What is Bollinger Band Indicator

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is Bollinger Band Indicator
    Dear Forex trading may jab haum Bollinger Band ko apni trading pay apply karte hay to iss Kay liye haum Lower band aur upper band ki mukamal information aur mukamal calculation ki base pay issko apni trade open kartay huway istamaal kartay hay to hay may kamyabi hasil hoti hay haumay BOLLINGER BAND INDICATOR ki madad say market ki upwards movement aur trends aur downwards movement aur trends ki information hasil hoti hay iss ko istemal karte hay to haumay kamyabi Kay sath trading kartay hoye market ki movement ka pata chalta rehta hay aur phir us Kay mutabiq trading kartay hoye trading may zayada kamyabi aur zayada earning hasil karte hain.

    Click image for larger version

Name:	bollinger-bands-strategy.jpg
Views:	4
Size:	210.8 کلوبائٹ
ID:	12523160

    Bollinger bands Outlines.

    Dear Bollinger Band indicator mein kam karne ke liye aapke pass do 2 bands Hote Hain Jinka aap istemal apni trading Mein karte hain is mein Ek upper band hota hai aur is mein lower band hota hai in dono Bans ka aap Agar istemal Karenge to aap trading Mein Achcha profit and kar sakte hain aur Bollinger Band indicatorka trading mein scalping ke liye bahut hi Jabardast istemal Kiya Jata Hai yah scalping ke liye bahut hi best indicator Hota Hai.

    Click image for larger version

Name:	trading-forex-with-bollinger-bands_body_Mainimage.png.full.png
Views:	18
Size:	21.5 کلوبائٹ
ID:	12523161

    How to Analyse bollinger band for Trading

    Dear Bollinger band ooper level ko touch Karta Hai To is se yah confirm ho jata hai ki market up down Zaroor aaegi Kyon Ki market Mein Bollinger Band indicatoraapko Ek hent de deta hai ki ab market overboard Ho Gai Hai Jiski wajah se marking Ne niche Jarur aana hai to isliye aap apni trade Le sakte hain aur is mein Apna target apni trade ke hisab se select kar sakte hain aur yeh aap ismein scalping bhi kar sakte hain scalping ke liye yah Ek bahut hi Jabardast indicator hota hai Diya agar aap ismein moving averages ka istemal karte hain aur is mein ek aur indicator ka istemal karte hain to aap ko is mein bahut fayda ho sakta.

    Click image for larger version

Name:	trading-with-bollinger-band-reversal-patterns.png
Views:	1
Size:	26.6 کلوبائٹ
ID:	12523162

    Working Process of Bollinger band

    Dear Bollinger bands market Jab lower band ko touch karti hai to aapko isase confirm ho jata hai ki market upper Jayegi Kyunki market mein oversold ho gaya hai aur Market Mein Ab retracement Jarur leni hai aap is mein Kisi bhi candle kar vat kar sakte hain ya FIR aap is mein indicator Laga kar in chizon ko check kar sakte hain aur is AAP Achcha profit and kar sakte hain dear aap Agar bullinger Bande Ko proper study Karke follow Karte Hain To aap Aise bahut Achcha profit earned kar sakte hain Kyon Ki yah Ek bahut hi Jabardast indicator hai jo ki aapko market ki situation ke bare mein sahi tarah se guide karta hai.
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is Bollinger Band Indicator

    Bollinger Band Indicator


    Bollinger band indicator ko John Bollinger ne tayar kia tha, aur pehle is ko Bollinger on Bollinger ka naam deya gaya tha. Bollinger band indicator k technique me teen band (lines) ko bunyadi security (currencies, stocks, commodities) k OHLC (open-high-low-close chart) baar chart (ya candlestick chart) k oper (on top) charaya (overlaying kia) jata hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2826).png
Views:	19
Size:	19.0 کلوبائٹ
ID:	12387250

    Bollinger band ka darmeyana (central) band (line) trader ki muntakhib karda moving average index ka rozana (daily) band (close) hone ki aik sada (simple) calculated moving average hai. Bollinger band ka uper (top) aur necahy (bottom) band (line) central moving average k oper (on top) aur nechay (lower) chalne wale standard diviation hen. Chonkeh standard diviation uttar-charao (up and down) ka aik pemana hai, lehaza bands (lines) khud ko adjust karte hen. Bands tez market (volitile or fast market) me phel (wide spread) jate hen jab k mandi k dowran qareeb ho jate hen. Bollinger band indicator short-term trading k leye 10-days, medium ya darmeyana mudat k leye 20-days aur long-term trading k leye 50-days tak achay natayej deta hai. Ye dowraneya stocks aur bonds k leye hen, commodities aur currencies k leye is ko mazeed kam rakha jayega.
    Bollinger band ko do (2) mukhtalif muntakhib karta trader k variable input ki zarorat hoti hai; moving average index me dino (days) ki tadad aur standard deviations ki tadad ki jo k moving average k oper (on top) aur nechay (lower) plot keye jate hen. Rozana ki bunyad per din k akhtetam par taqreeban 95% trades in teen (three) standard deviation k daryan hoti hen. Dosre parameter ki aam value 1.5 se 2.5 standard deviation tak hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (1110).jpeg
Views:	2
Size:	47.1 کلوبائٹ
ID:	12387251

    Jaisa k moving averages aik envelopes banati hai, Bollinger band indicator ka basic tareeqaykar ye hai k qeematen uper aur lower band k darmeyan ya andar rehti hai. Bollinger band indicator ki aik khas hososeyat ye hai k qeematon k utaar-charo ki bunyad par band k darmeyana faisla mukhtalif hota hai. Qeematon me bohut ziada utaar-charo (fast volitilety) k dowran, band ziada qeematon ko apne andar samane k leye wasee ho jata hai. Market ki mustahkam qeematon (kam volitilety) k dowran bands qeematon par qabo pane k leye tang (narrow) ho jate hen.

    Bollinger Band Indicator ki Hososeyat

    1. Band k tang (narrow) hone k bad qeematon me shadeed tabdeeli hoti hai, q k utaar-charo (volitilety) kam ho jati hai.
    2. Jab qeematen bands se bahir nikalti hai, to ye mojoda trend k tasalsul (continuation) ko zahir karti hai.
    3. Bands k bahir wale bottom aur tops (necahy - uper) ko agar band me maojood bottom aur tops follow karte hen to ye trend k wapasi (reversal) ko zahir karte hen.
    4. Aik aisi qeemat jo aik band se shoro hota hai aur dosre band pe ja k jati hai, qeemat ki matloba hadaf k leye ye mushahida (observation) bohut kar-amad (useful) hai.





    Bollinger Band ka dosre indicators k sath istemal


    Bollinger band indicator khud se khareedo-ferokht (buy or sell) k signal tayar nahi karta hai. Is ko dosre indicators k sath istemal karna chaheye, aam tawar par Relative Strength Index (RSI) indicator k sath. Is ki waja ye hai k jab qeemat kisi aik band ko choti (touch) karti ahi to ye do (two) cheezon me se kisi aik cheez ki nishan-dahi karti hai; trend ka tasalsul (continuation) ya trend ki wapasi (yani rade-amal). Bollinger band indicator ka akele (themselves) istemal traders ki zaroreyat ko pora nahi kar sakta, kab k kab khareedo-ferokht (buy or sell) karna hai. MACD indicator ko Bollinger band aur RSI k sath istemal kia ja sakta hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2825).png
Views:	9
Size:	35.1 کلوبائٹ
ID:	12387249

    اب آن لائن

    Working...
    X