹ
ID:	12523964

    Negative Correlation

    Dear friends jab do currency pairs opposite direction men move karen to aisy Negative Correlation kehtay hen.

    Positive Correlation.

    Dear friends jab do currency pairs same direction men move karen to aisy Positive Correlation kehtay hen.

    Click image for larger version

Name:	095923_e7354264d0de48978529f219df862887_mv2.jpg
Views:	1
Size:	88.0 کلوبائٹ
ID:	12523965

    Correlation Details.

    Dear friends Forex market kk chart me 2 currencies ka ek 2sry k sth correlation hota ha. Jb forex market markt k chart me 2 pairs same direction me jty hn to usy hum positive correlation kehtkehty hain r jb ek 2sry k opposite direction me run krty krty hj to usy hum negative correlation kehty hn jb apko correlation ki pairs ki smjh aa jti ha RR pairs ka apas me correlation ka andaza ho jta ha to correlation ki quantity ka pata hona chahiye.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Currency Correlation Briefing

    Currency Correlation


    Forex trading market me trading karne wali currencies kisi wajohat k bena pe hi trade kar rahi hoti hai. Aik currency jora mulki/gher mulki economic asarat, sharah-sood (interest rates) aur qeematon me tabdeeli ki waja se bohut ziada mutasir hota hai. Forex market me cheezen kisi na kisi waja se apas me joren howe hen, lekin in ka semat malom karn aur in ka apas me taluq (correlation) janna k ye kitna mazboot hai, aik trader k leye faida mand ho sakta hai, isi tarah se correlation me aik behtareen trading tools banne ki salaheyat hai. Jab tak traders aik se ziada currencies me trading karna chahte hen, us waqat tak "currencies correlation" un k leye ye bohut muna-bakhsh sabit ho sakta hai. Jab humen ye maloom hoga k aik currency pair dosre k muqabele me kis tarah se movement karta hai, to is k leye humen currencies correlation analysis ki zarorat laregi.
    Correlation basically currencies k adad wa shumar ki calculation hai, aur ye number mukhtalif currencies joron k darmeyan mojood taluqat ka andaza lagane me madad kar sakte hen. Correlation k zarye se hasil hone wale number trader apne sarmaye me tabdeeli, aik hi currency jore k elawa bhi wo apne trades ki tadad ko baraha sakte hen, aur ya sirf is baat ka andaza laga sakte hen k unki trading unhen kitna risk de rahi hai. Agar correlation ki sahi tareeqa se analysis ki jaye to ye tareeqa ziada se ziada fawayed hasil karne, waqat ki bachat aur loss wale trades se chutkara de sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1222).jpeg
Views:	3
Size:	30.7 کلوبائٹ
ID:	12388351

    Positive/Negative Correlations


    Forex trading market me currency pairs k darmeyan correlation malom karna k is me hamare leye risk kitna aur faida kitna hai, bohut ziada zarori hai. Aik trader aik hi waqat me bohut sare currencies joron me trading karke apne trading ko bohut zyada faida de sakta hai, us k leye zarori hai k malom ki jaye k currencies joron ka apas me musbat taluq kitna aur manfi taluq kia hai, yani ye currency jore aik semat me kistarh se chalte hen aur mukhalif semat me in ki kia ratio hai.
    Currencies joron k darmeyan correlation ya to weak hoga ya strong, aur ye taluq (correlation) hafto, maheeno ya salon tak chal sakta hai. Basically Correlation number andaza lagata hai k aik makhsos time period k dowran currency jore apas me kitna movement karte hen ya aik dosre k mukhalif in ka kia reaction hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1221).jpeg
Views:	1
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12388352

    Currency Correlation Measures


    Correlation decimal form me yani "1","0" aur "-1" ki me measure keye jate hen. Agar do currencies pairs k darmeyan correlation "1" hota hai, to is ka matlab hai, k ye currency jore apas me 100% correleted hen, yani agad aik currency jora bullish/bearish jaye gato dosra bhi same waqat pe bullish/bearish move karega. Isi tarah se agar aik do currency joron ka apas me correlation "-1" hai to is ka matlab hai k ye jora 100% aik dosre k ulat semat me move karengay, yani agar aik currency jora bullish jaye ga to dosra bearish move karega. Isi tarh "0" correlation pe currencies jora ka taluq 50% pe ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3002).png
Views:	11
Size:	7.1 کلوبائٹ
ID:	12388353

    Currencies and Commodities ka correlation


    Currencies joron ki tarah currencies ka commodities ya commodities ka apas me bhi correlation hota hai. Jiase agar market me kham (crude) oil ki qeematon me jab izafa hota hai, to Canadian Dollar (CAD) ki value me bhi izafa hota hai, lekin dosri taraf Crude oil ka American dollar k sath correlation negative hai. Gold ka taluq USD k sath negative correlation la hai leken Australian dollar k sath ye taluq positive hai.
    Commodity ka apas me bhi correlation kisi had tak mumkin hai, jaisa k agar jab Gold ki qeematon me izafa hota hai, to Silver, Copper aur dosre metal ki value me bhi izafa hota hai. Isi tarah se oils aur gases ka bhi apas me positive correlation hai.

    Click image for larger version

Name:	images (3003).png
Views:	2
Size:	9.2 کلوبائٹ
ID:	12388354

    اب آن لائن

    Working...
    X