Commodity channel index ( indicator guide)

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Commodity channel index ( indicator guide)
    Assalam alaikum dear members!
    umeed ha ap sb thk hn gy or apki trading achi ja ri ho ge.
    Dear members agr ap meri posts read karty rhty hain to apko pata ho ga hm indicator guide series start kr chuky hain js main hm hr indicatir bari bari stdy kr rhy hain.
    aj ki post main hum commodity channel index ko study karen gy jo k oscillator family main se ha. Esko shortly CCI bhi kaha jata ha.

    What is commodity channel index?

    Dear members commodity channel index aik oscillator ha jo k trading pair ki prices ki direction , Trend or trend ki strength k bary main btata ha.ye 1 technical indicator ha jo k traders ko analysis or trading main help karta ha.es indicators ki boundry ni hoti ye freely move karta ha or kisi bhi direction main bht opr ya nechy ja skta ha.
    ye indicator oversold ir overbought levels k bary main bhi information deta ha.
    q k es main koe boundry ni hiti to hum historical levels ko use kr k overbought or oversold ka pata lgaty hain.
    agr CCI zero se opr ha ye indicate karta ha k prices historical high se opr hain or market overbought ha so ab buying se avoid karen.
    agr CCI zero se nechy hai to ye represent krta ha historical lows se nechy ha price or market oversold ha so selling se avoid karen.

    Click image for larger version

Name:	048B5ABD-A997-4CBB-9516-D563CF24AF2D.png
Views:	16
Size:	9.6 کلوبائٹ
ID:	12523239

    How to trade using CCI?

    Dear members CCI traders ko market main entry or exit point ko determine karny main help karta ha.
    ye 1 momentum based indicator ha js se hamen kisi trend ki strength ya weakness ko find karny main help milti ha.
    agr CCI overbought show kary or market uptrend main ho to market main reversal expect kia jata ha or estrha apko trend change hony ki indication milti ha ir ao confirmation k bad achi entry le skty hain.
    agr ap ny uptrend main buy ki trade li hovi ha to CCI ki madad se ap market main achy point py exit ho k acha profit bhi le skty hain.

    Click image for larger version

Name:	2988738B-8992-46C4-AA7C-20560088A551.png
Views:	19
Size:	18.5 کلوبائٹ
ID:	12523240

    Limitation of CCI:

    Dear members baki tmam indicators ki trha CCI ki bhi kch limitations hain jesa k agr CCI overbought ya oversold show kar bhi dy to market ka trend agr strong ho to trend es overbought ya oversold situation ko kafi der tk hold kar leta ha jski wja se agr ap CCI oy rely kr k trade karen gy to loss ho skta ha.
    es lye hmesha trade leny se phly price action se confirm kar len tb apki trades profitable hn ge.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: Commodity channel index ( indicator guide)

    Explanation.

    Friends commodity channel index indicator market Mein different indicators ki study complete karte hain to is mein aapko mostly indicators Ka aapas Mein correlation Milta hai agar aap successful trading karna chahte hain To Aisi situation main aapko Hamesha multiple indicators apni trading per reply karne chahiye otherwise aap market Mein successful trader Nahin Ban Sakte aur aap ko market mein bahut jyada disadvantages ho sakte hain.

    Click image for larger version

Name:	cci-ema-divergence-swing-forex-trading-strategy-01.png
Views:	1
Size:	56.6 کلوبائٹ
ID:	12387305

    Predicts Market Position.

    Friends CCI commodity channel index indicator hota hai Jiska Ham trading Mein Sambhal Karte Hain To Hamen fayda hota hai yah indicator bhi same like relative strength Index indicator Ki Tarah aapko market ki position ke bare mein bataya hai aur ham dono ke Darmiyaan bahut kam difference dekhne Ko Milta Hai yah bhi aapko market ki overboard aur oversold ki position batata hai aur aap ko is mein Jyada fayda hota hai Kyunki Ji ek Aisa business hai jis mein aap jitni Jyada knowledge Hasil Karenge aur office mein jitne Jyada learning Karenge uska aapko itna hi jyada fayda hoga.

    Commodity Channel Index Indicator.

    Friends CCI commodity channel index indicator hota hai Jiska Ham trading Mein Sambhal Karte Hain To Hamen fayda hota hai yah indicator bhi same like relative strength Index indicator Ki Tarah aapko market ki position ke bare mein bataya hai aur ham dono ke Darmiyan bahut kam difference dekhne Ko Milta Hai yah bhi aapko market ki overboard aur oversold ki position batata hai aur aap ko is mein Jyada fayda hota hai Kyunki Ji ek Aisa business hai jis mein aap jitni Jyada knowledge Hasil Karenge aur office mein jitne Jyada learning Karenge uska aapko itna hi jyada fayda hoga.

    Click image for larger version

Name:	CCIES.gif
Views:	4
Size:	23.0 کلوبائٹ
ID:	12387306
    • #3 Collapse

      Re: Commodity channel index ( indicator guide)

      aslam o alikum dear forex trader ab jo main ap logo se share kr rha ho wo commodity channel index ye kya cheez hai aur forex fourm mein is ka kya role hai to chalye start krty haen ky ye kya cheez hai aur is ko implement kr rky hamen kya kya benefits ho sakty haen .
      WHat is commodity channel index
      commodity channel index ye ek market mein jo current price hoti hai os ko measure krta hai ye is trha se price ko measure krta hai ky relative to an averge price level ko measure krta hai wo bhe over a given period of time tak os ko measure krta hai commodity channel index ye aksar rrelatively low jub price down hona start hoti hai to ye low average per chala jata hai commodity channel index ko used kya jata hai jub indetify krna perta hai overbought and oversold level ko tab humis commodity channel indexer ko use krty haen is mein bhe bullish aur bearish candle banti haen jo hamen price ki veriation ky bary mein btata hai
      Click image for larger version

Name:	commodity 1.png
Views:	3
Size:	10.0 کلوبائٹ
ID:	12387322Click image for larger version

Name:	commodity 2.png
Views:	2
Size:	8.5 کلوبائٹ
ID:	12387323
      How this indicator works
      jub commodity channel index 100 above jata hai to ye pher new strong aur uptrend beginning signaling py buy krta hai is CCI ko signal indicator ky lye use krty haen
      jub commodity channel index move to below 100 hota hai to pher ye new aur strong downtrend singlaning per sell krta hai ye apni position ko rising above 100 per close krta hai is indicator ko technical analysis ky lye bhe use kya jata hai
      Click image for larger version

Name:	commodity 3.png
Views:	2
Size:	8.6 کلوبائٹ
ID:	12387327
      • #4 Collapse

        Re: Commodity channel index ( indicator guide)

        Assalamu Alaikum Dosto!


        Commodity Channel Index (CCI) Indicator


        Commodity Channel Index (CCI) indicator ko aam tawar par market ki movement ko check karne k leye istemal kia jata hai jo buy ya sell ki identification karta hai. CCI indicator market me mojoda qeemat ko average qeemat k sath aik khas waqat k leye moazena karta hai. Forex trading me traders CCI indicator k leye mukhtalif qisam ki strategies ka istemal karte hen.
        Commodity Channel Index (CCI) indicator, dar-asal aik oscillator hai, jiss ko Donald Lambert ne 1980 ki dahai mein tayyar kya tha. CCI indicator current price k average price k sath mawazena karta hai, jo aam tor par 14-period se ziyada hote hen. CCI indicator aik oscillator ke tor par, overbought hue aur oversold honay walay areas ko wazeh karne ke liye aik behtareen tool hai, aur yeh aik trend mein bottoms aur tops ki shanakht karne mein bhi madad kar sakta hai.

        Click image for larger version

Name:	images (1115).jpeg
Views:	3
Size:	29.6 کلوبائٹ
ID:	12387325

        Overbought / Oversold Zone


        CCI indicator k liye pehle se by-default value 14-peroid hai, matlab yeh hai, k CCI indicator 14 periods mein average price ki changes k muqablay mein current price ka hisaab lagata hai. CCI indicator ka mushahida karte hue aap dekhen ge ke, ziyada tar time ke liye, indicator + 100 aur -100 ke darmiyan movement karta rehta hai. + 100 se oopar ki reading ko overbought samjha jata hai, jab keh -100 se neechay ki reading ko oversold samjha jata hai.
        Taham, jab baat trading karne ki ho to uss waqat oversold honay walay aur overbought wale areas ki nishan-dahi karna mushkil ho sakta hai, q k theoretically tor par koi bhi selected instrument baghair kisi limits k neechay ya oopar ja sakta hai. Iss ka matlab yeh hai ke yahan tak ke jab CCI indicator extreme level par ho, prices main mazeed izafa ho sakta hai, ya issi terhan assets bhi neechay ki taraf ja sakta hai chahay, CCI -100 ki satah se neechay q na ho. Issi terhan, CCI indicator ziyada durust signal day sakta hai agar trader usay volitilety k indicator ke sath istemaal karta hai, misaal ke tor par ATR indicator.

        Click image for larger version

Name:	images (2831).png
Views:	5
Size:	27.9 کلوبائٹ
ID:	12387326

        Divergence

        Over-bought aur over-sold levels main reversal ko maloom karne mein madad karne ke ilawa, CCI indicator ko aksar divergences talaash karne ke liye bhi istemaal kya jata hai. Aik momentum based oscillator ke tor par, indicator data aur prices movement k darmiyan farq ko nazar andaaz nahi kya jana chahiye, q k yeh iss baat ki taraf ishara karta hai, k ab maojoda trend main tabdeeli hone wali hai. Divergence ki do aqsaam hen, jin ki tafseel darjazel hai;
        Bullish divergence uss waqat hota hai, jab CCI indicator oversold area main hota hai, aur CCI indicator high low movement karta hai aur jab k uss k bar-aks prices lower low banati hai. CCI indicator k bearish divergence main humen hamesha overbought level main dekhna chahiye, jahan CCI indicator lower high banata hai aur prices higher low movement karti hai. Price ki ye movement trend reversal ka ishara de sakti hai aur market mein entry honay ke liye traders ko confirmation points bhi faraham karti hai.

        Click image for larger version

Name:	images (2832).png
Views:	1
Size:	24.9 کلوبائٹ
ID:	12387328

        Trading

        CCI indicator mojoda price ko average price k sath aik khas waqat k lehe compared karta hai. Values zero se uper nechay fluctuations karti hai. Aksar hum ne dekha hai k ziada tar 75% tak jo qeematen hen wo 100 aur - 100 ki darmeyan ati hai jab k sirf 25% qeematen is line ko yani 100 aur - 100 k line ko cross karti hai. Is se kisi pair ki ya kisi stock ki strongness aur weakness ko zahir karti hai.CCI indicator me jitna hum lamba time period ko istemal karengay to us se hamen ziada faida hasil hota rahega. Q k hamare target me ziada values ati rahe gi. Forex trading me CCI strategy ko hum kisi values ko 100 se above ya 100 se belwo k leye select karte hen jo k khas time peroid pe munhasir ho sakta hai. CCI indicator ko hum weekly base pe long term aur daily base pe short term trading k leye istemal kar sakte hen.

        Click image for larger version

Name:	Commodity-Channel-Index-Trading-Example-2.png
Views:	5
Size:	27.1 کلوبائٹ
ID:	12387324
        • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
        • #5 Collapse

          Re: Commodity channel index ( indicator guide)

          What Is the Commodity Channel Index (CCI)?

          assalamu alaikum aaj ham discuss karenge commodity channel index jo hai vah use kiya jata hai later ke upar jeet ko help ham determine karte hain investment cycle hai isko reach kiya jaate condition ke upar joke overbought aur oversold ki condition hoti hai hi is condition ki base per trader ko market samajh aati hai jo device ki jaati hai ki yahan kaise karenge price ka train kuchh ki direction ki strength


          Click image for larger version

Name:	images.jpg
Views:	1
Size:	13.7 کلوبائٹ
ID:	12387348

          How to Calculate the Commodity Channel Index

          calculation ham karte hain ke bahut se period hamen commodity index per analyse hoti hai muslim use karte ki ham sabse pahle market ki option ko samjhe ismein jo 20 period hote usko adjust karte different number of time ke sath different number of ke sath iske alava jo spreadsheet hoti hai usko ham track karte hain ki hai point ke upar ho


          HOW TO USE THE CCI INDICATOR WHEN DAY TRADING

          basic commodity channel index ko agar aap chahti hai explode karna to aapko 5 powerful indicator jab bhi aap day trading ka use karte hain aap ko uske bek per training karni chahie is aap commodity channel ko aur uske indicator ka use ko samajh lete hain lekin jo trader training index ko nahin samajhte vah trader ek acchi cheraw per nahin karte ho isi tarike se unhen market palash ka samna karna padta hai

          Click image for larger version

Name:	images (1).jpg
Views:	1
Size:	8.8 کلوبائٹ
ID:	12387350

          CCI + SRSI Trade Entry

          commodity channel index pay agar aap dekhe to yah tradeways hoti hai jisko ham trading strategy ke liye use karte hain ya receive karte hain do matching signal signal ke upar hamen trading ke liye kaun sa milta hai ki ham trader ko kis contact ke sath trading ki activity may involve hona hai

          CCI + SRSI Stop Loss

          stop-loss ke rule mein hum scalp karte hain commodities ko joker popular hoti hai training ke liye ismein rules ko follow karte hue trader a kshetra ropan karta hai jiske sath hamen trading ke concept ki tha mar jaati hai lekin jo trader market ko acche to use nahin karta hua shopclues ka use nahin karta to ismein vah trading co acche se analyse bhi nahin karta se tere ko sabse pahle stop-loss ka use karna hota hai jo ki market mein aapke liye bhi hai

          اب آن لائن

          Working...
          X