Assalamu Alaikum Dosto!
Bearish Kicking Candlestick Pattern
Bearish kicking candlestick pattern price chart par banne wala aik two days ka bearish trend reversal pattern hai, jo k high price area ya bullish trend k dowran banta hai. Pattern ki pehli candle bullish jab k dosri candle aik bearish candle hoti hai. Pattern ki dosri candle pehli candle k open price se below gap main open hoti hai, jab k close dosri candle k opposite direction main sabeqa trend reversal k mutabiq lower par close hoti hai. Pattern ki dono candles ka open price aik dosre se gap main hota hai, jab k close aik dosre k opposite side par hote hen. Pattern ki dono candles real body main lazmi honi chaheye, jab k candles k shadow ka hona ya na hona zarori nahi hai.
Candles Formation
Bearish kicking candlestick pattern k leye zarori hai, k prices ka top ya bullish trend main ho. Pattern k bottom prices se reversal k chances ziada hote hen. Bearish kicking candlestick pattern do mukhalif candles ka hota hai, jiss main candles ki formation darjazzel tarah se hoti hai;
1. First Candle: Bearish kicking candlestick pattern ki pehli candle aik real body wali bullish candle banti hai. Ye candle prices k top par ya high prices area main buying ki dilchaspi dekhati hai, jo prices ko mazeed upper side par push karti hai. Ye candle white ya green color main hoti hai, jo prices main demand ki kami ki nishan-dahi karti hai.
2. Second Candle: Bearish kicking candlestick pattern ki dosri candle bearish trend wali candle hoti hai, jo k prices k direction ko bearish trend reversal main tabdeel karwati hai. Ye candle aik real body main banti hai, jiss ka open pehli candle se above gap main hota hai, jab k close point ussi candle bottom par bearish body k sath hota hai.
Explanation
Bearish kicking candlestick pattern two days candles ka trend reversal pattern hai, jiss main pehli candle aik normal bullish candle hoti hai, jo prices main bullish trend continuation aur buying pressure dekhati hai. Ye candle shadow samet ya shadow k bagher bhi ho sakti hai, jab k pattern ki dosri candle aik bearish candle hoti hai, jo k pehli candle k open price se below gap main open ho kar aur bearish real body banane k baad bottom par close hoti hai. Ye candle market main selling control ko zahir karti hai, jo bullish trend k ikhtetam par wo hasil karte hen. Ye pattern dekhne main aur candles ki formation same bearish gap down candlestick pattern ki tarah hota hai, lekin ye pattern uss se iss waja se mukhtalef hota hai, q k aik to ye pattern bearish trend reversal k leye istemal hota hai, aur dosra pattern ki candles ki formation aur pattern main uss se mukhtalef hai.
Trading
Bearish kicking candlestick pattern prices k top par banne ki waja se market main sellers active ho jate hen. Pattern ki pehli candle prices ko mazeed ooper ki taraf push karne par majboor karne ki koshash karti hai, lekin iss position par high supply hone ki waja se aisa mumkin nahi ho pata hai. Pattern par trade enter karne se pehle aik confirmation candle ka hona zarori hai, jiss ka open price apne close price k ooper hona chaheye aur dosri candle k lower side par close honi chaheye. Lekin agar confirmation candle aik bullish candle banti hai, to ye pattern invalid ho jayega, jiss par trade entry nahi karni chaheye. Indicators par value lazmi overbought zone main hona chaheye, jiss ki confirmation lazmi hai. Stop Loss pattern k sab se top position jo k pehli candle ka high ya close price banta hai, se two pips above set karen.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим