Support and Resistance Levels in Market Movement
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Support and Resistance Levels in Market Movement
    Support & Resistance in Forex

    Support aur resistnace market ki movement per create hony waly levels hoty hain jo ky market aik fix time main maximum aur minimum level tak movement ker rehi hoti hai ky jab market dobara wahan per ponchti hai tou reversal ky bhi bahot zyada chances hoty hain agar ham forex market main trade kerty hain tou hamain pata hona chahiay ky support aur resistance kia hain aur yeh kitni important hain ky ham in ko apni trading main use kerty huey kesy faida hasil ker sakty hain tou support market ki movement main create hony wali aesi position hai ky jab market downtrend main movement ker rehi hoti hai aur kisi point sy bar bar retracement ly ker upward movement shoru ker deti hai tou aesy point ko support kehty hain ky market jab bhi same point per jati hai tou reversal ky bahot zyada chances hoty hain isi terha jab market uptrend main movement kerty huey kisi aik point sy bar bar reverse ho rehi hoti hai tou same point ko resistance kehty hain ky jab bhi market movement kerty huey same point per ponchti hai tou reversal ky chances bahot zyada hoty hain jis per ham trade ker ky profit hasil ker sakty hain

    Click image for larger version

Name:	1.jpeg
Views:	15
Size:	42.9 کلوبائٹ
ID:	12523762

    Levels of Support & Resistance

    Jab market open hoti hai tou woh kisi aik direction main movement ker rehi hoti hai jo upward direction main movement bhi ho sakti hai aur downward bhi tou same movement jis direction main ho rehi hoti hai usi direction main market ki movement ko market ka trend kehty hain ky agar market bar bar downward retracement ly ker overall movement uptrend main ker rehi hoti hai tou woh bar bar kuch resistances ko break ker rehi hoti hai aur downtrend main movement kerty huey market bar bar small supports ko break ker rehi hoti hai tou yeh small supports and resistances ky levels hoty hain jin ko market break kerty huey apni maximum support ya resistance per ponchti hai aur jahan sy market ka reverse hona ya trend ka change hona confirm hota hai ky jab market maximum support ya resistance per ponchti hai tou zarur retracement leti hai aur trend change ho jata hai

    Click image for larger version

Name:	level.png
Views:	12
Size:	166.7 کلوبائٹ
ID:	12523763

    Instant Orders with Support & Resistance

    Forex market main short term traders ya scalpers support aur resistance ko bahot zyada importance dety hain ky market jab support per hoti hai tou buy main trade open ker lety hain aur jab resistance per hoti hai tou sell main trade open kerty hain aur bahot kam time main bahot achi earning ker lety hain lekin long term traders just market ky trend ko follow kerty huey trade open and continue kerty hain so agar support aur resistance per reverse order main trade open ki jaey tou same support aur resistance ky breakout per stoploss lagana bahot zaruri hota hai ky agar support ya resistance break hoti hai tou phir market same order main next support ya resistance tak zarur movement kerti hai tou trade open rehny ka loss ho sakta hai so breakout per stoploss hit hony ky bahd same forward order main trade open ker ky next support ya resistance tak continue ki ja sakti hai

    Recommendations for Trade with Support & Resistance

    Jahan ham forex market main support aur resistance sy reverse direction main intant orders open kerty hain wahan pending orders ko bhi use kerty huey apni trade continue kerty hain tou isky liay support aur resistance bahot zyada importance rakhti hain ky agar ham limits main pending orders apply kerna chahty hain tou same support aur resistance sy reverse order main ham limit pending orders set ker dety hain jabky agar ham stops pending orders set kerna chahty hain tou hamain same stops orders forex market main support aur resistance ky breakout per set kerny hoty hain ky agar market support ya resistance sy reverse hoti hai tou wahan per limit orders hamain profit dety hain jabky agar market kisi support ya resistance ko break kerti hai tou wahan per stops pending orders hamain profit dety hain ky breakout kerty hi hamari trade open hony ky bahd market ki same order main hony wali movement perh hamain bahot achi earning ho jati hai lekin her pending order ko bhi her surat main limit kerna chahiay ky hamain same order main bhi stop loss aur take profit set kerni chahiay ky agar koi pending order active ho jata hai tou aesa na ho ky kuch time ky liay hamari favor main market movement kery aur phir reverse ho ker market hamary account ko hi wash ker dy

    Click image for larger version

Name:	trade.png
Views:	20
Size:	371.3 کلوبائٹ
ID:	12523764
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Support and Resistance Levels in Market Movement

    Support and Resistance


    Introduction:

    Financial market me aksar qeematen aik do sathon (levels) k darmeyan baar baar uper-nechay (up-down) ho rahi hoti hai, uper satah (level) pe jis point ko qeematen chone (touch) karne k baad wapis ati hai, qeematon ka Resistance level kehlata hai, jab k wo point jis pe qeematen nechley position ko cross karne me nakam hoti hai, aur qeematen wapis uper chali jati qeematon ka Support level kehlata hai. Qeematon ka resistance aur support levels hamesha aik jaisa nahi rehta, bulk waqat k sath sath ye market ki hado-hal (situation) k mutabiq up ya down shift hote jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2946).png
Views:	4
Size:	13.3 کلوبائٹ
ID:	12388038

    Support and Resistance Line Tafseel


    Financial market me support and resistance lines aik behtareen aur umda concept hai, jis ko tamam traders bara ihteram karte hen. Yani traders trading k dowran kabhi bhi support and resistance levels ko nazar andaz nahi kar sakte hen. Aik currency jore me jis me trading ki jati hai, qeematen apas me aik dosre se sakht muqabela karti hai. EUR/USD currency jore me dekh len, k EUR traders currency ko aik semat me khench rahe hote hen, jab k USD traders currency ko dosre taraf le jane me lagay howe hote hen. Qeemat ki semat se pata chalta hai k ye muqabela kon jeet raha hai. Har baar jab qeemat aik khas level tak pohunch jati hai, EUR traders EUR ki value ko wapis lejayengay, aur us ko mazeed gerne se ya downgrade karne se rokengay. Is qisam ki qeemat ki karwaye ko support kaha jata hai, q k EUR k traders EUR ki vlaue ko up karne ki koshash karte hen. Support ki tarah resistance level wo point hai, jis oe sellers qeemat ko control karte hen, aur unhen mazeed uper jane se rokhte hen. Support k level us qeemat ki nishan-dahi karti hai, jahan ziada tar sarmaya karon ki khayal hai, k qeematen ziada hongi, aur resistance level us qeemat ki nishan-dahi karti hai jis par sarmaya karon ki aksareyat mehsos karti hai, k qeematen kam hongi.

    Click image for larger version

Name:	download (46).jpeg
Views:	1
Size:	7.7 کلوبائٹ
ID:	12388039

    Identification of Support and Resistance Levels

    Support and resistance levels ko maloom karne k leye chart par horizontal line khench (draw) kar kia ja sakta hai. Traders k leye ye bohut zarori bhi hai aur acha bhi hai k wo apne currency pair par trading k dowran support aur resistance levels ko maloom kare. Support aur resistance ki development kisi bhi chart par sab se ziada wazih aur baar baar dekhaye dene wala ansar hai. Ye aisi position ho sakti hen, jahan traders take profit ya stop loss ko set karwa sakta hai. Support aur resistance levels pe jitni waqat tak qeematen ziada rehti hai, us munasibat se ye levels bohut zyada aham ho jati hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1190).jpeg
Views:	2
Size:	16.7 کلوبائٹ
ID:	12388044

    Jab Support Resistance ban jaye aur Resistance Support ban jata hai:

    Jab bhi qeematen resistance levels ko breakout karti hai aur aik new resistance level banati to aksar awqat pechla resistance level support level ban jata hai, isi tarah jab support level breakdown ho jata hai, aur aik new support level ban jata hai, to purana support level new resistance me shamil ho jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2949).png
Views:	17
Size:	7.6 کلوبائٹ
ID:	12388043

    Support / Resistance and Trend line

    Jab bhi qeematen baar baar same high and low banati hen to us sorat me hum chart me trend line draw nahi kar sakte ya us ko sideways trend bhi keh sakte hen. Lekin jab bhi qeematen bullish trend pe ya bearish trend pe move kar rahi hoti hai, to us sorat me hum trend line asani se draw kar sakte hen. Jab bhi qeematen bullish move kar rahi hoti hai to trend line qeematon k lower-lows ko mela kar bane gi, lekin bearish trend pe chalne wali qeematon ka trend line higher-high ko mela kar banega. Yani tren line ka support aur resistance k sath bara aham relationship hai.

    Support and Resistance levels pe Trading:

    Support aur resistance levels hamare leye trading me take profit aur stop loss ka kaam karte hen. Support and resistance levels pe wese to scalping trading ki ja sakti hai, lekin baqayeda trading k leye dosre indicators ya chart patterns ka sahara bhi lena parta hai. Support and resistance levels aik technical analysis me aik behtareen tools ka kaam karte hen. Ye levels hum bagher kisi indicator ya oscillator k maloom kar sakte hen, q k ye humen chart me asani se nazar a jate hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2947).png
Views:	9
Size:	4.7 کلوبائٹ
ID:	12388037

    اب آن لائن

    Working...
    X