What is the Four Price Doji candlestick pattern?

No announcement yet.
`
X
  • وقت
  • دکھائیں
Clear All
new posts
  • #1 Collapse

    What is the Four Price Doji candlestick pattern?
    Defination

    Chaar qeemat wala aik candle stick hai jis mein aik hi khuli, onche, neechi aur qareeb hai. yeh mom batii bail aur reechh ke darmiyan sab se ziyada ghair faisla kin pan ki numaindagi karti hai. yeh mom batii aam tor par is waqt dekhi jati hai jab tijarat ka hajam kam hota hai. yeh aksar pari market aur baad ke auqaat ke douran dekha jata hai .Behtar hai ke is mom batii se daur rahen aur is par ziyada zor nah den

    The four-price Doji Candlestick was built.

    Doji mom batian jin ki qeemat ke charon aik jaisay hain, ya candle stuck ke mushahiday ke poooray doraniye mein qeemat ki had bohat qareeb hai, woh chaar qeemat wali candles kehlati hain. chunkay tijarti hajam bohat kam hai, qeematein bhi aik tang range mein tijarat karti hain. aik misali duniya mein, koi oopri ya nichala saya ya batii bilkul nahi hoga

    Trading the Doji Candlestick with Four Price Points

    Chaar qeemat walay tamam asasa jaat ki qeematon ke chart par Shaz o nadir hi nazar atay yeh ho ya asharih jaat ya exchange un ka matlab sara sar hichkichahat aur sab se barh kar market ke khiladion mein aik stock ki tijarat ke liye josh o kharosh ki kami hai. bohat se log aisay hain jo mehsoos karte hain ke is patteren ki takhleeq hichkichahat ka ishara deti hai aur qeematon mein tabdeeli ka baais ban sakti hai, jab ke kuch aisay hain jo kehte hain ke chaar qeemat walay patteren ki tashkeel karne walay stock se daur rehne ka mahswara diya jata hai. is baat ka koi thos saboot nahi hai ke chaar qeemat walay pehlay ki soch se ziyada aam hain. is ki takhleeq abhi tak yakeeni nahi hai ke mustaqbil mein qeemat ki naqal o harkat ka kya hoga. jab tak yeh kaafi tijarti hajam par bantaa hai, chaar qeemat walay ko aam samjha jana chahiye

    The four-price doji trading scenario

    Ap ko aykoytiz se daur rehna chahiye jo bzahir chaar qeemat wali tayyar karne ke amal mein hain. is ki wajah se qeemat ki daryaft mein masail peda hotay hain, jis ke nateejay mein boli aur poochnay ke darmiyan qeemat ka wasee farq hota hai
    An example of a Doji Candlestick with four prices.

    Chaar qeemat doji candlesticks aur is ke nateejay mein izafah mandarja zail chart mein dekhaya gaya hai

    Click image for larger version

Name:	four-price-doji-example.png
Views:	18
Size:	82.6 کلوبائٹ
ID:	12523065
    Saal 2003 ke liye nrg energy stock ke liye oopar wala chart is baat ki nishandahi karta hai ke chaar qeemat wali candle ki tashkeel

    Recent Doji Formations with Four Price Points

    Chaar qeemat walay candle stuck patteren ki tijarat ke usoolon ka mutalea karne ke baad, yeh stock ki qeemat ke graph ka muaina karne ka waqt hai ke woh haal hi mein kaisay tabdeel hue hain .
    fknol. com par candle par aik makhsoos section hai jahan chaar qeemat wali candles bananay walay stock aur ki fehrist rozana up date ki jati hai. chaar qeemat walay candle stuck ke namoonay talaash karne ke liye, hum poori duniya mein stock marketon ki nigrani karte hain. haal hi mein tayyar kardah candle stuck chart patteren is drop down fehrist mein se kisi market ko muntakhib karkay talaash kiye jasaktay hain

    The Bottom Line

    Chaar qeemat walay ki tijarat ke liye intehai tawajah aur jazbati tijarat ki kami ki zaroorat hoti hai. takneeki tajzia ke aik hissay ke tor par, candle stuck trading mein muntakhib kardah stock ki qisam aur market ke umomi halaat ki bunyaad par kamyabi ki shrhin mukhtalif hoti hain. stap las, munafe, aur capital managment ka istemaal hamesha munasib miqdaar mein hona chahiye



    منسلک شدہ فائلیں
  • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
  • #2 Collapse

    Re: What is the Four Price Doji candlestick pattern?

    Assalamu Alaikum Dosto!


    Four Price Doji Candle


    Financial markets main aksar awqat aisa bhi hota hai, k kisi assets par traders tazabzub k shikar hote hen, k wo trades ki konsi entry karen, iasi soratehal jiss main traders koi sahi position ki wazih faisela nahi kar pate hen, prices apni jahgah par stuck rehti hai, jiss ki waja se price chart par aik doji candle ka qayam hota hai, jiss ko four price doji candle kaha jata hai. Ye candle ziada tar bohut small timeframes ya markets k darmeyan k waqfay mai aur ya un currencies pairs main bati hai, jiss par trading bohut kam hoti hai, yanni "Exotic Currency Pairs". Four price doji candles main prices ki high, low, open aur close same hi point ya point par hota hai.

    Click image for larger version

Name:	download (137).png
Views:	30
Size:	1.6 کلوبائٹ
ID:	12387098

    Candles Formation


    Four price doji candle k prices up and dow aur high and low same hi hote hen, jiss se candle ki shakal aik line jaisi dekhti hai. Four price candle single daoji candle hai jiss ki formation darjazzel tarah se hoti hai;

    Click image for larger version

Name:	images (2789).png
Views:	8
Size:	1.2 کلوبائٹ
ID:	12387099

    Four Price Doji Candle: Fource price doji candle na to bullish candle hoti hai aur na hi bearish, q k candle ki open aur close same hoti hai, jiss se upper aur lower sides par na to candle ki shadow hoti hai aur na hi real body. Ye candle bullish hososeyat wali bhi ho sakti hai jab k bearish bhi mumkin hai.

    Explaination

    Four price doji candle aik single formate ki doji candle hai, jo k prices k top ya bottom mainziada tar trend reversal pattern ka kaam karti hai. Normal ye candle prices main neutral tasawar ki jati hai. Ye candle up aur down side par na to real body rakhti hai aur na hi iss k upper ya lower side par shadow hota hai. Four price doji candle ki khas baat ye hai k jab bhi ye candle market main banti to aksar iss k baad bohut teezi k sath breakout wale side par jati hai. Candle k formation ziada tar kam traded currencies main hoti hai, jiss par aksar ghanton ghanto tak koi trades open hi nahi hoti hai.

    Click image for larger version

Name:	images (2788).png
Views:	34
Size:	1.8 کلوبائٹ
ID:	12387100

    Trading

    Four price doji candle aik normal bagher kisi color k aik line wali candle hoti hai, jiss ki na to real body hai aur na hi kisi side par upper ya lower shadow hota hai. Four price doji candle dosre doji candles se bohut ziada mukhtalif dekhaye deti hai, q k ye prices main aik line si dekhaye deti hai. Four price candle agar prices k top par banti hai yo aik bearish confirmation candle k baad market main sell ki entry ki ja sakti hai, jab k prices k bottom par iss par confirmation candle k baad buy ki entry ki jati hai. Stop Loss candle se pehle ki candle k top par bearish trend main aur bullish trend reversal main candle k lower se two pips below set karen.

    Click image for larger version

Name:	images (2787).png
Views:	11
Size:	7.9 کلوبائٹ
ID:	12387097
    • <a href="https://www.instaforex.org/ru/?x=ruforum">InstaForex</a>
    • #3 Collapse

      Re: What is the Four Price Doji candlestick pattern?

      Four Price Doji Candle Stick



      Fore price doji candle us waqat banti hai, jab market me open, low, high aur close (sab) ki qeemat (position) aik (same) ho. Four price doji candle market me bohut kam hi banti hai, q k is k leye zarori hai k sari side aik hi position pe band ho.

      Click image for larger version

Name:	images (2790).png
Views:	4
Size:	3.2 کلوبائٹ
ID:	12387101

      Four Price Doji banne ki wajah




      Dosri doji candlestick patterns ki tarah four price doji ko bhi qeematon k tasalsul (continuation) ya wapasi (reversal) se tabeer kia jata hai, is k leye zarori hai k dekha jaye k ye doji candle kahan (position) pe banti hai. Agar is four price doji ko kisi high qeemat area ya bullish harkat k bad paye jaye to ye trend reversal ya bearish trend ki taraf ishara karti hai.
      Agar ye kisi kam qeemat wale area ya kisi bearish position pe a jaye to ye bhi trend reversal ya bullish trend ki taraf ishara karti hai. Aur agar ye kisi sideways trend me ban jaye to isbko neutral shumar kia jayega.

      Click image for larger version

Name:	images (2791).png
Views:	7
Size:	2.2 کلوبائٹ
ID:	12387102


      Four Price Doji pe Trading




      Four Price Doji Candle banne k baat market me trend reversal chances ziada ho jate hen, lekin pher bhi ihtiati tadabeer k tawar par market me agli candle k banne ka intezar kar lena chaheye, us k bad hi buy ya sell ka faisala karna chaheye. Four Price Doji Candle bohut kam hi market me banti hai, is ko trend reversal ya trend continuation dono k leye leya ja sakta hai. Jab bhi ye candle banne ka matlab hai, k qeematen kam mutaharek hen, ya un pe kisi side se ziada dabao nahi hai. Agar four price doji bearish trend k baad banti hai aur teesri candle bullish banti hai, to is ka matlab hai k bearish trend bullish trend me badal chuka hai, aur market buy entry k leye ready hai. Lekin agar fource price candle stick bullish trend k bad banti hai aur market me teesri candle bearish banti hai to isbka matlab hoga k qeematon ne trend beariah me badal deya hai aur market sell ki entry ki ja sakti hai.

      Click image for larger version

Name:	images (2792).png
Views:	6
Size:	2.5 کلوبائٹ
ID:	12387103

      اب آن لائن

      Working...
      X