Assalamu Alaikum Dosto!
Piercing Line Candlestick Pattern
Piercing line candlestick pattern price chart par aik leading indicator k tawar par kamm karne wala two days ka aik bullish trend reversal pattern hai, jo k bearish trend k dowran prices k semat k change hone se pehle hi trend reversal ka signal de deta hai. Pattern ki pehli candle aik bearish candle hoti hai, jo k sabeqa trend k mutabiq hoti hai, jab k dosre din ki candle aik bullish candle hoti hai, jo open pehli candle k lower gap main hoti hai, lekin close ussi k darmeyan ya midpoint se ziada par hoti hai. Ye candle prices k lower position yanni bearish trend k dowran aik strong prices ki pullback karti hai, jiss se market ka maojoda trend khatam ho jata hai. Pattern ki dosri candle ka lazmi pehli candle k real body main midpoint se above close honi chaheye, yanni dosri candle ko pehli candle k high price ya open price se above close nahi honi chaheye.
Candles Formation
Piercing line candlestick pattern ki dosri candle k bullish hone k baad market main investor trend badalne par majbor hote hen. Jiss se prices new semat bullish trend ko follow karna shoro karti hai. Pattern main shamil dono candles mukhtalif pattern ki hoti hai, jiss mein pehli candle bearish aur dosri bullish hoti hai, jiss ki tafseel darjazel tarah se hoti hai:
1. First Candle: Piercing line candlestick pattern main pehli candle aik bearish candle hoti hai, ye candle price k downtrend ko show kar rahi hoti hai, jo k black ya red color ki candle hoti hai. Ye candle aik strong real body main banti hai, yanni candle ki real body shadow se ziada hoti hai.
2. Second Candle: Piercing line candlestick pattern ki dosri candle aik bullish candle hoti hai, jo k open to pehli candle k bottom par gap main hoti hai, lekin close pehli candle k real body k darmeyan se ooper hoti hai. Ye candle color main white ya green hoti hai, jo k bearish trend ko khatam karti hai, aur prices k bullish trend reversal ka sabab banti hai.
Explanation
Piercing line candlestick pattern main two days candlestick ki pehli bearish candle ke baad, agli candle, jo k wazih tawar par aik bullish candle hoti hai, se gap main open hoti hai, yanni pehli candle se nechay open hoti hai, aur phir pichli candle ke 50% retracement ya darmeyan ke oopar wapas band ho jati hai. Yeh pattern price chart par talaash karna bohat aasaan hai, bunyadi tor par yeh chart patteren hamaray liye jis cheez ko jo ziada numaya kar raha hai, woh market k jazbaat mein aik bullish tabdeeli hai. lehaza, hum jantay hain ke ibtidayi tor par sellers walay control mein thay, jis ki wajah se bearish candle ke douran price lower jati hai, lekin agli candle bullish banne se prices mazeed nechay jane se ruk jati hai.
Trading
Piercing line candlestick pattern wese to bazate-khud aik bullish signal deta hai, lekin dosre indicators jaise RSI, CCI, MACD indicator aur stochastic oscillator k sath yakja karke istemal karne par aik achah result deta hai. Pattern price action k tawar par bearish trend ya low price area main buy ka signal deta hai, jiss k leye indicators par oversold zone ya aik confirmation candle ka hona zarori hai. Confirmation candle bullish real body main honi chaheye aur dosri candle k top par close honi chaheye. Lekin agar pattern k baad bearish candle banti hai, to uss sorat main trade entry nahi karni chaheye. Stop Loss pattern k sab se lower ya dosri candle k bottom se two pips below set kia ja sakta hai.
تبصرہ
Расширенный режим Обычный режим