Forex Trading main Kamyabi Hasil karne k Kuvh Mufeed Tips

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    Forex Trading main Kamyabi Hasil karne k Kuvh Mufeed Tips
    Successful Tips for New Traders


    Forex trading bazahir dekhne main sab se assan aur munafa k lehaz sab se mushkil business hai. Ye karrobar risk k lehaz dunya ka sab se ziadda khatarnak karobar hai, jiss main minton aur ghanto main million aur billions ki investment zero ho saktti hai. Lwkin munafa itnna ziadda hotta hai, k trader rato-raat ameer ban sakte hen. Forex trading main lamehdod munafa ki waja se trader khaa kar new trader bohut ziadda bewaqofi se kaam lete hen, aur wo bagher kisi planning k aur strategy k trading kar jatte hen iss maqsad k leye k wo kam waqat main ziadda munafa hasil karen. Lekin wo iss chakkar main sab kuch loss kar jatte hen. Forex trading main new trader k kamyyabi k leyye nechay kuch tips de gaye hen, jinn ko apnnane se wo iss riski business main success hasil kar sakte hen.

    Click image for larger version

Name:	images (2806).png
Views:	4
Size:	29.5 کلوبائٹ
ID:	12523104

    1. Trading Plan ka Zarror Estemal karen



    Trading plan ki technique har aik trader par laggo hotti hai, cahhay usse over-trading ka masla ho ya na ho. Trading plan ka honna trading k ammal main order aur structure faraham kartta hai aur traders ko appne decision k barre main ziadda ba-shawoor bannata hai. Trading plann aik trader ko din main muaqarrara strategy k mutabiq uss ki rahnumaye kartta hai, jiss se trader apnne jazzbat aur lalach par kaffi had tak qabbo pa saktta hai.
    Trading plan k kamyabbi k leye sab se zarrori cheez uss k leye aik sakht discipline hai, jo trading plan par ammal karnne k leye kar-amad hotta hai. Sakht discipline humen over-trading se bachne main kaffi had tak maddad detta hai.


    2. Trading ko Business k Tawar par dekhen



    Forex trading ka karobar do tareeqon se hotta hai, aik hai, jawaree (gambling) aur dosra business ka hai. Aggar trader bagher kisi analysis k ya bas iss ko gambling samajh kar trading karengay to iss se loss k chances ziadda hotte hen, jab k iss karobar main proper discipline, trading plan, analysis aur risk-reward ratio k mutabiq trading karnne se ye business ban jatta hai. Business k tawar kaam karnne se trader k leye ye ziadda munafa bakhash kaam hai.


    3. Technology ka Estemal karen



    Forex trading main mukhtalif qisam k chart pattern, candlestick pattern aur technical indicators hotte hen, jiss ko analysis k leye tools k tawar par estemal kia ja saktta hai. Ye karobar technical tools aur chrts pattern k istemal se bohut ziadda assan ho jatta hai. Technical indicators main mukhtalif pemayesh ya calculation pehle se de ja chukki hotti hai, jiss ko bas sirf humen apnne strategy k tawar par istemal karnna hotta hai.


    4. Apne Trading Sarmaye ko Mehfoz Banayen



    Trading k dowraan bagher kisi khas hikamte amli k trading karnna aur kisi stock, security aur currency par trades open karnna aap k trading account ko wash kar saktta hai. Traders k markrt main sab se bari lamyabi ye hai k wo pehle apnne trading account ko mehfoz rakhengay, uss k baad se wo munafa k bare main sochna chaheye.


    5. Markets ko Lazmi dekhen



    Market ka baghawar mushida keye trades karnna bohut riski kaam hai. Aksar trader trading k dowran market ko sarsari nigah se dekha kar hi jaldi main apni lots open kar rahe hotte hen. Ye ghaltti ziadda tar market k up ya down side par teezi dekh kar trades open kartte hen. Jab bhi trader market ko har waqat made nazzar rakhta hai to wo iss tarah ki mistakes nahi karta hai.


    6. Stop Loss.


    Stop loss k estemal k bagher trading mehfoz banna bohut zyada mushkil kaam hai. Traders ko har aik trades k sath stop loss ka istemal zarror karnna chaheye, jiss se hamare risk reward ratio aur profit to loss k zaryye se iss karobar main bari had tak behtar kaam kartte hen. Stop loss hamare trades par pehle se put ho jatte hen, jo k aik khas position par set hote hen, jiss par loss pohunchne k baad trade mazzeed loss main nahi jatta.

اب آن لائن

Working...
X