How to use Mat Hold Bullish Continuation Candlestick Pattern in forex..,,,
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    How to use Mat Hold Bullish Continuation Candlestick Pattern in forex..,,,
    Assalamu alaikum..

    Dear friend main ummid karta hun aap sab dost khairiyat se honge aur apna Kam samajhdari ke sath complete kar rahe honge aur knowledge ful working Karke apna knowledge strong kar rahe hongeDosto aj ham bat karein ga matt hold ka bare ma matt hold ka name japan ka logo na darawza ka bahar rakhna wala matt ka upar rakha ha ,matt hold bullish continuation candle stick pattern ha ya kahe ka tezi ka trend ko bana rahna ka signal deta ha ,iska matlab yaha ha upar jana wala tredn ab or upar jaye ga ,abi price ka necha ana ka chances nahi hain ,ya jo tezi ka trend chal raha ha uski raftar abi or tez hona wali ha ,matt hold candle stick patteren panch candle sa mill kar banta ha ,is patteren ma pahli candle long bulish candlel stick hoti ha ,ya kahein ka lambi tezi ki candle hoti ha ,ya green color ki hoti ha ,dusri candle small bearish candle stick hoti ha ya kahein ka choti mandi ki candle hoti ha ,3rd candle bi small bearish candle stick hoti ha ,or 4th candle bi small bearish candle stick hoti ha ,or last 5th candel large bullish candle stick hoti ha ,matt hold hamesha tezi ka tredn ma ana wala candle stick patteren ha ha jo trend ka continue rahna ka signal deta ha confirmation milna ka bad ham apna trade ko hold kar sakta hain ,ya entry la sakta hain ,confirmation milna ka bad faida zarur hoga .Formation Of Matt Hold Candle Stick Pattern .,Matt hold candle stick patteren ma jo pahli candle hoti ha wo long bullish candle stick honi chaye ,iska bad jo dusri candle ha wo pahli candle ka high ka upar bohat hi zordar tezi ka sath khulna chaye ,gap up open hona chaye ,iska bad dusri candle ko rangebound ma kam karna chaye or iska bad jab dsuri candle close ho us wakt pahli candle ka close price ka upar hi band hona chaye or dusri cadel small bearish candle stick hona chahye,isko choti mandi ki candle bi kahta hain ,iska bad jo third candle ha wo close price ka barabar ,ya upar ,ya uska necha ,matlab ka gap up ya gap down ho sakti ha ,iska bad 3rd candle price range ka andar hi move karni chaye ,or dusri candel ka jo low ha uska necha ja kar new low bananan chaye ,or jab yaha third candle close ho us wakt yaha 3rd candle dusri candle low price ka necha ja kar badn hona chaye ,yaha third candle small bearish candle stick hoti ha ,iska bad jo 4th candle ha wo close price ka upar ,necha ya barabar ho sakti ha ,gapup ya gap down ho sakti ha iska bad chothi candle bhat hi range bound ma trade karna chaye ,or third candle ka jo low ha uska necha ja kar new low banana chaye ,or 4th candle ko third candle ka necha ja kar close hona chaye ya fourth candle small bearish candle stick hona chaye ,iska bad akhri long berish candle acha tarika sa gap up ope hona chayei,or is candel ko 2nd candle ka high ka upar close hona chayei ,yaha 5th candel ko pahli candle ka low nahi torna chayei .To is taraha dosto bullish matt hold candel stick ki pahcahn hoti ha.,,.


    Click image for larger version

Name:	bullish-candlestick-patterns-1.png
Views:	2
Size:	12.8 کلوبائٹ
ID:	12523850
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: How to use Mat Hold Bullish Continuation Candlestick Pattern in forex..,,,

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Bullish Mat-Hold Candlestick Pattern


    Bullish mat-hold candlestick pattern price chart k top par ya uptrend k dowran bullish trend continuation pattern ka kaam karta hai, jiss k banne k baad prices same apne sabeqa trend ko hi follow karte hen. Candlesticks charts pattern main jitne ziada candles ka istemal kia jata hai, unte hi wo pattern ziada complex bante hen, aur iss ki trading ki techniques dosre sada pattern ki nisbat complex hote hen, lekin ye pattern hamesha sada pattern ki nisbat ziada kamyab rehte hen. Bullish mat-hold candlestick pattern bhi ussi munasibat sada pattern ki nisbat ziada complex pattern hai, jiss main aik waqat panch ya uss se bhi ziada candles hote hen, lekin ye aik kamyab pattern tasawar hota hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2979).png
Views:	29
Size:	6.9 کلوبائٹ
ID:	12388211

    Candles Formation


    Bullish mat-hold candlestick pattern bullish aur bearish candlestick se mel kar banne wala aik bullish trend continuation pattern hai, jo prices ko prices ko upward side par push karti hai, pattern main shamil pehli aur akhari candle bullish jab k darmeyan wali candles bearish hoti hai. Ye pattern aik strong signal deta hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (1210).jpeg
Views:	9
Size:	17.3 کلوبائٹ
ID:	12388212

    1. First Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo prices ko upward side par push karti hai. Bullish candle candle aik real body main banti hai, jiss ka close point open price ki nisbat high hota hai.

    2. Second Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, ye candle aik small real body main banti hai. Ye candle open pehli candle k baad hoti hai, jab k close ussi ki real body main hoti hai. Ye candle real body main to banti hai, lekin ziada strong reaction nahi deti hai.

    3. Third Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki teesri candle bhi aik bearish candle hoti hai, jo k same dosri bearish candle ki tarah small real body main hoti hai. Ye candle prices ko nechay push karti hai, lekin ziada strong real body na hone ki waja se ye bhi pehli candle ki real body main hi banti hai.

    4. Fourth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki fourth candle bhi same dosri aur teesri candle ki tarah aik bearish candle hoti hai, aur same small real body main hoti hai. Ye candle bhi ziada mazboti se prices ko nechay ki taraf push nahi karti hai, jiss se candle ki small real body same other bearish candles ki tarah pehli candle k andar hoti hai.

    5. Fifth Candle: Bullish mat-hold candlestick pattern ki last ya fifth candle aik strong bullish candle hoti hai, jo k real body main bearish candle se bari aur bullish candle k taqreeban barabar hoti hai. Ye candle bearish trend reversal ki koshash ko nakam bana kar prices ko same sabeqa bullish trend main jari karti hai, jo k bullish trend continuation ka sabab banti hai.

    Explanation

    Bullish mat-hold candlestick pattern price chart par aik strong continuation ka signal deta hai. Ye pattern panch candles par mushtamil hota hai, jiss ki pehli candle aik bullish candle hoti hai, jo k strong real body wali aik bullish candle banti hai. Pattern ki baad main teen small candles hoti hai, jo k pehli candle k real body main banti hai. Ye candles prices ko nechay ki taraf to push karti hai, lekin sellers ki adam-tawajah k bahis prices ko ziada strong nechay nahi le kar jati hai. Pattern ki teeno small candles prices k bullish trend k dowran aik waqfa peda karti hai, jiss k baad aik strong bullish candle banne par prices wapis apne sabeqa bullish trend ko hi follow karna shoro karti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1209).jpeg
Views:	2
Size:	26.0 کلوبائٹ
ID:	12388213

    Trading

    Bullish mat-hold candlestick pattern aik bullish trend continuation pattern hone ki waja se bullish trend reversal pattern ki nisbat ziada successful rehta hai. Ye pattern newly bullish breakout main banne par prices ko bohut ziada teezi k sath upward le kar jati hai. Pattern par trading karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jo k bullish candle k top par bullish real body se honi chaheye. Jab k indicator se confirmation lene par ussi ki value midpoint ya darmeyan se above trade kar na zarori hai. Pattern k end par stop loss ka istemal zarori hai. Stop Loss pattern k sab se lower position jo pattern ka support level hota hai, se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2978).png
Views:	9
Size:	19.1 کلوبائٹ
ID:	12388210

    اب آن لائن

    Working...
    X