Assalamu Alaikum Dosto!
Relative Strength Index
Relative Strength Index (RSI) indicator aik bohut mashahoor momentum indicator hai, jiss analyst J. Welles Wilder ne design kia hai. RSI indicator trends aur trend ki semat k tabdeelion ke baray mein mukhtalif signal faraham karta hai. Taham, ziyada tar traders iss ka istemaal overbought (jab price bohut ziada upward ja chuki hoti hai aur yahan se down-fall hone wala hota hai) ya oversold (jab price bohut zyada nechay ja chuki ho aur yahan se prices ka wapis upward jane ka imkan ho) market ke halaat ki nishandahi karne ke liye istemaal karte hen.
RSI indicator ki calculation darjazel tarah se ki jati hai;
RSI = 100 - 100 / (1 + RS)
Where RS = Average Gain / Average Loss
RSI Indicator Tafseel
RSI indicator ki value 0 - 100 ke darmiyan hoti hain, aur ziyada tar oscillator ki terhan, overbought aur over-sold honay walay areas mein hotay hain. Indicator ka aam istemaal yeh hai ke 70 ya is se oopar ki RSI value is baat ki nishan-dahi karti hen, ke assets ko overbought kia ja raha hai, aur is wajah se trend ke reversal jane ko imkan ho sakta hai. Dosri taraf, 30 ya is se neechay ki RSI value aam tor par aik oversold honay wali haalat ki nishan-dahi karti hen, jo trend mein tabdeeli ya price ki corrective bullish trend reversal ka signal dey sakti hai. Taham, in overbought aur oversold values mein traders tarmeem kar sakta hai.
Wilder ke mutabiq RSI indicator by-default set up 14-peroid hai. Trader iss value ko tabdeel kar satka hai, iss ka inhisar traders par hai, k wo kis qader slow ya fast se market mein signal ko haasil karna chahtay hen.
RSI indicator aik momentum indicator hai, lekin trend ka taayun karne ke liye bhi ye istemaal mein bohut aasaan hai. Jab RSI 50 se neechay a jata hai to market ko bearish samjha jata hai, aur agar yeh 50 se oopar chala jata hai to market ko bullish samjha jata hai. Aik oscillator ke tor par, RSI indicator ki apni movement/trends hen aur yeh low aur high bana sakta hai. Iss lehaaz se, indicator ko price aur indicator ke data ke darmiyan faraq talaash karne ke liye istemaal kya ja sakta hai.
RSI indicator ka bearish divergence uss waqt hota hai, jab RSI indicator overbought zone mein hota hai aur lower highs ko touch karta hai, jab keh ussi waqat price chart mein higher high ko touch kar raha hota hai. Bullish divergence uss waqat hota hai, jab RSI indicator oversold area mein hota hai aur price chart high low banata hai jab keh same ussi waqat prices chart par lower high banata hai.
RSI ko Trading Plateform main Add Karna
- Indicators k drop down Manu mein RSI type karen aur RSI ko muntakhib karen.
- RSI ki screen setting ab zahir hoti hain. Aap default input data istemaal kar satke hain ya apna data daraj kar satke hen.
- RSI ko, apne trading plateform mein shaamil karne ke liye OK button par click karen.
Sumary
Relative Strength Index indicator aik strong aur reliable indicator hai, jisay har level ke mutadid trader istemaal karte hain. Yeh aik oscillator ke tor par samajhna aasaan hai. Agar RSI indicator 70 se oopar hai to market overbought zone main jata hai, aur agar yeh 30 se nechay ata hai to market oversold level main chala jata hai. Yeh aam aur new traders ka aik pasandida indicator hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим