bearish meeting line candelsticks ???

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    bearish meeting line candelsticks ???
    assalium o alekum

    dear forex member
    umed krti hun ap sb kharyt s hun gy or mahnat s apna work complete kry hn gy jesa k ap janty hai k hmy weekly bounce hasil krny k ly daily three post share krni hoti jitni achi post share kry gy itna hi acha bounce hasil kr skty hai chlty h aj k topic ki trf


    introduction

    tareef yeh patteren up trained ke douran hota hai. pehlay din ki safaid mom batii ke baad aik siyah mom batii hai jo taizi se oopar khulti hai aur isi satah par band hoti hai jis satah par pehlay session ke ekhtataam par thi. yeh dark cloud cover patteren ki terhan hai. taham, dosray din girnay wali miqdaar mukhtalif hai. dark cloud cover ka dosra din pehlay din ki body ke wast point se neechay band ho jata hai, jabkay dosray din bearish meeting line pehlay din ki terhan hi band ho jati hai. nateejatan, dark cloud cover aik ziyada ahem taap reversal hai. bahar haal, bearish meeting line ka bhi ehtram kya jana

    Click image for larger version

Name:	bearishmeetingline.jpg
Views:	4
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12523943


    Recognition Criteria


    1. market aik murawaja up trained ki khasusiyat hai .

    2. pehlay din aik safaid mom batii manayi jati hai .
    3. phir, hum dosray din aik siyah shama daan dekhte hain .
    4. ikhtitami qeematein dono dinon mein yaksaa ya taqreeban yaksaa hain.


    traders behavior

    patteren ke taqazay aur lachak dar bearish meeting line do candle stuck par mushtamil hai, pehlay aik safaid candle stuck phir kaali candle stuck, dono choti nahi hain. dono dinon ki ikhtitami qeematein aik jaisi honi chahiye ya bohat qareeb. jab aik mazboot safaid mom batii banti hai to market oopar ke rujhan mein hoti hai, jo is rujhan ko mazeed support karti hai. aglay din taizi se oopar khilta hai jis ki wajah se bail ziyada par aetmaad mehsoos karte hain. phir reechh qeematon ko neechay dhkilte hue jawabi hamla shuru karte hain aur pichlle band ke barabar ( ya bohat qareeb ) ki taraf le jatay hain. up trained ki ab khilaaf warzi ho gayi hai.

    sell / stop loss levels

    sale / stap loss levels tasdeeq ki satah ko aakhri band ke tor par bayan kya gaya hai. tasdeeq ke liye qeematein is satah se neechay honi chahiye .


    Click image for larger version

Name:	hqdefault.jpg
Views:	3
Size:	9.9 کلوبائٹ
ID:	12523944

    stap nuqsaan ki satah ko aakhri aala ke tor par bayan kya jata hai. mandi ke isharay par amal karte hue, agar qeematein neechay jane ke bajaye barh jati hain, aur stap nuqsaan ki satah se oopar rozana do lagataar oonchaiyon ko band ya banati hain, jab ke koi taizi ka namona nahi paaya jata hai, to stap nuqsaan shuru ho jata hai .

    Click image for larger version

Name:	maxresdefault.jpg
Views:	7
Size:	99.9 کلوبائٹ
ID:	12523945
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: bearish meeting line candelsticks ???

    Bullish Meeting line pattern

    Bullish Meeting line pattern is waqat creat hota hai jab market continue downward movement kerty huey jah aik bearish candle complete hony ky bahd next candle kuch gap ky sath down sy start ho ker bullish candle is terha sy creat ho ky last bearish candle ky more than fifty percent per close ho jaey tou aesy main jo pattern creat hota hai usko Breaking line pattern kethy hain aur jab yeh pattern complete hota hai tou isky bahd market ki hundred percent movement ka uptrend start ho jata hai aur wahan per buy ki trade open ker ky ham bahot achi earning ker sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-20T212847.876.jpeg
Views:	42
Size:	44.5 کلوبائٹ
ID:	12388295

    Trading Strategy with Meeting line pattern

    Forex market hamesha kisi na kisi pattern ki base per movement ker rehi hoti hai agar Ham tamam patterns ko achi terha samajh lain tou forex market main hamari liay trade kerna asan ho jata hai ky jab pattern ki base per market movement ker rehi hoti hai tou aesy time per Ham pattern ky knowledge ky mutabiq trade open ker ky bahot achi earning ker sakty hain .

    Click image for larger version

Name:	images (1) - 2022-04-20T212854.471.png
Views:	16
Size:	27.5 کلوبائٹ
ID:	12388296

    Timeframe for Meeting line pattern

    Is pattern me apko trade buy ki avail krni chye aor apka stoploss beolw the support honq chye yeh aik confirm trade bn sakti hai trrading market ma candlestick chart ko bahot powerful smjha jata hai Forex trading business sab sy bara technical tool trading chart he hai trading chart ky ander different time frame hain lkn agr ap higher time frame use kren gay to iski achi predictions milen gi aor double boot on pattern agr 4h ya is sy bary trading chart py bny to yeh zeyada perfect ho ga.

    Click image for larger version

Name:	images - 2022-04-20T212907.760.jpeg
Views:	39
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12388297

    Validation On Chart

    Meeting line pattern movement chart main creat hony wala pattern hai jo market ki support per banta hai aur jab yehi pattern complete hota hai tou iska matlab hota hai ky ab market trend change kerty huey upward direction main bari movement kerny ja rehi hai tou breaking line pattern per trade kerny ky liay hamain breaking line pattern ko samajhna zaruri hai ky yeh pattern Kis terha banta hai aur is per kis terha sy trade open ker ky ham achi earning ker sakty hain.

    Click image for larger version

Name:	images (1) - 2022-04-20T212918.142.png
Views:	8
Size:	5.7 کلوبائٹ
ID:	12388298
    There is always light. If only we're brave enough to see it. If only we're brave enough to be it.
    • #3 Collapse

      Re: bearish meeting line candelsticks ???

      Assalamualaikum dear forex members...umeed hai ap sb theek hn gy aur forex me apna kam sahi se kr rhy hn gy ...forex ek esa bussines hai jis ke liye hm knowledge ki zrurt prti hai aur hmy ko samjhna b zruri hota hai ...koi b bussines chlany ke liye hmy kam krna prta hai to is ke liye hmy zrurt hoti hai ke trading ko seekhyn ta ke hm i se faida hasil kr skyn ....

      Bearish meeting line candlestick:

      Bearish meeting line candlestick ek 2 candle wala pattern hai ...yh ek large white candle se aur ek black candle se mil ke bna hota h jo ke uptrend me hoti hen... Yh dono candles ek dosry ki closing price par meet krti hen... Yh pattern bearish hota hai lkn test krny se pta chla hai ke yh pattern bullish continuation ki tarah act krta hai 51% of time...

      Click image for larger version

Name:	bearishmeetingline.jpg
Views:	4
Size:	11.4 کلوبائٹ
ID:	12388306

      Frequency rate suggest krta hai ke bearish meeting line candlestick pattern bhtt rare hota hai lkn time ke sath sath is ki performance bhtt achii hoti h ...

      Identification of pattern:

      1. Yh hmy market ke uptrend me show hoti h ...

      2. 1st day me ek white candle bnti hai ...

      3. Is ke bd day 2 ki ek black candle bnti h ...

      4. 2no candle ek dosry se closing price par meet krti hen ... Aur ki prices same hoti hen ...

      Trading strategy:

      Forex market hmesha kisi na kisi pattern ki base movement kr rhi hoti hai ...agr hm forex ke sary pattern ko achy tareeky se samjh len ...to forex Market me hmary liye trade krna asan ho jata h..jb market move kr rhi hoti h to pattern ki base par hm market me trade open kr ke sahii waqt par achii earnings kr skty hen ..isi liye zruri hota hai ke hm trading ke sary pattern ke bary knowledge hasil kryn ta ke hm is se faida utha skyn ...

      Bearish meeting line ka timeframe:

      ​Is pattern me apko chaiye kke buy ki trade ko avail kryn aur us se faida uthayn...aur is me apko stop loss support se below rakhna chaiye tb yh ek bhtt strong trade bn skti h ...jesy ke ap sb janty hen ke forex market me chart ko bhtt ehmiyt hasil hoti h aur yh sb sese bra technical tool h ...is trading chart me andr different time frame hoty hen...aur in me agr hm higher time frame ko use kryn to is se hmy ziada achi prediction milti hai aur is se hmy ziada faida hota h
      • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
      • #4 Collapse

        Re: bearish meeting line candelsticks ???

        Assalamu Alaikum Dosto!


        Bearish Meeting Line Candlestick Pattern


        Bearish meeting line candlestick pattern aik bearish trend reversal pattern hai, jo price chart par do candles se mel kar banta hai. Pattern main shamil pehli candles bullish hoti hai, issi waja se pattern k leye prices ka pehle se high area ya bullish trend main hona zarori hai. Two days candles ki accuracy single day pattern se behtar hota hai, q k iss main aik candle thori bohut confirmation bhi deti hai. Jab bhi market main buyers prices ko aik khas level tak ooper push karte hen, to yahan par trend reversal k imkanat ziada hote hen, ye trend confirmation aksar kuch pattern se confirm ho jati hai, jiss main bearish meeting line pattern bhi shamil hai.

        Click image for larger version

Name:	images (1216).jpeg
Views:	21
Size:	14.6 کلوبائٹ
ID:	12388334

        Candles Formation


        Bearish meeting line candlestick pattern prices k uptrend ya higher par low demand ki waja se banta hai, jahan par trend reversal k ziada imkanat hote hen. Pattern main shamil candles mukhtalif pattern ki yanni bearish aur bullish hoti hen, jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

        Click image for larger version

Name:	IMG_20220421_040301.jpg
Views:	1
Size:	32.9 کلوبائٹ
ID:	12388336

        1. First Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k prices ko uptrend ya bullish trend ki akasi karti hai. Ye candle bullish trend ko mazeed ooper ki taraf push karti hai, aur market main high demand ko zahir karti hai. Ye candle aik normal real body wali candle hoti hai.

        2. Second Candle: Bearish meeting line candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai. Ye candle pehli candle k top par gap main open hoti hai, jab k close same ussi candle k close price par hoti hai. Issi tarah se dono candles k close aik dosre k same price par end hote hen. Ye candle bullish trend k khatme ka bahis banti hai.

        Explanation

        Bearish meeting line candlestick pattern prices main bullish trend k dowran ban kar prices ko mazeed ooper jane se rok leti hai. Ye pattern aik strong trend reversal ka signal deti hai. Pattern two days candles par mushtamil hai, jiss ki pehli candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k prices k bullish ya up trend ki alamat hoti hai. Pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, aur iss candle ka open price pehli candle se gap main hota hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k prices ko ooper jane se rokh deti hai, jiss se prices ka mazeed up-rise stop ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka open pehli candle k close se top par gap main hota hai, jab k close pehli candle k same closing price par hota hai, jiss se dono candles ka close price in-line hota hai.

        Click image for larger version

Name:	images (2997).png
Views:	4
Size:	18.2 کلوبائٹ
ID:	12388335

        Trading

        Bearish meeting line candlestick pattern prices k top main banne ki waja se aik bearish signal genrate karta hai, jiss par market main sell ki entry ki ja sakti hai. Pattern par trade enter karne se pattern ki dosri candle aik confirmation candle ki zarorat parti hai, jo k real body main aik bearish candle honi chaheye, aur dosri candle k bottom par close bhi honi chaheye. Pattern ki confirmation CCI, RSI, MACD indicator aur stochastic oscillator se bhi ki ja sakti hai, jiss ki value overbought zone main honi chaheye. Pattern k baad bullish candle se pattern invalid tasawar kia jayega. Pattern ka Stop Loss sab se higher ya dosri candle k open price se two pips above par set karen.

        Click image for larger version

Name:	images (1217).jpeg
Views:	23
Size:	40.7 کلوبائٹ
ID:	12388333

        اب آن لائن

        Working...
        X